Author: فہد کیہر

Kuch Din Pehlay Kisi Ne Socha Bhi Tha Ke Pakistan T20 World Cup Ka Semi-Final Khailay Ga? Aisa Kisi Die-Hard Pakistani Fan Ke Khwabon Mein Nahi Hoga. Lekin Yeh Pakistan Cricket Hai Bhayya! Yahan Kisi Bhi Waqt Kuch Bhi Ho Sakta Hai. Pakistan vs Bangladesh Match Mein Pakistan Ki Jeet Nay Green Shirts Kay Liay T-20 World Cup Semi-Final Ka Darwaza Khol Dia Hay. https://twitter.com/babarazam258/status/1589176902962774016?s=20&t=W1zzpc_x2cox-YygLMmz4A T20 World Cup Ke Group Stage Ke Aakhri Din Netherlands Ke Hathon South Africa Ki Shikast Ne Pakistan Ko Who "Mauqa" Dia, Jis Ka Usay Intizaar Tha. Apnay Last Match Mein Pakistan Nay Bangladesh Ko…

مزید پڑھیں

Woh Ho Gaya Jo Socha Bhi Nahi Tha. Itwaar Ki Subah Abhi Adhay Pakistanion Ki Ankhen Bhi Theek Se Nahi Khuli Hon Gi Ke Unhen Aik Moajze Ki Khabar Mili. T20 World Cup Kay South Africa vs Netherlands Match Mein 'Orange Toofan' Nay Sab Se Barra Upset Kar Dia. Jee Haan! South Africa Aik Martaba Phir Choke Kar Gaya. Adelaide Mein ‘Super-Duper Sunday' Ke Pehlay Muqablay Mein South Africa 13 Runs Se Haar Gaya Aur Yun Tournament Se Hi Bahar Ho Gaya. Woh Team Jo Koi Match Nahi Haari Thi, Apne Last Matches Mein Pehlay Pakistan Aur Phir Netherlands Se…

مزید پڑھیں

Ye T20 World Cup Bhi Kya Zabardast Tournament Raha Hay. Group Stage Kay Last Din Tak Samajh Nahi Aa Rahi Ke Kaun Semi Final Khelay Ga Aur Kaun Bahar Hoga? Khair, Group 1 Ka Faisla To Ho Chuka Hay Jahan New Zealand Kay Baad England Bhi T20 World Cup Semi-Final Main Puhanch Chuka Hay. Sri Lanka Kay Khilaf Last Match England Kay Liay Must-Win Tha. Australia Ki Nazrain Bhi Is Match Par Theen. Host Aur Defending Champion Australia Dua Kar Raha Tha Ke Sri Lanka England Ko Hara Day. Kyunke Wo Net Run Rate Par To England Ko Peechay Nahi…

مزید پڑھیں

India Ki Famous Edu-Tech Company Byju’s Nay Aik Taraf “Sorry” Keh Kar 2500 Apnay Employees Nikal Diay, Laikin Kuchh Din Main Hi Lionel Messi Ko Apna Brand Ambassador Bana Dia Hay. Pehlay Byju’s Nay Logon Ko Ye Keh Kar Nikala Ke Company Ko Financial Crunch Ka Samna Hay. Laikin Sirf 3 Din Baad Company ‘Global Expansion’ Kay Naam Par Aik Icon Player Ko Hire Karti Hay. Samajh Nahi Aai Boss! Shayad Ye Paisa Employees Ko Nikaal Kar Hi Jama Kia Gaya Hoga. Kyunke Messi Dunya Kay Sub Say Zyada Kamanay Walay Players Main Say Aik Hain. Un Ki Income Almost…

مزید پڑھیں

Twitter Par Verification Process Shuru Se Hi Bohat Controversial Raha Hai. Verified Users Kay Selection Process Par Par Hamesha Bohat Criticism Hota Raha Hai. Yeh Waqai Itna Acha System Nahi Tha Lekin Ab Naey Maalik Elon Musk Ka Plan To Lagta Hai Verification Process Ko Tabah Kar Day Ga, Aur Sath Hi Twitter Ko Bhi. Is Main Koi Shak Nahi Ke Elon Musk Ko Twitter Bohat Pasand Hai, Itna Ke Woh 44 Billion Dollars Kharch Karnay Par Bhi Tayyar Ho Gaey, Lekin Woh Samajte Nahi Ke Aakhir Twitter Ko Chalati Kya Cheez Hai? Aap Ko Acha Lagey Ya Bura, Lekin…

