James Cameron Ki Avatar: The Way of Water Release Kay Baad Sirf 4 Hafton Mein Hi 1.7 Billion Dollars Kama Gai Hay, Yani 2022 Mein Release Honay Wali Highest Grossing Film Bhi Bani Hay Aur Sath Hi History Ki 7th Sub Say Zyada Kamanay Wali Movie Bhi.

Is Weekend Par Avatar 2 Ki Kamai 1.709 Billion USD Tak Ja Puhanchi. Youn Ye 2019 Ki The Lion King Kay 1.663 Aur 2015 Ki Jurassic World Kay 1.672 Billion Dollars Ko Peechay Chhor Gai Hay.

International Box Office Mein Bhi 1.19 Billion USD Kama Kar Avatar 2 Post-Pandemic Era Mein Sub Say Zyada Kamanay Wali Overseas Movie Ban Gai Hay. Overseas Market Mein Ye Ab Bhi Avatar, Avengers: Endgame, Titanic Aur Avengers: Infinity War Say Peechay Hay.

Ab Nazrain 2 Billion USD Par

Ab Avatar 2 Ki Nazrain 2 Billion Dollars Kay Landmark Par Hain. Jo Aaj, Is Pandemic Kay Daur Mein Aik Na-Mumkin Si Baat Lagti Hay.

History Mein Sirf 5 Movies Aisi Hain Jinhon Nay 2 Billion Dollars Ka Milestone Paar Kia Hay. Avatar Nay 2.9 Billion USD, Avengers: Endgame Nay 2.79, Titanic Nay 2.2, Star Wars: The Force Awakens Nay 2.06 Aur Avengers: Infinity War Nay 2.04 Billion Dollars Kamaey Thay.

Waisay Avatar: The Way of Water 2 Billion Dollars Cross Kar Gai To Wo Avatar Aur Titanic Kay Baad Aisa Karnay Wali James Cameron Ki Third Movie Hogi. Phir Avatar Series Mein 2024, 2026 Aur 2028 Main Mazeed Movies Bhi Aayen Gi, Yani Kamanay Ka Silsila Ruknay Wala Nahi Hay.

Avatar 2, Release, Kahani Aur Duration

Avatar Ka Ye Sequel 13 Saal Baad 16 December 2022 Ko Release Hua.

'Avatar: The Way Of Water' Ki Story Bhi Jake Sully (Sam Worthington) Aur Neytiri (Zoe Saldaña) Kay Gird Ghoomti Hay. Pehli Avatar Kay In Donon Main Characters Ki Kahani Aik Naey Morr Par Puhanchti Hay Jis Mein Wo Dono Apni Family Aur Planet Pandora Ko Aik Naey Khatray Say Bachanay Ki Koshish Kertay Hain.

Film Ki Duration 3 Hours 10 Minute Hay. Yani Aaj Ki Films Say Kaheen Zyada. Laikin Is Say Bhi Zyada Hairan Karnay Wala Hay Is Film Ka Budget, Jo 460 Million Dollars Tak Hay.

شیئر

جواب لکھیں