Author: فہد کیہر

FIFA World Cup To Apni Jaga Chal Hi Raha Hay Laikin Is Waqt Football Clubs Kay Bhi Apnay Hi Chakkar Chal Rahay Hain. Dunya Kay 2 Baray Footballers Is Waqt Khud Football Banay Huay Hain, Aur World's Highest Paid Footballers Mein Koi Un Say Aagay Nikal Gaya Hay. Ronaldo Ki Kahani (Photo: Getty Images) Last Year Cristiano Rolando 12 Saal Baad Manchester United Mein Wapis Aaey Thay Aur Aik Season Hi Mein Un Ki Bas Ho Gai. World Cup Say Pehlay Aik Interview Mein Unhon Nay Wo Wo Batein Kar Deen, Jin Kay Baad Ronaldo Ki MUFC Mein Koi Jaga…

مزید پڑھیں

International Film Festival Of India (IFFI) Mein Controversial Movie ‘The Kashmir Files’ Ko Sakht Tanqeed Ka Nishana Banaya Gaya Hay. Yani Wo Such Jisay Propaganda Say Chupaya Ja Raha Tha, Sab Kay Samnay Aur Moun Par Keh Dia Gaya. Ye Kaam Kia IFFI Ki Jury Mein Shamil Israeli Director Nadav Lapid Nay. Junhon Nay The Kashmir Files Ko Aik Propaganda Aur Vulgar Movie Qarar Dia Aur Kaha Ke Hum Ye Movie Dekh Kar Buhat Mayoos Huay. Ye Aik Shocking Movie Thi Jo Kisi Festival Mein Dikhanay Kay Qabil Nahi Thi. Aur Aisa Kehnay Mein Hamain Koi Sharam Nahi Hay Kyunkay…

مزید پڑھیں

Aik Mash’hoor American Publisher Hay Merriam-Webster, Jo Apni Dictionaries Ki Waja Dunya Bhar Mein Famous Hay. Saal 2022 Kay Liay Is Ka ‘Word Of The Year’ Hay ‘Gaslighting’. Normally Koi Khaas Event Hota Hay Jis Kay Baad Kisi Word Ki Search Aasman Ko Puhanch Jati Hay. Laikin Gaslighting Kay Ma’mlay Mein Aisa Kuchh Nahi Hua. Is Word Ki Search Buhat Tezi Say Barhi Hay, Especially Last Four Years Mein. Gaslighting Hay Kya? Word “Gaslighting” Us Psychological Pressure Ko Kehtay Hain Jo Aam Taur Par Kisi Relationship Mein Abusers Kartay Hain. Merriam-Webster Kehta Hay Ke Ye Kisi Shakhs Ki Psychological Manipulation…

مزید پڑھیں

England Ki Cricket Team 17 Saal Baad Pehli Baar Test Series Khelnay Pakistan Aa Gai Hay. Last England Tour Of Pakistan 2005 Mein Hua Tha. Tab Wo Rankings Mein World No. 2 Tha, Ashes Mein Australia Kay Khilaf Historic Victory Haasil Ki Thi. Balkay Pooray Summer Season Mein Sirf 1 Test Match Haara Tha. Laikin Pakistan Mein Us Kay Saath Kya Hua? Ye History Hay Aur Mystery Bhi. Waisay England T20 World Cup Say Pehlay 7 Matches Ki Aik T20 Series Khelnay Bhi Pakistan Aa Chuka Hay. Laikin Ab 1st December Say Donon Ka Aamna Samna Aik Mukhtalif Format Mein…

مزید پڑھیں

Qatar Kay Baad Canada FIFA World Cup 2022 Say Bahar Honay Wali Doosri Team Ban Gaya Hay. Laikin Us Say  Pehlay History Zaroor Bana Di. Croatia Kay Khilaf Match Mein Alphonso Davies Nay 67 Seconds Mein Hi Goal Score Kar Dia. Ye Is FIFA World Cup Ka Fastest Goal Tha. Canada Nay 1986 Kay Mexico World Cup Kay Baad Pehli Baar FIFA World Cup Khela. Laikin Belgium Kay Khilaf Jaan Laranay Aur Phir Croatia Kay Against Start Hi Mein Lead Milnay Kay Bawujood Canada Jeet Nahi Saka. Croatia Nay Zabardast Comeback Kia Aur Ye Match 4-1 Say Jeeta. https://www.youtube.com/watch?v=sF1sgjsFSnw Khair,…

