Baat Ho Big Sixes Laganay Ki To Pakistan Cricket Team Mein Iftikhar Ahmed Se Acha Batsman Koi Nahi. Aaj T20 World Cup Kay Pakistan Vs South Africa Match Mein Unhon Ne Yeh Baat Aik Martaba Phir Saabit Bhi Kar Di. Aur Laga Dia T20 World Cup Ka Biggest Six.
Pakistani Innings Ke 16th Over Mein Iftikhar Ahmed Ne Lungi Ngidi Ko Aisa Six Lagaya Ke Ball Sydney Cricket Ground Kay 2nd Tier Par Ja Giri. Baad Mein Pata Chala Ke Yeh Six 106 Matters Lamba Tha. Itna Barra Chakka To Ab Tak Tournament Mein Koi Batsman Nahi Laga Saka.
Iftikhar Ko Misbah 'School Of Sixes' Ka Member Samjha Jata Hai. Yani Lambay Sixes Maarny Kay Masters. Un Ka Yeh 106 Meters Ka Six To Bhi Sab Ko Peechay Chore Gaya Hai.
2022 T20 World Cup Biggest Sixes
vs | Ground | Date | ||
---|---|---|---|---|
Iftikhar Ahmed | 106 Meters | SA | Sydney | 3 Nov 2022 |
David Miller | 104 Meters | IND | Perth | 30 Oct 2022 |
Aaron Finch | 102 Meters | NZ | Sydney | 22 Oct 2022 |
Mitchell Marsh | 102 Meters | IRE | Brisbane | 31 Oct 2022 |
Marcus Stoinis | 101 Meters | SL | Perth | 25 Oct 2022 |
T20 World Cup Mein ‘Ifti’ Se Pehlay Sab Say Barra Six South Africa Kay David Miller Ne Lagaya Tha. India Ke Khilaaf Match Mein 59 Runs Ki Innings Main Unhon Ne 3 Sixes Lagaey. Jin Main Say Aik 104 Matters Ka Ka Tha.
Phir Australia Kay Captain Aaron Finch Ka Naam Hay. Unhon Nay T20 World Cup Kay Pehlay Match Main New Zealand Kay Against 102 Meters Ka Aik Six Lagaya Tha.
Longest Sixes Main Next Donon Naam Bhi Australia Kay Hain. Aik Mitchell Marsh Hain, Jinhon Nay Ireland Kay Khilaf 102 Meters Ka Six Lagaya. Phir Naam Aata Hay Marcus Stoinis Ka. Unhon Nay Sri Lanka Kay Against Apni 18 Ball 59 Runs Ki Whirlwind Innings Main 6 Sixes Lagaey Thay. In Main Say Aik 101 Meters Ka Tha.
Waisay Abhi Tournament Baqi Hay. Aap Kay Khayal Main Sub Say Barra Six Kis Ka Hoga?