Author: فہد کیہر

FIFA World Cup Knockout Round Ab Rozana Kisi Team Ko Bahar Kar Raha Hay. Pehlay Din America Aur Australia Bahar Huay Aur Ab Dekhna Ye Hay Ke Defending Champion France Aur England Poland Aur Senegal Ko Bahar Kar Patay Hain Ya Abhi Is World Cup Mein Upsets Baqi Hain. Round Of 16 Kay Pehlay Din America Nay Netherlands Kay Hathon 3-1 Say Shikast Khai Aur Phir Hum Nay Dekha Messi Ka Jadu! Argentina Nay Australia Ko Aik Sakht Muqablay Kay Baad 2-1 Say Haraya Aur Quarterfinal Mein Pohanch Gaya.   The Magic Man 🪄 Saudi Arabia Kay Hathon Shikast Say Tournament…

مزید پڑھیں

Aik Zamana Tha Jab Jawani Deewani Hoti Thi, Is Umar Mein Jawanon Ko Kisi Ki Parwa Nahi Hoti Thi. Mauj Masti Aur Tafreeh Wali Zindagi Guzartay Thay, Laikin Ye New Generation Bilkul Mukhtalif Hay Aur Is Ka Sab Say Bara Problem Hay STRESS. Chahay Is Ki Waja Barhti Hui Expectations Hon Ya Hadd Say Zyada Kaam, Stress Agar Negative Phase Mein Dakhil Ho Jaey To Zindagi Barbaad Kar Deta Hay. Waisay Kabhi Kabhi Stressful Ho Jana To Chalain Zindagi Ka Hissa Hay. Aisa Stress Aap Ko Depression Aur Anti-Social Behavior Say Bachata Hay. Kisi Stressful Soorat-E-Haal Ka Samna Aap Ko…

مزید پڑھیں

Ye Bhi Kya World Cup Hay Yaar, Group Stage Mein Koi Aisi Team Nahi Bachi Jis Nay Apnay Saray Matches Jeetay Hon. Yahan Tak Ke Brazil Bhi Nahi, Jo FIFA World Cup Round Of 16 Say Pehlay Apnay Last Match Kay Last Moments Mein Cameroon Say Goal Kha Kar Haar Gaya. History Mein Pehli Martaba Aisa Hua Hay Ke Kisi FIFA World Cup Ki Group Stage Mein Koi Team Apnay Teenon Matches Na Jeet Saki Ho. Is Say Ye Bhi Pata Chalta Hay Ke Ye Kitna Competitive Aur Zabardast Tournament Raha Hay. https://twitter.com/Rehan_ulhaq/status/1598784162336362496?s=20&t=2OyCdHAW40IbUh6cbMkhsw Undefeated Teams Laikin Kuchh Teams Group Stage…

مزید پڑھیں

Chahay Ghussay Ki Waja Kitni Bhi Jaiz Kyun Na Ho, Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Ghussa Aap Ko Kha Jata Hay. Jazbat Ki Rou Mein Beh Jana Aur Bay-Qaboo Hojana Aaj Ki Youth Ka Aik Barra Mas’la Hay. Buhat Choti Aur Ma’muli Cheezon Par Bhi Wo Anger Spiral Mein Chalay Jatay Hain. Is Liay Anger Management Buhat Zaruri Hay. “Aisa Meray Sath Hi Kyun Ho Raha Hay?” “Ye Sub Kaam Itnay Mushkil Kyun Hain?” “Aakhir Logon Kay Sath Mas’la Kya Hay?” Aisay Sawaal Un Ko Aur Jazbati Kartay Hain Aur Phir Wo Phatt Partay Hain. Wo Kuchh Keh Jatay Hain,…

مزید پڑھیں

Is World Cup Ko ‘Upsets Ka World Cup’ Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Jab Say Tournament Shuru Hua Hay, Har Roz Koi Na Koi Kamaal Hota Rehta Hay. Group E Kay Japan vs Spain Match Mein To Kamal Par Kamal Ho Gaya Hay, Japan Nay Germany Kay Baad Apnay Last Group Match Mein Spain Ko Bhi Hara Dia Hay. Youn 4 Maratba Ka Champion Germany First Round Mein Hi Bahar Kardia Hay. Aik Martaba Phir! Ye Hua Kaisay? Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Japan vs Spain Match Mein Aik Baar Phir Jis Team Nay First Half Mein Lead Li,…

