Pakistan Mein Pabandi To Lagti Rehti Hay, Kabhi Double Savari Par To Kabhi Movies Par. 1959 Mein Jago Hua Savera Say Aaj Joyland Tak, Aisi Movies Ki List Buhat Lambi Hay Jo Totally Banned Raheen, Ya Unhain Kisi Na Kisi Stage Par Pabandi Ka Samna Karna Para.

Laikin Baat Pakistan Tak Mehdood Nahi. Syasi Aur Mazhabi Donon Waja Say Dunya Bhar Mein Kai Films Par Ban Lagaya Ja Chuka Hay. Balkay Kuch Reasons To Aisay Hain Ke Sun Kar Hansi Aati Hay.

Aayen Aaj Aap Ko Kuch Aisi Famous Movies Kay Baray Mein Batatay Hain, Jo Mukhtalif Mulkon Mein Pabandi Ka Nishana Bani Hain.

Battle Of Algiers

Banned Movies

Ye 50s Aur 60s Mein France Kay Khilaf Algeria Ki War Of Independence Par Banagi Gai Aik Shahkaar Film Hay. Algeria Ki Azadi Kay Haq Mein Banai Gai Is Movie Par 6 Saal Tak France Mein Pabandi Rahi. Kyunke France Hi Nay To Algeria Par Qabza Kia Hua Tha.


Battleship Potemkin

Banned Movies

Banned Movies Mein Ye He 1925 Ki Aik Silent Classic, Jo 1905 Mein Aik Russian Ship Par Honay Wali Baghawat Ki Kahani Hay. Is Film Par Germany Aur Doosray Mulkon Main Pabandi Lagai Gai. Aik Zamana Tha Ke Is Movie Say Mulk Dartay Thay Ke Isay Dekh Kar Communist Inqilab Na Aa Jaey, Aaj Ye Film Courses Mein Parhai Jati Hay.


A Clockwork Orange

Banned Movies

Famous Director Stanley Kubrick Ki Aik Buhat Hi Khatarnaak Film, Aik Psychopath Ki Kahani Jo Sab Limits Cross Kar Jata Hay. 1971 Ki Ye Film To Dunya Ka Kai Mulkon Main Pabandi Ka Nishana Bani. Kubrick Ki Family Ko Threats Milay To England Mein Bhi Isay Cinemas Say Utha Lia Gaya. Ye Film Kubrick Ki Zindagi Mein To Release Nahi Hui, 1999 Mein Un Kay Marnay Tak To Nahi.


Dr. Strangelove

Banned Movies

Banned Movies Ki List Mein Aik Kubrick Ki Aur Film, Jo Finland Ko Buhat Buri Lagi. Usay Laga Ke Is Film Mein Jo Baat Tanz Mein Ki Gai Hay, Wo Kaheen Haqeeqat Na Ban Jaey. Is Liay 1964 Mein Film Release Hotay Hi Finland Nay Is Par Ban Laga Dia, Takay Parosi Soviet Union Naraz Na Ho Jaey.


The Great Dictator

Banned Movies

Charlie Chaplin Ki Pehli Aisi Film, Jo Silent Nahi Thi. Jab Germany Par Nazi Party Ka Raj Tha, Tab Chaplin Nay Fascism Kay Khilaf Ye Film Khud Likhi, Khud Direct Ki Aur Phir Acting Bhi Khud Hi Ki. Is Movie Nay To Record Torr Diay. Laikin 1940 Mein Is Movie Par Sirf Nazi Germany Mein Hi Nahi, Latin America Mein Bhi Pabandi Lagi.


The Interview

Banned Movies

Purani Movies Ka Buhat Zikar Hua, Ab Aik Zara Si New Movie Dekhtay Hain. 2014 Mein Banai Gai Seth Rogen Aur James Franco Ki Comedy Film The Interview, Jis Mein North Korea Kay Rehnuma Kim Jong-Un Ko Qatal Karnay Ki Koshish Dikhai Gai. North Korea Mein To Khair Sab American Movies Par Pabandi Hay, Laikin Is Film Par To Russia Nay Bhi Ban Laga Dia Tha.


The Simpson Movie

Banned Movies

Kisi Bhi Movie Par Pabandi Lagti Hay To Us Ki Koi Na Koi Solid Waja Hoti Hay. At Least Wo Mulk To Aisa Hi Samajhta Hay. Laikin 2007 Ki Movie The Simpson Ka Ma'mla Bilkul Ajeeb Tha. Myanmar Yani Bumra Nay Is Movie Ko Sirf Is Liay Ban Kia Kyunke Is Mein Yellow Aur Red Colours Isteymal Huay Thay. Jo Mulk Kay Baghi Groups Ka Rung Thay.


The Wolf of Wall Street

Banned Movies

Martin Scorsese Ki Movies Aaj Bhi Waisi Hi Hoti Hain, Jaisi Jawani Mein Hoti Theen. Start Mein Hi Un Ki Kuch Films Par Bans Lagay, Laikin Is Umar Mein Bhi Un Ki Movies Aisi Hi Hain. 2013 Mein Unhon Nay Aik Controversial Movie Banai, The Wolf of Wall Street, Jis Par Malaysia, Nepal, Zimbabwe Aur Kenya Mein Pabandi Lagi.


Zoolander

Banned Movies
Movies Jin Par Pabandi Lagi 1

Ben Stiller Ki Ye Hit Film Kai Mulkon Main Ban Hui. Sab Say Pehlay To Malaysia Nay Is Par Pabandi Lagai, Aur Lagana Bhi Chahiye Tha. Kyunke 2001 Ki Is Film Mein Malaysia Kay Prime Minister Ko Qatal Karnay Ki Sazish Dikhai Gai Thi.


The Da Vinci Code

Banned Movies

2006 Ki Ye Film Apni Kitab Ki Tarah Dunya Bhar Mein Buhat Controversial Rahi. Is Mein To Intellectuals Aik Murder Ka Case Mein Phans Jatay Hain, Aur Phir Jo Hota Hay Wo Catholic Church Aur Christianity Ki 2,000 Saal Ki History Tak Jata Hay. Mazhabi Jazbat Ki Waja Say Is Par Pakistan Kay Ilawa Egypt Aur Sri Lanka Mein Bhi Ban Laga.

شیئر

جواب لکھیں