Umeed To Yahi Thi Ke Upsets Ka Silsila FIFA World Cup Knockout Stage Mein Bhi Chalta Rahay Ga, Laikin Abhi Tak Aisa Kuch Dekhnay Ko Nahi Mila. Jahan Netherlands Nay United States Aur Argentina Nay Australia Ko Haraya, Waheen Round Of 16 Kay Doosray Din France Aur England Nay Bhi Aasani Say Apnay Matches Jeetay.

Miraculous Mbappé

Pre-Quarterfinal Stage Par Defending Champion France Ka Muqabla Khatarnaak Poland Say Tha. Laikin Les Bleus Kay Samnay, Especially Kylian Mbappé Kay Samnay Poland Ki Aik Nahi Chali Aur France Nay Ye Match 3-1 Say Jeet Lia.

France Nay Start Hi Constant Attack Say Kia Laikin Polish Defence Buhat Mazboot Nazar Aya. First 30 Minutes To Takkar Ka Muqabla Raha. 38th Minute Mein Poland Ko Open Chance Mila, Laikin Wo Goal Nahi Kar Saka. Ye Goal Bachanay Ka Credit Jahan French Hugo Lloris Ko Jata Hay, Waheen French Defence Nay Bhi Apna Poora Kamal Dikhaya.

Ye Khula Mauqa Zaya Honay Kay Baad Polish Team Uth Na Saki. First Half Kay Last Moments Mein Olivier Giroud Nay Goal Kardia. Ye France Kay Liay Giroud Ka Record 52nd Goal Tha. Wo All-Time Leading French Scorers Mein Thierry Henry Say Bhi Aagay Nikal Gaey.

70th Minute Key Baad To Polish Defence ‘Panic Mode’ Mein Hi Chala Gaya. Mbappé Jaisay Player Ko Khula Chorrnay Ka Anjam Yahi Hona Tha, Un Ki Goli Ki Raftar Say Aanay Wali Kick Nay Score 2-0 Kardia. 

Stoppage Time Shuru Hotay Hi Mbappé Nay Aik Aur Goal Kardia, Aur Sabit Kia Ke Aakhir Unhain Aaj Ka Best Player Kyun Kehtay Hain? Isi Say Andaza Laga Lain Ke Mbappé Kay World Cup Goals 9 Hain, Yeni Diego Maradona Aur Cristiano Ronaldo Say Bhi Zyada Aur Lionel Messi Kay Barabar. Aur Mbappé Ki Umar Sirf 23 Saal Hay. Pele Ki Jhalak Nazar Aati Hay Un Main.

Poland Nay Apna Wahid Goal Match Kay Last Moments Mein Aik Penalty Par Kia. Tab Tak Buhat Dair Ho Chuki Thi.

Khair, France Kisi World Cup Kay Round Of 16 Mein To Kabhi Nahi Haara, Balkay Musalsal Teesri Martaba Quarterfinal Mein Puhancha Hay, 2014 Aur 2018 Kay Baad Ab 2022 Mein Bhi. Last Time To Wo World Champion Bhi Ban Gaya Tha, Laikin Kya History Bhi Repeat Kar Sakay Ga? Is Kay Liay Unhain Apnay Puranay Dushman England Ko Harana Hoga.

Lajawaab England

England Nay Apna Sab Say Jaandar Display Round Of 16 Mein Dia Hay. Al Bayt Stadium Mein Honay Walay Is Round Kay 4th Match Mein Senegal Ka Start To Buhat Aggressive Tha, Laikin Poland Ki Tarah Wo Bhi Momentum Barqarar Nahi Rakh Saka. Yahan Tak Ke England Nay Apna Waar Kardia.

38th Minute Mein Jordan Henderson Nay Goal Kia Aur Phir England Nay Peechay Murr Kar Nahi Dekha. Jidhar Nazar Uthi England Hi England Nazar Aaya.

Pehlay Half Ki Aakhri Lamhaat Mein England Nay Senegalese Defence Ko Urra Kar Rakh Dia, Aur Second Goal Bhi Kardia. Phir Jab 57th Minute Mein Bukayo Saka Nay 3rd Goal Kia To Samjhain Match Waheen Khatam Ho Chuka Tha.

Senegal Nay Kabhi World Cup Mein Itni Bari Shikast Nahi Khai Hogi. Defence To Buhat Mayoos-Kun Raha.

To England 10th Martaba Kisi World Cup Kay Quarterfinal Mein Puhanch Chuka Hay. Laikin Mas’la Ye Hay Ke World Cup History Mein Pehli Baar Knockout Mein Us Ka Muqabla Hoga Archrival France Say. Jo Round Of 16 Mein Clinical Performance Day Kar Aaya Hay, Laikin Karim Benzema, Christopher Nkunku, N'golo Kante Aur Paul Pogba, Koi Un Kay Sath Nahi Hay. Kya Sirf Kylian Mbappé Kay Zaur Par France England Ko Hara Sakay Ga? Ye 10 December Ka Din Bataey Ga, Jab France vs England World Cup Taakra Hoga.

Aaj Asia Ki Qismat Ka Faisla

Khair, Aaj 5th December Ko FIFA World Cup Mein Asia Ki Qismat Ka Faisla Hoga. Pehlay Japan Croatia Say Khelay Ga. Wohi Japan Jo Is World Cup Mein Giant Killer Raha Hay. Wo Germany Aur Spain Ko Hara Kar Round Of 16 Tak Aaya Hay, Is Liay Croatia Pareshan Zaroor Hoga.

Phir Brazil South Korea Ka Samna Karay Ga, Wo Bhi Shayad Neymar Jr. Kay Baghair. Dekhtay Hain Aaj Ka Din Asia Kay Liay Kya Lata Hay?

شیئر

جواب لکھیں