Tik Tok Nay Jahan Hareem Shah Ko Shohrat Ki Bulandi Tak Pauhanchaya, Waheen Kuch Aisi Controversies Bhi Hain, Jin Ki Waja Sai Hareem Shah Mushkil Mai Phans Gaein.

Kabhi Sensitive Places Per Video Shoots, Tou Kabhi Ghair Mulki Currency Smuggle Kernay Kay Ilzamaat Nay Hareem Shah Ko Pareshan Kia.

Ab Money Laundering Case Main Hareem Shah Nay Sindh High Court Ka Rukh Kar Lia Hay, Jahan Unhon Nay Social Media Per Milnay Walay Threats Ki Waja Say Security Ka Mutalba Kardia Hay.

Sindh High Court Hareem Shah Kay Khilaaf FIA Money Laundering Case Ki Investigation Ker Rahi Hay.

FIA Nay January 2022 May Fizza Hussain Urf Hareem Shah Kay Khilaaf Investigation Ka Shuroo Ki Thi. Wo 3 October 2022 Ko Babar Say Pakistan Pauhanchi Hain. Sindh High Court Nay Un Ki Security Bail Approve Kertay Hoay Unko FIA Say Co-operate Kernay Ka Kaha Hay.

FIA Nay Jis Case May Hareem Kay Against Investigation Shuru Ki Hai, Uss Kay Baray Main Hareem Nay Dawa Kiya Hay Ke Jis Video Ka Case Main Zikar Hay, Who Video Sirf Mazaq Main Banai Gai Thi, Aur MainApni Ghalti Tasleem Kerti Hoon.

شیئر

جواب لکھیں