Author: فہد کیہر

Senegal Kay Hathon Shikast Aur Phir Netherlands Aur Ecuador Ka Match Barabar Hotay Hi Qatar Football Team FIFA World Cup Say Bahar Ho Gai Hay. Jee Haan! World Cup Say Bahar Honay Wali Pehli Team Hi Host Ki Hay Aur Aisa History Mein Pehli Baar Hua Hay. Tareekh Ka Sab Se Mehnga World Cup Karwanay Wala Qatar Football Team Pehlay Hi Aik ‘Karnama’ Kar Chuka Tha. Wo Opening Match Mein Ecuador Say 2-0 Say Hara Tha. Is Say Pehlay Kabhi Host Team Apna First Match Nahi Hari Thi. Senegal Kay Khilaf 3-1 Ki Shikast Nay Qatar Football Team Ko Buhat…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Mein Jahan Qatar Kay Khilaf Zabardast Propaganda Jari Hay, Waheen Iran Football Team Ki Bhi Alag Hi Kahani Chal Rahi Hay. England Kay Against Match Mein Team Nay Apna Qaumi Tarana Hi Nahi Parha. Ye Iran Mein Anti-Government Protests Par Honay Walay Crackdowns Kay Khilaf Ehtajaj Ka Aik Tareeqa Tha. Aur Aisa Karnay Ki Is Say Ghalat Jaga Aur Is Say Ghalat Waqt Ho Nahi Sakta Tha. https://twitter.com/ESPNFC/status/1594699105066184704?s=20&t=g-4_WbHaJYsl5RhZDN8JUw Mulk Ki Sab Say Bari Team, Dunya Kay Sub Say Baray Stage Par Pehla Match Khelnay Ja Rahi Hay Aur Aap Ka Zehn Match Par Nahi Balkay Political…

مزید پڑھیں

World Cup Ka Pehla Hafta Mukammal Hotay Hi Sab Teams Nay Apna 1,1 Match Bhi Khel Lia Hay. Yani First Impression Aa Chuka Hay, Jo Last Impression Bhi Ban Sakta Hay. FIFA World Cup Round 1 Mein Kisi Team Nay To Buhat Hi Shandar Khel Pesh Kia To Kisi Nay Buhat Mayoos Kia. Aaen Dekhtay Hain, Kis Nay Kya Karnama Anjam Dia. Dominant Display Jin Teams Nay Ab Tak Most Dominant Display Dia Hay, Wo Spain Aur Brazil Hain. 2010 Kay World Champion Spain Nay Apnay Only Match Mein Costa Rica Ko 7-0 Say Haraya. Maana Ke Costa Rica Itni…

مزید پڑھیں

Pele ‘The Greatest’ Say Lay Kar Aaj Lionel Messi Tak Football Dunya Kay Kai Baray Naam Hain Jinhon Nay Maidan Mein Jersey No. 10 Pehni. Aur Sirf Ye 2 Nahi, Balkay Azeem Players Ki Aik Buhat Lambi List Hay Jinhon Nay 10 Number Ko Aik Legendary Status Dia. Diego Maradona, Johan Cryuff, Michel Platini, Roberto Baggio, Zinedine Zidane, Michael Owen, Kaka, Ronaldinho Aur Wayne Rooney, In Sub Ka Jersey No. 10 Tha! https://twitter.com/FrankKhalidUK/status/1504773398844555268?s=20&t=EyeS1DO4Jz_4FVGK0WIeEQ In Great Players Nay Football Ko Utnay Hi Greatest Moments Bhi Diay. Isi Liay Number 10 Football Mein ‘Greatness’ Ki Alaamat Samjha Jata Hay. Akhir 10 Number…

مزید پڑھیں

Nuclear Power, Sun’nay Mein To Khatarnaak Cheez Lagti Hay Laikin Haqeeqat Ye Hay Ke Ye Most Environment-Friendly Aur Clean Energy Hay. Kyunke Is Say Koi Carbon Dioxide Nahi Nikalti. Laikin… Aik Masla Hay, Wo Ye Ke Is Say Buhat Dangerous Radioactive Waste ‏Milta Hay. Ye Nuclear Waste Dunya Bhar Kay Nuclear Reactors Mein Jama Hota Rehta Hay. Experts Koshish Kar Rahay Hain Ke Koi Aisa Solution Nikal Jaey Ke Is Nuclear Waste Kay Masla Khatam Ho Jaey. Aur Is Ka Aik Hal Nikala Gaya Hay Radioactive Diamond Batteries Ki Shakal Mein. Ye Idea Sab Say Pehlay 2016 Mein Practical Soorat…

