Sri Lanka Say To Umeed Nahi Thi Ke Wo Itna Disappoint Karay Ga. Asian Champion New Zealand Kay Khilaf Aik Buhat Important Match Main Wo 65 Runs Kay Barray Margin Say Haar Gaya Hay.

Jee Han! New Zealand Aik Zabardast Kamyabi Kay Sath Points Table Par Apni Top Position Aur Mazboot Kar Chuka Hay Aur Net Run Rate Bhi Aisa Kar Lia Hay Ke Koi Muqabla Nahi.

ICC T20 World Cup 2022, 27th Match

New Zealand vs Sri Lanka

29 October 2022

Sydney Cricket Ground, Sydney, Australia

Result: New Zealand 65 Runs Say Jeet Gaya

Raftar Bharne Do NZ167-7
Glenn Phillips104 (64)
Daryl Mitchell22 (24)
SL BowlingOMRW
Kasun Rajitha40232
Wanindu Hasaranga40221
Raftar Bharne Do SL(T:168)102-10
Dasun Shanaka35 (32)
Bhanuka Rajapaksa34 (22)
NZ BowlingOMRW
Trent Boult40134
Ish Sodhi3.20212

Aik Aisay Group Main Jis Main Buhat Say Matches Barish Ki Waja Say Zaya Huay Hain, Aur Group Buri Tarah Phans Chuka Hay, Aisi Kamyabi Semi-Final Main Jaga Pakki Kar Sakti Hay.Aur Lagta Hay Ke Sri Lanka Tournament Say Taqreeban Bahir Ho Chuka Hay.

ICC T20 World Cup 2022

Points Table

Group 1

MWLN/RPTNRR
Raftar Bharne Do NZ32015+3.850
Raftar Bharne Do ENG31113+0.239
Raftar Bharne Do IRE31113-1.169
Raftar Bharne Do AUS31113-1.555
Raftar Bharne Do SL31202-0.890
Raftar Bharne Do AFG30122-0.620

Ye Jitna Barra Match Tha, Sri Lanka Utni Hi Bura Khela. Na Fielding Achhi Ki, Na Batting. Bowling Bhi Shuroo Main To Wickets Dila Gai, Laikin Phir Glenn Phillips Kay Samnay Surrender Kar Gai.

Phillips Sirf 12 Runs Par Khel Rahay Thay Jab Un Ka Aik Asaan Catch Chhora Gaya. Ye Innings Ka 7th Over Tha Is Main Score Sirf 29 Runs Tha. Andaza Lagaey Ke Yahan Say Match Kaisay Turn Hua Hoga.

Chance Milnay Kay Baad Phillips Nay Peechay Murr Kar Nahi Dekha. Wo Innings Kheli Jis Nay Match Ka Naqsha Hi Badal Dia. Wo 64 Balls Par 4 Sixes Aur 10 Fours Ki Madad Say 104 Runs Bana Kar Last Over Main Out Huay. Dilchasp Baat Ye Hay Ke New Zealand Ki Baqi Puri Team 59 Balls Par Sirf 53 Runs Bana Saki.

Yahi Innings Thi Jo New Zealand Ko 167 Runs Tak Puhanchai Gai. Yani Aisay Total Par Jis Tak Puhanchna Sri Lanka Kay Bas Ki Baat Nahi Thi.

Chase Kartay Huay Sri Lanka Start Hi Main Haar Gaya Tha. Sirf 24 Runs Par 5 Out Honay Kay Baad Match Main Wapis Aana Mumkin Nahi Tha. 10 Overs Main Sri Lanka Ka Score Sirf 58 Runs Tha Aur 6 Out Ho Chukay Thay. Us Kay Baad Match Main Wapis Aana Koi Mojza Hi Hota, Aur Mojzay Roz Roz Nahi Hotay.

New Zealand Ki Taraf Say Trent Boult Nay Behtareen Bowling Ki. Unhon Nay 4 Overs Main Sirf 13 Runs Day Kar 4 Wickets Hasil Keen. Jo Un Ki Career Best Bowling Hay.

Sri Lanka Ko Ab Afghanistan Aur England Kay Khilaf Khelna Hay, Jo Mushkil Matches Hon Gay.

شیئر

جواب لکھیں