Author: فہد کیہر

Aajkal Dry Shampoos Ka Trend Buhat Chal Raha Hay. Agar Aap Bhi Koi Dry Shampoo Istamal Kar Rahay Hain To Zara Rukan! Aik Martaba Phir Soch Lain, Dekh Lain, Samajh Lain!. Kyunke Consumer Goods Bananay Wali Dunya Ki Barri Companies Main Say Aik Unilever Apnay Dry Shampoos Market Say Utha Chuki Hay. Laikin Kyun? Kyunke Un Main Benzene Kuch Zyada Hi Hay. Aik Carcinogen Chemical Hay Yani Is Say Aap Ko Cancer Ho Sakta Hay. Ye Hum Nahi US Food And Drug Administration (FDA) Kehta Hay. Benzene, Aik Carcinogen Benzene Aisa Chemical Hay Jo Insanon Main Cancer Ki Waja Ban…

مزید پڑھیں

Olympics Kay Baad Dunya Ka Sub Say Barra Sporting Event Hay FIFA World Cup. Jo Bus Shuroo Honay Hi Wala Hay. History Mein Pehli Baar Middle East World Cup Ka Mezban Banay Ga. Qatar Is Event Ko Kamyab Bananay Ki Koshish To Kar Hi Raha Hay, Laikin Sath Hi Apnay Khilaf Propaganda Ko Torrnay Ki Strategies Bhi Bana Raha Hay. Is Silsilay Mein Aik Project Hay Dunya Kay Mukhtalif Mulkon Kay Fans Ko Invite Karnay Ka, Ke Wo World Cup Dekhnay Qatar Aaen. Aur Un Say Expect Bhi Kia Ja Raha Hay Ke Wo Social Media Par Qatar Aur World…

مزید پڑھیں

International Cricket Main Sub Say Zyada Paisa Kis Main Hay? Pakistan Aur India Kay Match Main. Kuchh Din Pehlay Hum Nay Dekha, Sub Nay Dekha. T20 World Cup Main Pakistan Aur India Ka Match Dekhnay Kay Liay Melbourne Cricket Ground Main Record 90,000 Say Zyada Fans Mojood Thay. Itnay Laug To Khud Australia Kay Matches Main Nahi Aaey. Yahi Waja Hay Ke Ab Sub Ki Raal Tapak Rahi Hay. T20 World Cup 2022 Main Pak-India Match Ko Record 90,293 Spectators Nay Dekha (Photo: AFP) Australia Kay Sabiq All-Rounder Aur Famous Commentator Simon O’Donnell Nay Kaha Hay Ke Pakistan Aur India…

مزید پڑھیں

World Cup Hamesha Captains Kay Liay Bhaari Hota Hay. Trophy Aik Ko Milti Hay, Baqi Sab Ko To Apni Kaptaani Kay Laalay Parr Jatay Hain. Laikin Ye T20 World Cup To Captains Kay Liay Khaas Taur Par Mushkil Laya Hay. Pooray Tournament Main Ab Tak 31 Matches Ho Chukay Hain, Aur 12 Main Say Sirf 4 Captains Nay Koi 50+ Ki Innings Kheli Hay. Australia Kay Aaron Finch Nay Aaj Ireland Kay Khilaf 44 Balls Par 63 Runs Banaey. 42 Runs Ki Jeet Par Unhain Man Of The Match Ka Award Bhi Mila. Laikin Is Say Zyada Khushi Ki Baat…

مزید پڑھیں

Fans Chahay Film Stars Kay Hon Ya Cricketers Kay. Kabhi Kabhi Hadd Kar Detay Hain, Balke Har Hadd Paar Kar Detay Hain. India Kay Virat Kohli Bhi Aik Fan Ki Aisi Hi Harkat Samnay Laey Hain, Jo Seedha ‘Kohli Ki Kholi’ Maina Hi Ghuss Gaya. Indian Batsman Nay Instagram Par Aik Video Share Ki Hay Jis Main Dikhaya Gaya Hay Ke Aik Fan Nay Kohli Kay Hotel Room Ki Detailed Video Banai Hay. Jis Ka Caption Hay “King Kohli’s Hotel Room”. Unhon Nay Isay Privacy Breach Qarar Dia Hay. View this post on Instagram A post shared by Virat Kohli…

