Tareekhi Qarzay, Default Kay Khatray Kay Baadal, Dollar Ki Sar Charh Kar Bolti Bulandi, Girti Exports Aur Remittances Kay Sath Aik Aur Khabar Aaj Ki Headlines Main Shamil Ho Gai.
General Qamar Javed Bajwa Apnay 3 Izafi Baras Mukamal Honay Kay Baad Mulazmat Say Retire Ho Gaye Aur Yun In Ki 6 Baras Ya 2191 Din Ki Chiefship Bhi Khatam Ho Gai.
Askari Qayadat Ki Kahani
Pakistan Main Fauji Sarbarah Ki Muddat-e-Mulazmat 3 Baras Ya 1095 Din Hoti Hay.
Magar Ye Pahli Baar Nahi Huva Kay Pak Fauj Kay Sarbarah Nay 3 Saal Say Ziada Arsa Is Kursi Par Guzara Ho. Majmui Taur Par 11 Generals Nay 3 Baras Ya Us Say Ziada Arsa Mulak Ki Most Powerful Seat Par Guzaray. Is Main Sab Say Bara Naam Field Marshal General Ayub Khan Ka Hay.
General Ayub Khan Kay 18 Baras!
General Ayub Khan Nay 23 January 1951 Ko Pak Fauj Kay Commander-in-Chief Ka Ohda Sambhala, Wo Pakistan Kay Pahlay Muslim Fauji Sarbara Thay. General Ayub 26 Oct 1958 Tak Is Ohday Par Rahay Yani 2824 Din Yaa 7 Saal 9 Mahinay.
Is Kay Baad Ayub Khan Nay Mulk Main Pahli Baar Martial Law Lagaya Aur 20 Roz Chief Marshal Law Administrator Rahnay Kay Baad 27 October 1958 Ko Sadar-e-Pakistan Ban Gaye.
Sadar-e-Pakistan Ki Seat Par Wo 25 March 1969 Tak Baithay Rahay. Is Par Baithay Rahnay Kay Liye Ayub Khan Nay 1960 Main Aik Referendum Aur 1965 Ka Aik Mutnazia Sadarati Election Bhi Karaya. Wo 3803 Din Yani 10 Baras Aur 4 Mahinay Tak Aiwan-e-Sadar Main Rahay. Is Tarah Ayub Khan Nay Majmui Taur Par 18 Baras Ya 6645 din Mulk Main Power Main Rahay. Is Kay Baad Dusra Naam General Zia ul Haq Ka Hay.
General Zia Kay 12 Baras!
General Zia-ul-Haq Ko Prime Minister Bhutto Nay 1 March 1976 Ko Army Chief Lagaya, Aur Taqreeban Aik Baras Baad Hi, 5 July 1977 Ko General Zia Nay Bhutto Ko Ghar Puhanchaya Aur Mulk Main Teesra Martial Law Lagaya. Zia-ul-Haq 17 August 1988 Ko Aik Fazai Hadsay Main Janbahaq Ho Gaye. Woh 4552 Din Ya 12 Baras General Kay Uniform Main Rahay.
General Musharraf Kay 9 Baras!
General Pervez Musharraf Ko 7 Oct 1998 Main Nawaz Shair Nay Army Chief Lagaya, Musharraf Nay Aglay Hi Saal Nawaz Sharif Ko Wazeer-e-Azam Ke Ohday Say Hata Kar Iqtadar Par Qabza Kar Lia Aur 29 Nov 2007 Tak Army Chief Kay Ohday Par Rahay. Woh 3340 Din Is Ohday Par Rahay.
General Musa Kay 7 Baras!
Ayub Khan Nay 27 Oct 1958 Ko Apni Jaga General Musa Ko Commander-in-Chief Lagaya. Jo 17 Sep 1966 Tak Is Ohday Par Rahay, Yani 2882 Din Ya 7 Baras 10 Maah.
Extensions Walay COASs
General Ashfaq Pervez Kayani 29 Nov 2007 Ko Army Chief Banaye Gaye. Pakistan Peoples Party Nay Un Ko Extension Di Aur Wo 29 Nov 2013 Tak Is Ohday Par Rahay. General Qamar Javed Bajwa Jin Ko Lagaya To Nawaz Sharif Nay Tha Magar Imran Khan Nay Opposition Kay Sath Mil Kar Un Ko 29 Nov 2022 Tak Extension Di. Ye Dono 2091 Din Apnay Ohdon Par Rahay.
Mudat-e-Mulazmat Puri Karnay Walay COAS
General Aslam Baig, General Raheel Shareef Aur General Abdul Waheed Kakar Aisay COAS Thay Jinhon Nay Extension Nahi Li Aur Apnay 3 Baras Mukaml Honay Par Retire Ho Gaye. Jabkay General Tikka Khan Taqreeba 4 Baras Is Ohday Par Rahay.
