Babar Azam Nay Aik Aur Trophy Jeet Li! International Cricket Council Ka Saal Ka Sub Say Bara Aizaz ‘Sir Garfield Sobers Trophy’ Mila Hay Apnay Kaptaan Ko, Aur Youn ICC Nay Bhi ‘Babar Raj’ Tasleem Kar Lia Hay.

Babar 2022 Kay Only International Player Thay Jinhon Nay 2,000 Say Zyada Runs Banaey. Is Saal Across All Formats Unhon Nay 54.12 Kay Average Say Aur 8 Hundreds Aur 17 Fifties Ki Madad Say 2,598 Runs Score Kiay.

FormatMatRunsHSAveSR10050
Test9118419669.6454.9447
ODI967911484.8790.7735
T20i26735110*31.95123.3215
Total44259819654.1274.24817

Babar Azam ODI Mein Pura Saal Ranking Mein No. 1 Bhi Rahay Aur ODI Player Of The Year Bhi Banay. Laikin Ye Trophy Unhain Test Aur T20 Ki Exceptional Performance Par Mili Hay. 2002 Mein Pakistan Ka Test Format Mein Jo Bhi Haal Raha, Babar Ko Roknay Wala Koi Nahi Tha. Unhon Nay 9 Matches Mein 1,184 Runs Banaey Aur Har Mushkil Mauqay Par Pakistan Ko Bachanay Ki Koshish Ki.

Sari ODI Series Jeetnay Wala Pakistan Test Mein Itna Lucky To Nahi Raha, Par Haan T20 Mein Un Ki Kaptaani Mein Pakistan Asia Cup Aur T20 World Cup Final Tak Zarur Puhancha.

Yaadgar Innings

Saal 2022 Mein Babar Nay Runs Kay Anbaar Laga Diay, Laikin Sab Say Yaadgar Performance Thi Australia Kay Against Karachi Test Mein. Is Historic Tour Kay Second Test Mein Pakistan First Innings Mein Sirf 148 Runs Par All Out Ho Gaya Tha.

Akhir Mein Pakistan Ko Jeet Kay Aik Na-Mumkin Target Mila. Sirf 21 Runs Par 2 Out Honay Kay Baad Jab Koi Umeed Nazar Nahi Aati Thi, Tab Babar Aaey Aur 10 Hours Ki Marathon Innings Kheli.

Aik Mauqay Par Pakistan 506 Runs Chase Kar Kay History Bananay Wala Tha, Laikin Australia Nay Babar Ko Out Kar Kay Hamain Jeetnay Nahi Dia. Khair, 196 Runs Ki Captain Innings Nay Pakistan Ko Aik Yaqeeni Shikast Say Zarur Bacha Lia.

Ye Trophy Yaheen Rahay Gi

Yaad Rahay Ke Last Year Bhi Sir Garfield Sobers Trophy Pakistan Hi Nay Jeeti Thi, Jab Shaheen Afridi Is Aizaz Kay Haqdaar Banay Thay. Yani Musalsal Doosray Saal Ye Aizaz Kisi Pakistani Ko Mila Hay.

شیئر

جواب لکھیں