11:30, 21 November Ki Raat, Police Ahalkar Abdur Rehman Aur Us Ka Sathi Defence, Karachi Main Duty Par Thay. Ke Unhain Aik Gari Say Khatoon Kay Cheekhnay Ki Awaz Sunai Di. Police Nay Gari Ko Roknay Ki Koshish Ki Magar Driver Nay Gari Bhaga Di.

Hazarat Abdullah Shah Ghazi Kay Mazar Kay Qareeb Gari Rook Li Gai. Khatoon Gari Say Bhag Gai Aur Abdur Rehman Nay Gari Main Baithay Mulzim Khurram Nisar Ko Thanay chalnay Ka Kaha.

Mulzim Nay Gari Defence Phase 5 Extension Ki Street 5 Kay Pass Ja Kar Khari Ki, Aur Gun Nikaal Kar Bahir Khara Ho Gaya.

Us Kay Baad Ki Video Footage Pooray Pakistan Nay Daikh Li Hay, Jis Main Khurram Apni Gun Nikalnay Ki Wazahtain Day Raha Hay. Lakin Us Nay Is Baat-Cheet Ko Ziada Taveel Nahi Kia Aur Goli Chala Di, Jo Jaan-Laiva Sabit Hoi.

Raftar Bharne Do
Khurram Nisar Kaisay Bhaga? System Ki Nakami Ya? 1

Ab Driver Khurram Nisar Footage Kay Mutabiq Aik Mujrim Ban Chuka Tha. Jo Wahan Say Bhag Kar Apnay Salay Kay Hotel Puhncha Us Ko Swedish Pasport Aur Dusra Zaruri Saman Ghar Say Lanay Ko Kaha.

00:18, 22 November, Khurram Nisar Ka Saala Mulzim Kay Ghar Say Swedish Passport Aur Dusra Zarori Samaan Utha Kay 00:24 Par Nikal Giya.

04:11 Par Khurram Nisar Nay Turkish Airlines Ki Parwaz Kay Liye Boarding Ki, Aur Jahaz Ka Intazar Karnay Laga.

04:30 Par Police Nay FIA Immigration Ko Mulzim Ki Tafseelat Faraham Keen.

Flight 3 Ghantay Baad Uri Aur Mulzim Khurram Nisar Pakistan Say Bhagnay Main “Kamyab” Ho Gaya.

Sindh Police Ki Susti

Sindh Police Mulzim Kay Airport Puhanchnay Tak Us Kay Ghar Puhanch Chuki Thi. Khurram Nisar Ki Shanakhat Kar Li Gai Thi. SSP South Asad Raza Kay Mutabiq Defence Say CCTV Footage Hasil Karnay Main Kuch Waqt Laga Magar 2 Ghantay Main Mulzim Tak Puhanch Chukay Thay.

Magar Immigration Ko Data Mazeed 2 Ghantay Takheer Say Dia Gaya. Mulk Kay Sab Say Baray Shehr Main Police Ahalakar Mara Gaya, Magar Police Ki Riwayati Susti Jari Rahi.

Mulzim Dual National Tha, Waldain Ko Iska Pata Tha, Aur Police Un Kay Ghar Puhanch Bhi Chuki Thi. Magar Police Dusray Passport Say us Waqt Tak Anjaan Rahi Jab Tak Turkish Airlines Ka Jahaz Pakistan Say Urr Nahi Gaya.

Tarraqi Kay Is Daur Main Jahan Chand Minute Main Aik Footage Puri Dunya Main Viral Hojati Hay, Police Nay FIA Ko Sarkari Ahlalkaar Kay Qatal Ka Data Dainay Main 2 ½ Ghantay Laga Diye.

FIA Immigration Ka Kamal

Raftar Bharne Do

Mulzim Ayaa Pakistan Kay Passport Par Aur Gaya Swedish Passport Par Magar Airport Par FIA Immigration Walon Nay Mulzim Ko Ba-asani Janay Dia. Swedish Passport Par Pakistani Main Entry Ki Stamp Nahi Thi, Magar FIA Nay Koi Step Nahi Lia.

Passport Mukhtalif Honay Kay Bawujood Naam To Aik Hi Tha, Phr Bhi FIA Nay Kuch Nahi Kia?

FIA Nay Police Ko Aik Riwayati Sa Jawab Day Kar Khamoshi Ikhtiar Kar Li. Is Susti Ya Bay-Hisi KI Waja Say Khurram Nisar Pakistan Say Bhaag Gaya.

Ghaflat Ya Mili-Bhagat?

Case Kay Mojouda Haqaiq Ko Samany Rakhain To Mulzim Ko Mili-Bhagat Say Bhaganay Ka Imkaan Radd Nahi Kia Ja Sakta. Police Nay Data Tab Share Kia Jab Mulzim Nay Boarding Kara Li. FIA Nay Airport Data Par Buhat Ma’mooli Si Search Laga Kar Police Ko Inkaar Kar Dia. Agar Police Mukamal Tafaseelat Hasil Karti Aur Bar-Waqt Share Karti, Aur FIA Walay Immigration Data Search Kartay Waqt Mamooli Si Bhi Dilchaspi Ka Muzahira Kartay, To Shayad Aaj Khurram Nisar Sweden Main Nahi Balkay Jail Kay Peechay Hota.

شیئر

جواب لکھیں