مزید پڑھیں

Kya Ye Upsets Ka World Cup Hay? Pehlay Saudi Arabia Nay Argentina Ko Haraya, Phir Japan Nay Germany Ko Shikast Di Aur Ab Morocco vs Belgium Match Mein Morocco Nay World No. 2 Ko Hara Kar Tehlka Macha Dia Hay. https://twitter.com/Football__Tweet/status/1596881177037922304?s=20&t=LmbYsUK6ynkNMZcfG-ESvw Al Thumama Stadium Mein Honay Walay Is Yaadgar Match Mein Decisive Moment Aaya 73rd Minute Mein. Jab Abdelhamid Sabiri Nay Free Kick Par Tournament Ka Pehla Goal Mara. Un Ki ‘Kamaal Kick’ Belgian Goalkeeper Thibaut Courtois Ko Bhi Dhoka Day Gai Aur Seedha Net Mein Gai. Phir Stoppage Time Mein Zakaria Aboukhlal Kay Goal Nay Lead Ko Double Kardia…

مزید پڑھیں

Saudi Arabia Nay FIFA World Cup Mein Argentina Ko Kya Haraya, Messi Pareshan Aur Dunya Hairan Reh Gai. Ye Itni Bari Kamyabi Thi Ke Is Par Waqai Saudi Players Ko Inam Milna Chahiye Tha. Aur Phir Aik Khabar Aa Gai Aur Aatay Hi Viral Bhi Ho Gai, Ke Saudi Crown Prince Mohammad Bin Salman Team Kay Har Member Ko Aik Rolls-Royce Phantom Car Gift Karain Gay. https://twitter.com/sportbible/status/1596254658472792065?s=20&t=r9bv2E_8CZ9Xpw78BHJRJQ MBS Nay Ye Ailan Kahan Kia? Kab Kia? Kuch Nahi Pata Laikin Khabar Jungle Ki Aag Ki Tarah Phailti Chali Gai. Kaun Sa Media House Tha Jis Nay Ye Khabar Nahi Di. Laikin……

مزید پڑھیں

Lagta Hay Elon Musk Kay Dimagh Ki Phirki Ghoom Chuki Hay. Kehtay Hain Agar Apple Nay Twitter Ko Apnay App Store Say Nikala To Mein Alternative Phone Laun Ga. Aik Tv Host Liz Wheeler Kay Tweet Kay Jawab Mein Musk Nay Kaha Ke Mujhe Umeed Hay Aisa Nahi Hoga, Laikin Agar Koi Raasta Nahi Bacha To Wo Muqablay Par Apna Smartphone Laen Gay. https://twitter.com/elonmusk/status/1596268804413476864?s=20&t=QrekdasbH1jtL5eKaZB9Kw Ye Jawab Milnay Par Wheeler Nay Aik Poll Tweet Kia Ja Kaha Ke Kya Aap Telonphone Lain Gay? Jis Par Approx. 53 Hazar Vote Aaey Hain Aur 56.2 Percent Logon Kay Jawab Hay ‘Haan’. https://twitter.com/Liz_Wheeler/status/1596266389760794628?s=20&t=I_PPlDkj7CNkMD7wHKZf_A Tesla…

مزید پڑھیں

'Google Play Store Ki Services Pakistan Main 1st December Se Unavailable Ho Jayen Gi.' Aaj Subah Lakhon Pakistanion Per Ye Khabar Bijli Ban Kar Giri. Khas Taur Per Gamers Bohat Pareshan Ho Gaye. Message Aur Call Kar Kar Ke Ye To Ye Khabar Aagay Barhatay Ya Is Ki Tasdeeq Kartay Rahay. Twitter Per Bhi 'Google Play Store' Top Trend Ban Gaya. Lekin Aap Pareshan Na Hon. Google Play Store Kahin Nahi Ja Raha. Kyunke Play Store Band Ya Unavailable Honay Ki Khabar Fact Nahi Fake Hay. Pakistan Ke Aik Baray Media Outlet Nay Apni Khabar Main Facts Ko Kuch Twist…

مزید پڑھیں

Twitter Blue Ka Ma’mla To Buhat Kharab Ho Gaya, Jisay Pause Karnay Kay Baad Ab Twitter Verified Nai Changes Ki Taraf Barh Raha Hay. CEO Elon Musk Kehtay Hain Ke Next Week Say Twitter Blue Ko Tentatively Yani Tajurbati Taur Par Phir Shuru Kia Jaey Ga. Is Test Launch Kay Liay Buhat Si Changes Ki Gai Hain. Jin Kay Mutabiq Companies Ko Aik Gold Check Mark Milay Ga Aur Government Officials Ko Grey Colour Ka. Individuals Kay Liay Blue Mark Hoga. https://twitter.com/elonmusk/status/1596053664338440192?s=20&t=3SkZX1RZ_4EObZcbqMB8Mw Musk Kehtay Hain Ke Sub Verified Accounts Ab “Manually Authenticated” Hon Gay. Us Kay Baad Hi Unhain Related…

مزید پڑھیں