'Bachay Do Hi Achay','Kam Bachay Khushaal Gharana', 'Waqfa Zaroori Hai'. Pakistan Mein Aik Zamane Mein Family Planning Ke Ads Itnay Zyada Chalaye Jatay Thay Ke Bachay Bachay Ko Ye Jumlay Yaad Hogaye Thay. Har Hukoomat Ko Ye Ishtihar Is Liye Chalanay Partay Thay Ke Pakistan Mein Aur Kuch Barhay Nah Barhay Population Puri Raftar Se Barh Rahi Hai.
Pakistan Mein Ye Masla Kitna Sangeen Hai, Is Ka Andaza Is Baat Se Bhi Lagaya Ja Sakta Hai Ke 1951 Ke Census Mein Mulk (Sirf West Pakistan) Ki Population 3 Crore 70 Laakh Thi Jabkay Aur Bartania Ki Population 5 Crore 10 Laakh. Ab Bartania Ki Abadi 6 Crore 70 Laakh Hai Jabkay Pakistan Ki Abadi 22 Crore Se Bhi Ziyada Hochuki Hai.
Population Barhay Tou Bhi Problem Kam Ho Tou Bhi Problem?
Aik Taraf Pakistan, Bharat, Nigeria Jaisay Mulk Hain Jo Population Mein Izafay Ki Wajah Se Pareshan Hain. Doosri Taraf Duniya Mein Aisay Mulk Bhi Hain Jo Bachon Ki Kam Pedaish Ke Ba'ais Ro Rahay Hain. Un Mulkon Mein Amwaat Barh Rahi Hain Magar Birth Rate Itna Kam Hochuka Hai Ke Abadi Kam Honay Lagi Hai.
Kuch Arsay Pehlay Lancet Journal Mein Shaya Honay Wali Aik Report Mein Kaha Gaya Tha Ke 2100 Tak Duniya Ke Har Mulk Mein Abadi Kam Hona Shuru Hojaye Gi.
Washington University Ke Researchers Ki Report Mein Duniya Ke 195 Mulkon Mein Population Mein Tabdeeli Ka Jaiza Liya Gaya Tha. Un Ki Tehqeeq Ke Mutabiq Baaz Mulkon Ki Abadi To Aadhi Reh Jaye Gi.
Dunya Ki Abadi Kab Kam Ho Gi?
Report Mein Kaha Gaya Tha Ke 2064 Mein World Population 9.7 Billion Ke Sath Peak Par Puhanche Gi Is Ke Baad Is Mein Kami Aana Shuru Hogi Aur 2100 Tak Duniya Ki Abadi Dobarah 8.8 Billion Hojaye Gi. Researchers Ke Mutabiq Is Ki Sab Se Bari Wajah Duniya Bhar Mein Average Fertility Rate Kam Hokar 1.7 Children Par Woman Hojaye Ga. Jabkay Population Level Maintain Karnay Ke Liye Ye Rate 2.1 Children Par Woman Hona Chahiye.
Report Mein Prediction Ki Gayi Hay Ke 2050 Mein Hi Duniya Ke 195 Se 150 Mulkon Mein Fertility Rate 2.1 Se Kam Hochuka Hoga. Population Mein Izafay Ki Sharah Mein Kami Aur Aged Afraad Ki Tadaad Mein Izafay Ki Wajah Se Un Mulkon Mein Masail Janam Len Ge. Afradi Quwat Kam Honay Ki Wajah Se GDP Mein Bhi Kami Hogi.
Population Main Kami Sab Se Zyada Kahan?
United Nations Bhi Population Mein Tabdeelion Ke Hawalay Se Baqaidagi Se Report Publish Karti Rehti Hai. Jin Mein Mukhtalif Mulkon Mein Fertility, Mortality Aur Immigration Ke Estimates Lagaye Jatay Hain. In Estimates Ki Bunyaad Par Jin Ahem Mulkon KI Population Mein Sab Se Ziyada Kami Hai Woh Yeh Hain.
Italy
Italy Ki Abadi Main 2050 Tak 10% Kami Expected Hay. Abhi Italy Ki Abadi 6 Crore Hay Jo 5 Crore 40 Lakh Reh Jaye Gi. Itlay Main Birth Rate All Time Low Ho Chuka Hay. Log Job Opportunities Ke Liye Italy Chhor Kar European Union Ke Dusray Mulkon Main Ja Rahay Hain.
Portugal
Portugal Ki Abadi Aglay 27 Saal Main 1 Crore 2 lakh Tak Ho Jaye Gi. Yani Almost 10.1% Kami Ho Gi.
Poland
Poland Ki Population Main 12.3% Kami Ki Prediction Ki Ja Rahi Hay. Abhi Wahan Ki Aabadi 3 Crore 78 Lakh Hay Jo 2050 Main 3 Crore 33 Lakh Reh Jaye Gi.
Greece
Greece Main Bhi 2011 Ke Baad Se Birth Rate Negative Ho Chuka Hay. Wahan Ki Abadi 1 Crore 4 Lakh Hay Jo 2050 Tak 90 Lakh Reh Jaye Gi.
Japan
Japan Ki Population Main 2050 Tak 2 Crore Se Zyada Afrad Ki Kami Ho Gi. Abhi Wahan Ki Abadi 12 Crore 65 Lakh Hay Jo 2050 Tak 10 Crore 60 Honay Ki Prediction Ki Gayi Hay. Japan Main Aged Afrad KI Tadad Barhnay Ki Waja Se Abhi Se Masail Peda Hona Shuru Ho Gaye Hain.
Ukraine
Ukraine Ki Population 2050 Tak 4 Crore 35 Lakh Se Kam Ho Kar 3 Crore 50 Lakh Honay Ka Estimate Lagaya Gaya Hay. Yani 19.5% Kami Ho Sakti Hay. Ukraine Main Fertility Rate Pehlay Hi Kam Tha. Russia Ke Hamlay Ke Baad Migration Ki Wajah Se Abadai Main Kami Main Tezi Aayi Hay.
Bulgaria
Bulgaria Population Main Kami Ke Problem Ka Sab Se Zyada Shikar Hay. Wahan ki Abadi 69 Lakh Hay Jo 2050 Tak 54 Lakh Ho Jaye Gi. Yani Population Main 22.5% Ki Bari Kami Expected Hay. Yehan Bhi Low Fertility Rate Aur Migration Ki Wajah Se Population Main Kami Ho Rahi Hay.