Author: محمد انوار

Humain Kya Sab Ko Andaza Hay Ke Aajkal Halaat Kya Chal Rahay Hain. Mulk Ki Kharab Economic Conditions Ka Asar Har Shakhs Par Parr Raha Hay Aur Sabhi Income Barhana Chahtay Hain. Is Ka Aik “Aasan” Tareeqa Hay Freelancing. Laikin Freelancer Ki Hasiyat Say Kya Kaam Karain? Aaen Aap Ko Batatay Hain. Yaad Rakhain Ke Freelancing Kisi Bhi Shobay Mein Ho, Aap Ko Zabardast Skills Darkaar Hoti Hain. Is Liay Skills Par To No Compromise! Skill Based Job Video Editing Is Daur Mein Kaun Hoga Jo Videos Nahi Dekhta Hoga? Drama Ho Ya Ad, Short Stories, Documentaries, Movies Etc. In…

مزید پڑھیں

Supreme Cout of Pakistan Nay Arshad Sharif Kay Qatal Par Az Khud Notice Lay Lia, Chief Justice of Pakistan Justice Umar Ata Bandial Nay 5 Rukni Larger Bench Bana Dia. Bench Main CJ Kay Sath Sath Justice Ijazul Ahsan, Justice Sayyed Mazahar Ali Akbar Naqvi, Justice Jamal Mandokhail, Justice Mohammad Ali Mazhar Shamil Hain. Supreme Court Of Pakistan Nay Interior, Foreign and Information Secretaries Ko Notice Jari Kiye, Is Kay Sath Sath DG FIA,IB Aur PFUJ Kay Sadar Ko Bhi Notice Jari Kia Gaya Hay. Is Kay Sath Hi Samaat Shuru Ho Gai. SC Kay Tarjuman Kay Mutabiq Awam Aur…

مزید پڑھیں

“Main Nay America Ja Kar Shuru Main Bartan Saaf Kiye.” "Aik Hotel Main Safai Ka Kaam Meri Pehli Job Thi." "Mujhay Aik Store Main Helper Kay Taur Par Kaam Karna Para.” Aisi Jobs Karnay Walay Pakistanion Main Say Buhat Kam Aisay Hotay Hain Jo Kisi Achay Rozgaar Tak Puhanch Saktay Hain. Ya Us Mu’ashray Main Pehlay Darjay Kay Shehri Ban Sakain. Agar Aap School Ya College Main Parhtay Hain Ya Aap Parents Hain Aur Sochtay Hain Kay Aap Kay Bachon Ko America, Canada Ya Europe Main Jaa Kar Mushkil Ka Samnaa Naa Karna Paray, Wo Ba-Izzat Rozgaar Kama Sakain Aur…

مزید پڑھیں

Resumé Ya CV Kisi Bhi Job Kay Liye Aap Ka Sab Say Pehla Introduction Ya Ta’aruf Hota Hay. Ye Itna Effective Hona Chahye Kay Dekhnay Wala Dekhta Naa Reh Jaye, Balkay Aap Ko Foran Call Kar Lay. To Aisay CV Main Kya Shamil Karain? Aur Tarteeb Kia Ho? Chalain Is Par Baat Kartay Hain. Aik Acha Resume Ya CV Kaisay Likhain? Is Kay Liye Dain Gay Ap Ko Best CV Tips: Summary Maazi Main CV Main Objective Statement Likhi Jati Thi, Ab Is Ki Jaga Summary Nay Lay Li Hay. Asaan Alfaaz Main Ye Aap Ki Skills Aur Company Ki…

مزید پڑھیں

Ye Hum Sab Jantay Hain Kay Time Aik Mehdood Resource Hay, Jisay Khatam Ho Jana Hay. Ghaur Karain Tu Waqt Hamaray Samnay Khatam Hota Ja Raha Hay, 60 Seconds Main Aik Minute, 60 Minutes Main Aik Ghanta Aur 24 Ghanton Main Aik Din. Ab Ye Aap Par Hay Ke Is Mehdood Waqt Ko Kaisay Manage Kartay Hain, Ya Ye Ahista Ahista Aap Kay Hath Say Nikal Jaey, Hamesha Kay Liye! Time Management Kay Liye Hum Aap Kay Liye Lay Kar Aye Hain 3 Most Important Tips, Jin Ki Madad Say Aap Waqt Ka Behtareen Istaymaal Kar Kay Ziada Say Ziada…

