Taylor Swift History Ki Pehli Artist Ban Gai Hain, Jo US Single Charts Kay Tamam Top 10 Par Qabza Kar Chuki Hain.

Unhon Nay September 2021 Main Drake Ka 9/10 Banaya Gaya Record Torra Hay. Woh "The Beatles" Ka 8-10 Ka Record Torr Kar Is Number Per Aaey Thay.

Taylor Swift Ki Ye Kamyabi Asal Main Un Kay New Album "Midnights" Ki Waja Say Hay. Ye 2022 Main Fastest Selling Album Ban Gaya Hay.

Taylor Swift Nay Khud Bhi Tweet Kia:

32 Years Singer Ka Single ‘Anti-Hero’ Is Waqt Tik Tok Par Trend Bhi Ban Chuka Hay. Baqi 10 Songs Main Is Album Kay Songs Lavender Haze, Maroon, Snow On The Beach, Bejewelled Aur Karma Shamil Hain.

Midnights Kay Standard Edition Kay Sub 13 Songs Is Waqt Top 15 Main Mojood Hain.

Billboard Magazine Ka Kehna Hay Kay Taylor Swift Kay New Album Nay Kai Records Torray Hain. Woh Chart History Main Sab Say Zyada Top 10 Songs Rakhnay Wali Women Singer Ban Gai Hain.

Un Kay 40 Songs Aisay Hain Jo Top 10 Main Aaey Hain. Yoon Unhon Nay Madona Ka 38 Songs Ka Record Torr Dia Hay. Laikin Wo Drake Kay 59 Songs Kay Record Say Abhi Peechay Hain.

Iss Kay Ilawa, Midnights History Ka Pehla Album Bhi Bana Hay Jis Kay Sub Ganay Top 10 Main Aaey Hain.

Sirf Billboard Par Hi Nahi, Taylor Swift Ka Album Streams Kay Record Bhi Torr Raha Hay, Spotify Par Bhi, Apple Aur Amazon Music Par Bhi.

شیئر

جواب لکھیں