مزید پڑھیں

Sydney Ki Yeh Khoobsurat Shaam Shayad Kabhi Bhulai Na Ja Sakay. Afsos, Pakistan Mein Jo Siyasi Halaat Peda Hue, Un Ki Wajah Se Is Shandaar Match Ka Zikar Nahi Ho Raha. Lekin Yeh Muqabla Aisa Tha Jisay Aik Baar Nahi, Baar Baar Balkay Hazaar Baar Dekhna Chahiye. Ye Tha Pak-SA T20 World Cup Muqabla. Mohammad Haris Ke Atay Hi Kagiso Rabada Ko Chhakay, Chokay. Phir Anrich Nortje Ko Scoop Par Lagaya Gaya Kamaal Six. Is Ke Baad Shadaab Khan Aur Iftikhar Ahmed Ki Tabahi Batting, Aur Un Sab Par Nasir Hussain Ki Commentary. Pakistani Cricket Fans Ke Liye Is Se…

مزید پڑھیں

Barish Ne T20 World Cup Ke Kayi Matches Kharab Kiye Hain. Lekin Jo Matches Khelay Gaye, Kamaal Ke Huay Hain. Maza Hi Aa Gaya. Yeh Tournament Kitna Competitive Raha Hay? Is Ka Andaza Is Baat Se Lagayen Ke Sab Teams Apne 4,4 Matches Khel Chuki Hain Lekin Ab Bhi 12 Mein Se 10 Teams Semi Final Ki Race Mein Mojood Hain. Jee Haan! Pakistan Bhi. Chalain Dekhte Hain Ab Bhi Pakistan Semi Final Mein Kaisay Pohanch Sakta Hai? ICC T20 World Cup 2022 Points Table Super 12 - Group 2 MWLN/RPTNRR IND43106+0.730 SA42115+1.441 PAK42204+1.117 BAN42204-1.276 ZIM41213-0.313 NED41302-1.233 Pakistan T20 World…

مزید پڑھیں

Pakistan Ab Bhi Zinda Hay. T20 World Cup Main Ab Bhi Pakistan Ka Aik ‘Thorra’ Sa Chance Baqi Hay. South Africa Kay Against Aik Zabardast Kamyabi Main Mohammad Haris Ka Dia Gaya Initial Momentum, Us Kay Baad Iftikhar Ahmed Aur Shadab Khan Ki Shandar Fifties Kaam Aaen. Bowling Main Shaheen Afridi Tak Chal Parray, Mohammad Waseem Ki Nailed Yorkers Aur Shadab Khan Ki Googlies Nay Bhi Kamal Dikhaya. Aaj Sab Kuchh Tha, Nahi Thi To Babar Azam Ki Performance Nahi Thi. Babar Azam Sirf Aaj Nahi Balkay Poooray World Cup Mein Nakaam Hi Rahay Hain. India Ke Khilaaf Most Important…

مزید پڑھیں

Hum Ne To Pehlay Hi Kaha Tha Ke “92 Mein Bhi Aisa Hi Hua Tha”. Australia Champion Ho, Home Ground Par Apne Title Ko Defend Kar Raha Ho To Buri Tarah Phans Jata Hai. T20 World Cup Main Australia Kay Chances Kay Sath Bhi Kuch Aisa Hi Hai. Group 1 Mein Apne 4 Matches Khailnay Ke Baad Australia Points Table Par 3rd Number Par Hai. Kyunkay Semi Final Ke Liye Group Se Sirf 2 Teams Hi Qualify Kar Sakti Hain, Is Liye Waqt Kam Aur Muqabla Sakht Hai. Australia Ke Is Waqt 5 Points Hain, Aur New Zealand Aur England…

مزید پڑھیں

Baat Ho Big Sixes Laganay Ki To Pakistan Cricket Team Mein Iftikhar Ahmed Se Acha Batsman Koi Nahi. Aaj T20 World Cup Kay Pakistan Vs South Africa Match Mein Unhon Ne Yeh Baat Aik Martaba Phir Saabit Bhi Kar Di. Aur Laga Dia T20 World Cup Ka Biggest Six. Pakistani Innings Ke 16th Over Mein Iftikhar Ahmed Ne Lungi Ngidi Ko Aisa Six Lagaya Ke Ball Sydney Cricket Ground Kay 2nd Tier Par Ja Giri. Baad Mein Pata Chala Ke Yeh Six 106 Matters Lamba Tha. Itna Barra Chakka To Ab Tak Tournament Mein Koi Batsman Nahi Laga Saka. Iftikhar…

مزید پڑھیں