مزید پڑھیں

Influence Har Qisam Ka Hota Hay. Famous Magazine Financial Times Har Saal Apna Women Of The Year Issue Jari Karta Hay Aur Is Saal Is Nay Dunya Ki Most Influential Women Ki List Jari Ki Hay. Is Mein 3 Categories Banai Gai Hain: Leaders, Heroes Aur Creators. Sab Say Pehlay Hain Dunya Ki Khwateen Leaders Ki, Jin Main Pakistan Ki Climate Change Ki Minister Sherry Rehman Bhi Shamil Hain. Influential Leaders Oleksandra Matviychuk Wakeel, Ukraine Main Jangi Jaraim Kay Khilaaf Aik Buland Awaaz Oleksandra Aur Un Ki Company Nay Russia Ki Taraf Say Ukraine Main Honay Walay 27,000 Jangi Jaraim…

مزید پڑھیں

Karachi Main Biryani Aur Punjab Main Quetta, Peshawar Aur Karachi Cafes Kay Parathay... Hum Pait Say Ziada Dil Ko Khush Karnay Kay Liye Khatay Hain, Jo Khanay Say Ziada Bimari Ki Shakal Main Hamary Andar Ja Raha Hota Hay. Pakistan Main Aik Andaza Hay Kay 33 Million Log Type 2 Diabetes Ka Shikar Hain Aur Ye Ta’daad Dunya Main Teesray Number Par Hay. Is Main 8.9 Million Afrad Aisay Hain Jin Main Diabetes Abhi Tak Diagnose Nahi Ho Saki. Mulk Main Amomi Taur Par Is Ko ‘Sugar’ Ka Marz Bhi Kehtay Hain Aur Ye 2009 Say 2019 Main Barrh Kar…

مزید پڑھیں

"Yaar Maza Nahi Aa Raha. Boss Khush Nahi Hain. Dil Karta Hay Kuch Aur Kar Loon." Agar Aap Bhi Office Jatay Hain Aur Ye Batein Kartay Hain, To Jaan Lijiye Kay Faislay Ka Waqt Ho Gaya Hay. Aap Ko Aik Baar Bethna Hoga, Sochna Hoga Aur Phir Faisla Karna Hoga. Apnay Liye, Apni Family Kay Liye Aur Apnay Anay Walay Kal Kay Liye. Wo Faisla Ke Aap Ko Kia Karna Chahye Jo Aap Kay Liye Sab Say Ziada Suitable Ho. Aap Ke Liye Best Job Kiya Hay? Kis Kaam Main Dil Lagta Hay? Ye Sab Say Aham Sawal Hay. Agar…

مزید پڑھیں

Tareekhi Qarzay, Default Kay Khatray Kay Baadal, Dollar Ki Sar Charh Kar Bolti Bulandi, Girti Exports Aur Remittances Kay Sath Aik Aur Khabar Aaj Ki Headlines Main Shamil Ho Gai. General Qamar Javed Bajwa Apnay 3 Izafi Baras Mukamal Honay Kay Baad Mulazmat Say Retire Ho Gaye Aur Yun In Ki 6 Baras Ya 2191 Din Ki Chiefship Bhi Khatam Ho Gai. Askari Qayadat Ki Kahani Pakistan Main Fauji Sarbarah Ki Muddat-e-Mulazmat 3 Baras Ya 1095 Din Hoti Hay. Magar Ye Pahli Baar Nahi Huva Kay Pak Fauj Kay Sarbarah Nay 3 Saal Say Ziada Arsa Is Kursi Par Guzara…

مزید پڑھیں

11:30, 21 November Ki Raat, Police Ahalkar Abdur Rehman Aur Us Ka Sathi Defence, Karachi Main Duty Par Thay. Ke Unhain Aik Gari Say Khatoon Kay Cheekhnay Ki Awaz Sunai Di. Police Nay Gari Ko Roknay Ki Koshish Ki Magar Driver Nay Gari Bhaga Di. Hazarat Abdullah Shah Ghazi Kay Mazar Kay Qareeb Gari Rook Li Gai. Khatoon Gari Say Bhag Gai Aur Abdur Rehman Nay Gari Main Baithay Mulzim Khurram Nisar Ko Thanay chalnay Ka Kaha. Mulzim Nay Gari Defence Phase 5 Extension Ki Street 5 Kay Pass Ja Kar Khari Ki, Aur Gun Nikaal Kar Bahir Khara Ho…

مزید پڑھیں