مزید پڑھیں

Aik Wo Din Tha Jab SKY vs Rizwan Muqablay Mein Rizwan Buhat Aagay Thay, Aur Ab Ye Haal Hay Ke Suryakumar Yadav Mohammad Rizwan Ko Rankings Kay Baad 2022 Mein Sub Say Zyada Runs Mein Bhi Peechay Chhor Chukay Hain. https://twitter.com/ICC/status/1595454861709033476?s=20&t=9UhmtmaQ7hcf358uFDa4IQ T20 World Cup Mein 239 Runs Bananay Walay SKY Nay New Zealand Kay Against T20i Series Mein Bhi 124 Runs Banaey. 2nd Match Mein Un Ki 111 Runs Ki Shandar Innings Nay India Ko Kamyabi Dilai. Aur Sath Hi Yadav Ko ICC Rankings Mein 895 Ki Career Best Rating Par Puhancha Dia. Unfortunately, Yadav Last Match Mein 13 Par…

مزید پڑھیں

Qatar Aur Iran To Koi Khaas Start Nahi Lay Sakay, Laikin Ab To Lag Raha Hay FIFA World Cup Mein Asia Ka Raj Hay. Saudi Arabia Kay Hathon Argentina Ki Upset Shikast Kay Baad Asia Nay Aik Aur Karnama Kardia Dikhaya Hay. Group 'E' Kay Japan Germany World Cup Match Mein Germany Ko Shikast Hui Hay, Yani ‘Parosi’ Mulkon Ki Jang Japan Kay Naam Rahi. 😉 https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1595627095442731008?s=20&t=CmsTwXnbZn351-kDXiFLSQ Germany Nay Match Mein Start To Acha Lia Tha, Lead Bhi Li Aur Phir Japan Ki Goal Post German Strikers Kay Musalsal Hamlon Ki Zadd Mein Thi. Laikin Last 15 Minutes Mein Japan…

مزید پڑھیں

Aik Din Ho Chuka Hay, Laikin Salem Aldawsari Ka Goal Ab Tak Dimagh Say Nahi Jaa Raha. Aur Yaqeen Karain, Buhat Lambay Arsay Tak Is Goal Ko Bhulaya Nahi Ja Sakay Ga. Kyunke Isi Goal Nay Argentina Kay Khilaf Saudi Arabia Ko Kamyabi Dilai Yani FIFA World Cup History Ka Sab Say Bara Upset Kia Hay. Is Kay Ilaway Aisay FIFA World Cup Best Goals Bhi Hain, Jin Ki Yadein Ab Bhi Zehnon Mein Hain. https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1595083659308048392?s=20&t=HJrhGYVcXR6BNQnIOwKV6Q Hand Of God Aur Goal Of The Century (Photo: Getty Images) 1986 Kay World Cup Quarterfinal Mein Diego Maradona Ka Wo Goal, Jo Unhon…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Mein England Kay Hathon Iran Ki 6-2 Say Shikast Nay Pakistani Football Fans Ko Bara Mayoos Kia. Phir Match Politicize Bhi Ho Gaya, Jis Say Dil Aur Kharab Hua. Laikin Aaj Saudi Arabia Nay To Hamaray Saray Gham Door Kardiay. Argentina Jaisi Hot-Favourite Team Kay Khilaf 2-1 Say Jeet Kar FIFA World Cup Biggest Upsets Mein Say Aik Kardia Hay. https://twitter.com/FIFAWorldCup/status/1595026416697217024?s=20&t=7M-phOIe_5HsSX3ZCk3kzA Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Argentina Nay Match Kay First 10 Minutes Mein Hi Lead Lay Li Thi. Laikin Second Half Mein Saudi Arabia Nay Sab Ko Hairan Kardia. 48th Minute Mein Saleh Alshehri…

مزید پڑھیں

FIFA World Cup 2022 Apni Poori Shan Kay Sath Jari Hay. Tuesday 22nd November Ko Honay Walay Aik Match Mein Mexico Aur Poland Bhi Khelain Gay. Ye Important Match Jis Maidan Par Khela Ja Raha Hay, Us Ka Naam Hay Stadium 974. Ye Bhala Kya Naam Hua? Is Kay Peechay Aik Zabardast Kahani Hay. https://twitter.com/miseleccionmxEN/status/1591537819763326983?s=20&t=dRj1-8ZRfFzC6-YpyUm5bA Stadium 974 FIFA World Cup Kay Liay Tayyar Kiay Gaey Maidanon Main Say Aik Hay. Is Ka Iftatah Pichlay Saal November Mein Hua Tha. Shuroo Mein Isay Ras Abu Aboud Stadium Kaha Gaya, Laikin Phir Ye Naam Badal Kar ‘Stadium 974’ Rakh Dia Gaya. Ye…

مزید پڑھیں