T20 World Cup Main Australia Kay Khilaf New Zealand Ki Zabardast Kamyabi Main Tim Southee Ka Bhi Important Role Tha. Wohi Thay Jinhon Nay Apni Pehli Ball Par David Warner Ko Bowled Kia Tha. Ye Wicket Dekh Kar Jahan Barra Maza Aaya Waheen Southee Kay Liay Ye Buhat Khaas Shikar Bhi Tha. Wo T20 International Cricket Main Sab Say Ziada Wickets Lainay Walay Bowler Ban Gaey Hain.
Southee Nay Is Match Main Warner Kay Baad Mitchell Marsh Aur Aakhir Main Pat Cummins Ko Bhi Out Kia, Wo Bhi Sirf 6 Runs Day Kar. Is Kay Saath Southee Ki T20i Wickets Ki Tadaad 125 Hogai Hay.
Sub Say Ziada T20i Wickets Rakhnay Walay Bowlers
Mts. | Wkts | BBI | Econ. | |
---|---|---|---|---|
Tim Southee | 101 | 125 | 5-18 | 8.20 |
Shakib Al Hasan | 104 | 122 | 5-20 | 6.73 |
Rashid Khan | 72 | 119 | 5-3 | 6.22 |
Lasith Malinga | 84 | 107 | 5-6 | 7.42 |
Ish Sodhi | 82 | 104 | 4-28 | 8.11 |
Is Waqt Highest T20i Wickets Kay Liay Barra Sakht Muqabla Chal Raha Hay. Is Match Say Pehlay Southee Aur Bangladesh Kay Shakib Al Hasan 122 Wickets Kay Saath Barabar Thay. Jabke Afghanistan Kay Rashid Khan Bhi Peechay Nahi, Wo 72 Matches Main 119 Wickets Lay Chukay Hain.
Pakistan Kay Liay Sab Say Ziada Wickets Lainay Walon Ko Dekhain To Shahid Afridi Pehlay Number Par Hain. Unhon Nay Apnay Career Main 99 Matches Main 98 Players Ko Out Kia Tha. Shadab Khan 87 Wickets Kay Sath 2nd Number Par Hain Aur Umeed Hay Ke Jald Hi Wo 100 T20 Wickets Lainay Walay Pehlay Bowler Ban Jaen Gay.
Sub Say Ziada T20i Wickets Lainay Walay Pakistani Bowlers
Mts. | Wkts | BBI | Econ. | |
---|---|---|---|---|
Shahid Afridi | 98 | 97 | 4-1 | 6.61 |
Shadab Khan | 77 | 87 | 4-8 | 7.10 |
Umar Gul | 64 | 85 | 4-19 | 6.36 |
Saeed Ajmal | 60 | 85 | 5-6 | 7.19 |
Haris Rauf | 50 | 64 | 4-22 | 8.25 |