مزید پڑھیں

Sub Yahi Samajh Rahay Hain Ka Pakistan T20 World Cup Say Bahar Ho Chuka Hay. Kisi Hadd Tak Ye Baat Theek Bhi Hay, Laikin Technically Ab Bhi Pakistan Ka Semi-Final Tak Puhanchna Possible Hay. Asal Main India Kay Khilaf South Africa Ki Kamyabi Nay Pakistan Kay Chances Ko Barra Nuqsan Puhanchaya Hay. Phir Bhi Pakistan Race Main Baqi Hay. Ye Mushkil Zaroor Hoga, Laikin Na-Mumkin Nahi. Kyunke Cricket Main Kuchh Bhi Na-Mumkin Nahi Hota. To Possibility Ye Hay Ke Pakistan Apnay Baqi Donon Matches Jeetay. South Africa Ko Bhi Haraey Aur Phir Bangladesh Ko Bhi. Is Say Pakistan Kay Points…

مزید پڑھیں

T20 World Cup Ka ‘Super Sunday’ Guzar Gaya. Pakistan Pehli Baar Australia Main Koi T20i Jeeta. Netherlands Kay Khilaf Is Match Ka Sub Say Khatarnaak Lamha Wo Tha Jab Haris Rauf Ka Aik Bouncer Dutch Batsman Bas De Leede Ko Zakhmi Kar Gaya. Yoon Pakistani Bowlers Kay Killer Bouncers Ki List Main Aik Naya Izafa Ho Gaya. 142 Kilometers Per Hour Ki Ye Ball Itni Zaur Say De Leede Kay Helmet Par Lagi Thi Ke Impact Say Hi Helmet Ki Grill Chehray Par Lag Gai. De Leede Retired Hurt Ho Kar Pavilion Wapis Aa Gaey. Ab Shayad Un Ka World…

مزید پڑھیں

Kitna Achha Din Ja Raha Tha Na? Bangladesh Zimbabwe Ko Hara Chuka Tha. Pakistan Netherlands Kay Khilaf Kamyabi Hasil Kar Chuka Tha. Bus T20 World Cup Kay Is Itwar Ko ‘Super Sunday’ Bananay Kay Liay Aik Kaam Hona Reh Gaya Tha. India South Africa Ko Hara Day. Phir Hamain Wo Match Dekhnay Ko Mila Jis Main Pakistanion Kay Zakhmon Kay Liay Buhat Sa Namak Tha. South Africa 134 Runs Chase Kar Raha Tha, Sirf 24 Runs Par 3 Khilari Out Ho Gaey. Match Par India Ki Grip Mazboot Thi. Laikin Phir "Najanay Kyun" India Kay Haath Pair Phhool Gaey? Catches…

مزید پڑھیں

Pakistan Nay Netherlands Ko Hara Kar T20 World Cup 2022 Main Apni Pehli Kamyabi Hasil Kar Hi Li. Balke, Ye World Cup Main Hi Nahi Australia Ki Sarzameen Par Bhi Pakistan Ki Pehli T20i Victory Hay. Jee Haan! Pakistan Aaj Say Pehlay Australia Main Kabhi Koi T20 International Nahi Jeeta Tha. Buhat Dair Ki Mehrban Aatay Aatay! ICC T20 World Cup 2022, 29th Match Pakistan vs Netherlands 30 October 2022 Perth Stadium, Perth, Australia Result: Pakistan 6 Wickets Say Jeet Gaya NED91-9Colin Ackermann27 (27)Scott Edwards15 (20) PAK BowlingOMRWShadab Khan40223Mohammad Wasim30152 PAK(T:92)95-4Mohammad Rizwan49 (39)Fakhar Zaman20 (16) NED BowlingOMRWBrandon Glover2.50222Paul van Meekeren40191…

مزید پڑھیں

Uff… Kya Match Tha Yaar! Bilkul Pak-India Match Ki Tarah Thrilling, Unpredictable Aur Harnay Walay Kay Liay Heartbreaking Bhi. Bangladesh Zimbabwe Kay Khilaf Sirf 3 Runs Say Jeet Gaya Aur Apnay Sath Pakistan Ki Tournament Main Wapsi Ka Chance Bhi Bana Dia Hay. Zimbabwe Ko Last Over Main Qismat Nay Aik Moqa Bhi Dia, Laikin Set Batsman Ryan Burl Ko Over Ki First Ball Par Run Lainay Ki Ghalti Mehngi Parr Gai, Wo Akhri Ball Tak Strike Wapis Nahi Lay Sakay Aur Blessing Muzarabani Last Ball Par Required 4 Nahi Laga Sakay. ICC T20 World Cup 2022, 28th Match Bangladesh…

مزید پڑھیں