Pakistani Doctor Salahiytaon Main Dunya Main Kisi Se Kam Nahi, Yehi Wajah Hay Ke Pakistani Doctron Ko Dunya Bhar Main Hathon Haath Liya Jata Hay. Har Saal Saikron Pakistani Watan Chhor Kar Berun-e-Mulk Chalay Jatay Hain. Pakistani Doctor Usa, Uk, Ireland, Canda, Saudia Arabiya Samait Dunya Ke Har Mulk Main Kaam Kar Rahay Hain.

Agar Aap Bhi Doctor Hain Aur Pakistan Se Bahar Ja Kar Practice Karna Chahtay Hain Tou Ireland Jana Aap Ke Liye Bohat Asan Hay Kiune Ireland Main Pakistan Ki House Job Ko Accept Kiya Jata Hay Lekin Zaruri Hota Hay Ke Aap Ne Medicine Aur Surgery Main 3,3 Mahinay Ke Liye Rotate Kiya Ho. Pakistan Main PMC Ki Guideline Ke Baad 2013 Se Aisa Hi Hota Hay.

Pakistani Doctor Ke Liye Ireland Move Honay Ka Process

Aaiye Step By Step Jantay Hain Ke Aik Pakistani Doctor Ireland Kese Ja Sakta Hay Aur Us Per Kitna Kharcha Aata Hay.

Step 1- Apni House Job Complete Karen, PMC Se House Job Aur Experience Certificate Hasil Karen. Is Per Almost 3,000 Rupay Kharach Hon Ge.

Step 2- OET Ya IELTS (Minimum 6.5, Average 7) Ka Exam Jald Az Jald Den. Agar Aap House Job Ke Dauran Hi Ye Exam De Dain Tou Is Se Waqt Ki Bohat Bachat Ho Gi. Kiyunke Test Result 2 Saal Tak Valid Rehtay Hain. OET Ki Fee 600 Australian Dollar Hay, IELTS Per Is Se Adha Kharch Aata Hay Lekin Wo Pass Karna Thora Mushkil Hota Hay.

Step 3- EPIC ECFMG Per Account Banayen, Agar Ye Account Bhi House Job Ke Dauran Bana Len Tou Aap Ka Waqt Bachay Ga. Us Per Apni Medical Degree Upload Kar Den Aur House Job Ke Baad PMC Ka Certificate. Dono Document Aik Saath Upload Karna Zaruri Nahi Hota Is Liye Experience Certificate Ka Intezar Na Karen. EPIC Account Aur Verification Per Almost 500 Euro (525 Dollar) Kharcha Aaye Ga.

Step 4- IELTS/OET Aur Epic Account Ke Baad Irish Medical Council (IMC) Ki Website Per Account Banayaen. Is Ke Fee 450 Euro (475 Dollar) Hay. Yahan Aap Ko EPIC Se Request Karni Parti Hay Ke Wo Aap Ke Document IMC Ko Bhejay. Is Ke Elawa Aap Ko IELTS/OET Ka Result, Degree Aur Experience Certificate Court Se Notarized Karwa Kar Physical Mail Se Bhejnay Partay Hain. Aap Achi Courier Company Chose Karen Takay Document Waqt Per Aur Ba  Hifazat Pohanch Jayen.

Step 5- Us Ke Baad IMC Aap Ko Aik Form By Post Bhejay Gi Jo Fill Kar Ke Wapas Post Karna Hoga. Ye Sara Process 6 Se 8 Mahinay Main Pura Hota Hay Jis Ke Baad App Ko IMC Ki Registeration Mil Jati Hay Aur Aap Ko Mazeed 500 Euro (527 Dollar) Pay Karnay Partay Hain.

Step 6- Is Ke Baad Aap Ko Ireland Main Job Ke Liye Apply Karna Parta Hay. Online Apply Kartay Rahen, Kartay Rahen. Job Milnay Main Time Zarur Lag Sakta Hay Lekin Eventually Job Zarur Mil Jati Hay. Aisay Bohat Se Log Hain Jin Ko Pehle Mahinay Main Hi Kamyabi Mil Gayi Aur Aisay Afrad Bhi Hain Jin Ko Aik Saal Baad Job Mili.

 Step 7- Job Offer Milnay Ke Baad Work Permit Ke Liye Apply Karen, Jo 3 Se 4 Mahinay Main Mil Jaye Ga. Is Ke Baad App Ireland Ki Flight Pakren Ge Aur Apni Nai Manzil Ke Taraf Rawana Ho Jayen Ge.

2009 Ke Baad Se Pakistan Main MBBS Aur House Job Karnay Walon Ke Liye Yehi Standard Process Hay. Aisay Doctor Jinhon Ne Masters Ya FCPS Kar Liya Ho Un Ko Bhi Isi Process Se Guzarna Hoga.

Pakistan Se Ireland Move Honay Main Almost 5,000 Se 6,000 Euro (5250 Se 6300 Dollar) Ka Kharcha Aata Hay. Ireland Main Doctor Ka Pay Scale 45,000 Se 84,000 Euro Per Annum Hay Jo Qualification Aur Experience Per Depend Karta Hay.

Doctors' Pay Scale In Ireland
شیئر

جواب لکھیں