مزید پڑھیں

Pakistan Aur England Ki Historic Series Shuru Hui, Laikin Pehla Hi Din Aisa Hoga? Kisi Nay Socha Bhi Na Tha. Kahan Aik Din Pehlay England Ki Aadhi Team Beemar Pari Thi, Aur Kahan Ye Ke Usi Team Nay Maar Maar Kar Pakistan Ko Beemar Kardia Hay. Pakistan England First Test Kay Pehlay Din England Nay 4 Wickets Par 506 Runs Bana Dalay Hain, Wo Bhi Sirf 75 Overs Mein Aur 6.74 Kay Run Rate Kay Saath. Khel Jaisay Jaisay Aagay Barhta Raha, Speed Main Aur Izafa Hota Raha. Yahan Tak Ke Din Kay Last 10 Overs Mein England Nay 96…

مزید پڑھیں

Aakhir Kaun Sa Mulk Hoga Jis Ka Khwab Na Ho Ke Wo World Cup Trophy Uthaey? Choorian Pehn Kar To Koi Bhi Qatar Nahi Aaya, Sab Jeetnay Kay Liay Hi Aaey Hain, Laikin Masla Ye Hay Ke Champion Sirf Aik Team Hi Ban Sakti Hay. Ab To Har Din Koi Na Koi Tournament Say Bahar Hota Ja Raha Hay. Aur Saturday Tak 32 Mein Say Sirf 16 Teams Reh Jaen Gi Jo Knockout Stage Mein Jaen Gi. Is Waqt Hisab Kitab Shuru Ho Chuka Hay Ke FIFA World Cup Qualifying Scenarios Kya Hain. (Photo: AFP) Laikin Pehlay Dekhain Ke Kaun…

مزید پڑھیں

England Aur Pakistan Ka First Test Bus Shuru Honay Hi Wala Tha, Leikin Sirf 1 Din Pehlay England Cricket Team Beemar Parr Gai Hay Aur Kaha Ja Raha Hay Ke Match Ko 24 Hours Kay Liay Postpone Kardia Jaey. Laikin Kyun? Kyunke English Squad Kay 13-14 Members Wednesday Ko Achanak Beemar Par Gaey Hain. Pak-England Rawalpindi Test Say Sirf 1 Din Pehlay. https://twitter.com/TheRealPCB/status/1597877880310333441?s=20&t=jVlCxcZL7740NvCf5neSnA Hua Kya Hay? 17 Saal Baad Pakistan Kay Historic Tour Par Aanay Wali Mehman Team Kay Players Ko Na Covid Hua Hay Aur Na Hi Food Poisoning, Balkay Ye Koi Virus Ya Bug Hay, Jis Say Players…

مزید پڑھیں

Mangal Aur Budh Ki Darmiyani Raat Bari Zalim Thi. Dunya Ki Sub Say Bari Rivalries FIFA World Cup 2022 Mein Aik Doosray Kay Aamnay Samnay Theen. Aik Taraf “Great Satan” United States Ka Muqbla “Axis Of Evil” Kay Member Iran Say Tha To Doosri Janib England Aur Wales Jaisay Riwayati Cultural, Political Aur Sports Rivals Mojoud Thay. Aur In Donon Matches Ka Ikhtatam ‘Super Powers’ Kay Haq Mein Hi Hua. USA Nay Iran Ko 1-0 Say Haraya Aur England Nay Wales Ko 3-0 Say Shikast Day Kar World Cup Say Hi Bahar Kar Dia. In Matches Kay Sath Hi Faisla…

مزید پڑھیں

Aaj Hay FIFA World Ka ‘Sab Say Bara Match’ Iran vs USA. Kehtay Hain Siasat Khel Nahi Hoti, Laikin Yahan To Khel Say Barh Kar Siasat Chal Rahi Hay. Iran Aur USA Kay Liay Maidan Koi Bhi Ho, Maidan-E-Jang Ban Jata Hay. Is Ki Waja Hay Donon Kay Puranay Ta’luqat, Jo Dosti Say Dushmani Mein Badlay Aur Ab Donon Archenemy Hain. Inhi Dushmanon Ka Muqabla Aaj FIFA World Cup 2022 Mein Honay Wala Hay. Qatar Ka Al Thumama Stadium Aik Historic Match Ki Mezbani Karay Ga, Wo Bhi Us Waqt Jab Iran-US Relation All-Time Low Hain. Iran-US Tense Relations Ki…

مزید پڑھیں