Financial Action Task Force (FATF) Kay Working Group Aur Plenary Meetings Paris Main Jari Hain Aur Pakistani Waqt Kay Mutabiq Aaj Raat Pakistan Ko Grey List Say Nikalnay Ya Barqarar Rakhnay Ka Faisala Mutawaqu Hay.

Paris Main Meeting Kay Ikhtitam Per FATF Kay President Raj Kumar Press Conference Karain Gay Jis Meeting Main Honay Walay Faisalon Say Aaga Kiya Jaye Ga.

Pakistan Ko June 2018 Ko Monitoring List Main Shamil Kiya Gia Tha.

Pakistan Ki Taraf Say 27 Points Action Plan Per Amal Daramad Ki Yaqeen Dahani  Karai Gai The, Kuch Arsay Baad Action Points 34 Ker Diye Gaye.

Pakistan Nay Action Plan Per FATF Ki 40 Recommendations Ki Roshni Main Kaam Shuru Kiya Aur Kamayabi Say Mukamal Kiya.

Pakistan FATF Ki 40 Recommendations Main 38 Puri Ker Chuka Hay.

شیئر

جواب لکھیں