Siyasi Qayadat Ki Kahani
Ab Baat Kartay Hain Pakistan Ki Siyasi Qayadat Ki. Pakistan Main 7 Wuzra-e-Azam Nay Bhi Apni Muddat Puri Ki, Magar
Ye Sab Kay Sab Nigraan Wazeer-e-Azam Thay. Jin Ka Kaam 90 Din Main Election Karana Tha Is Say Bara Koi Faisla Karnay Ka Ikhtiar Nahi Tha In Kay Paas. Shayed Isi Liye Muddat Puri Kar Gaye.
Waisay Pakistan Main Do Qism Kay Wazeer-e-Azam Rahay Hain. Aik Jo Muthidda Pakistan Kay Wazeer-e-Azam Thay, Dusary Maujoda Pakistan Kay, Jin Ko Awam Nay Barah-e-Rasat Muntakhib Kia.
Pakistan Main Wazeer-e-Azam Kay Ohday Ki Muddat 5 Baras Ya 1826 Din Hay. Magar Koi Wazeer-e-Azam Is Golden Number Ko Nahi Touch Kar Saka. Kisi Bhi Wazeer-e-Azam Nay Apni Muddat Puri Nahi Ki. Aiye Wuzra-e-Azam Ki Muddat Par Aik Nazar Daltay Hain.
Name | Days | Duration | |
---|---|---|---|
1 | Noor-ul-Amin | 14 | 336 Hours |
2 | Chaudhry Shuja'at Hussain | 58 | Approx 2 Months |
3 | Ibrahim Ismail Chaundrigar | 60 | Approx 2 Months |
4 | Raja Pervez Ashraf | 276 | 9 Month |
5 | Malik Feroz Khan Noon | 296 | 9 Months 22 Days |
6 | Shahid Khaqan Abbasi | 304 | 10 Months |
7 | Ch. Mohammed Ali | 398 | 1 year 1 Month |
8 | Hussain Shaheed Suharwardi | 401 | 1 Year 1 Month |
9 | Benazir Bhutto | 491 | 1 Year 4 Months |
10 | Khwaja Nazimuddin | 548 | 1 year 6 Months |
11 | Mir Zafarullah Khan Jamali | 582 | 1 Year 7 Months |
12 | Mohammad Ali Bogra | 846 | 2 year 3 Months |
13 | Mian Mohammed Nawaz Sharif | 968 | 2 years 7 Months |
14 | Mian Mohammed Nawaz Sharif | 986 | 2 Year 8 Months |
15 | Benazir Bhutto | 1114 | 3 Years |
16 | Muhammad Khan Junejo | 1164 | 3 year 2 Months |
17 | Shaukat Aziz | 1175 | 3 Years 2 Months |
18 | Imran Khan | 1332 | 3 years 7 Months |
19 | Zulfiqar Ali Bhutto | 1422 | 3 Years 10 Months |
20 | Syed Yousaf Raza Gillani | 1493 | 4 Years 1 Month |
21 | Mian Mohammed Nawaz Sharif | 1515 | 4 Years 1 Month |
22 | Liaqat Ali Khan | 1523 | 4 Years 1 Month |
6 Wazeer-e-Azam Aisay Hain Jo 1 Baras Bhi Mukamal Na Kar Sakay, 11 Wazeer-e-Azam Jo 2 Baras Mukamal Na Kar Sakay.
14 Wuzra-e-Azam 3 Baras Puray Honay Say Pahlay PM House Say Chalay Gaye.
Ye Adad-o-Shumaar Is Mulk Kay Har Idaray Kay Liye Hain, Har Voter Kay Liye Hain, Hum Sab Ko Sochna Ho Ga. Hum Sub Ku Mil Kar Agay Barhna Hay Tu Wazee-r-Azam Ko Bhi Apni Muddat Puri Karni Chahye. Koi Tou 1826 Kay Golden Number Ku Touch Karay. Kisi Na Kisi Wazeer-e-Azam Ko Bhi Extension Milni Chahiye, Aur Ye Extension Sirf Aur Sirf Awam Dain. Agar Awam Kisi Ko Vote Kay Zariye Extension Dena Chahain Tou Koi Rastay Main Roray Na Atkaye. Pakistan Aisay Hi Tarqqi Karay Ga, Aisay Hi Istehkam Aye Gaa, Aisay He Hum Mulk Khushaal Ho Ga, Is Kay Ilawa Koi Bhi Doctrine Mehaz Taqat Ko Apnay Paas Ikattha Karnay Ka Bahana Hay.