Main Hamesha Dostian Rakhnay Wala Aur Buhat Social Raha Hoon. Bachpan Main Milnay Walay Doston Kay Sath Aaj Bhi Wohi Gup Shup Aur Bonding Hay. Dosti Is Ka Naam Nahi Kay Ap Kis Kay Sath School Jatay Thay, Ya Kaun Aap Ki Class Main Tha. Dosti Aik Aisa Rishta Hay Jahan Log Aap Kay Sath Us Waqt Kharay Hotay Hain Jab Ap Ko Unki Ziada Zarorat Hoti Hay. Jaisa Kay Kisi Sha'ir Nay Bhi Kaha Hay Kay Dost Hota Nahi Her Hath Milanay Wala, To Aik American Survey Main Bhi Kuch Aisi Hi Baatain Ki Gai Hain.

Research Main Kia Bataya Gaya?

American Research Main Yeh Baat Samnay Aai Kay Jab Aap Ki Age Barhti Hay Aur Aap Professional Zindagi Main Ziada Busy Hojatay Hain Tou Pakki Ya Mazboot Dosti Qaim Rakhna Mushkil Hojata Hay.

2021 Main Kiye Gaey Survey Kay Mutabiq 5 Main Say 1 Mard Ka Kehna Tha Kay Us Ko Last Week Kisi Dost Say Emotional Support Mili. Is Kay Muqablay Main, 10 Main Say 4 Khawateen Ka Kehna Tha Kay Unko Dost Nay Mushkil Main Support Kia.

New York University Main Applied Psychology Kay Professor Aur Researcher Dr. Niobe Way Nay Bataya Kay Larkay Aam Toar Per Emotionally Disconnected Hojatay Hain.

Expert Opinion

California Ki Stanford University Ki Professor Judy Yi-Chung Chu Nay Bataya Kay Jaab Larkay Jawaan Horahay Hotay Hain Tou Jawani Kay Darmiyani Aur Akhri Hissay Main Dostiyan Kam Hona Shuru Hojati Hain. Adulthood Tak, Purani Dostiyan Khatam Hojati Hain. Woh Larkay Jo Doosray Larkon Say Dostiyan Barqarar Rakhtay Hain, Un Ki Khwateen Say Dosti May Jazbati Qurbat Kam Hoti Hay.

Professor Judy Yi-Chung Chu Nay Bataya Kay Tamaam Insanon Main Yeh Capacity Hoti Hay Kay Woh Dosron Say Close Aur Emotional Relation Qaim Rakhain.

New Jersey Main Moujoud Psychologist Dr. Frank Sileo Nay Bataya Kay Close Friendship Rakhnay Say Hamari Mental Aur Physical Health Behtar Rehti Hay. Jo Mard In Dostiyon Ko Priority Daitay Hain Woh Insani Sehat Ko Sab Say Ziada Nuqsan Puhanchanay Wali Cheez Ka Muqabala Kertay Hain, Woh Cheez Loneliness Yani Tanhai.

Dr. Frank Nay Mazeed Bataya Kay Research Main Yeh Samnay Aya Hay Kay Mardon Main Emotional Distress Kay Hawalay Say Baat Kerna, Mardon Ki Emotional Well-Being Kay Liye Behtar Rehta Hay. Is Say Tanhai Ka Ehsas Bhi Kam Hota Hay. Unhonay Zoar Diye Kay Jaisay Sahi Waqt Per Khana Khana, Exercise Kerna, Acha Career Banana Zarori Hota Hay, Adulthood Main Atay Hoay, Larkon Kay Liye Dost Banana Bhi Zarori Hota Hay.

Dostiyan Kaisay Banai Jaein?

Professor Judy Yi-Chung Chu Nay Baataya Kay Zaroori Nahi Kay Close Friendships Kay Liye Kay Hamesha Say Bonding Strong Ho. Shuru Main Halki Phulki Dosti Say Hi Ibtida Hoti Hay.

Gehri Dostiyun Ki Shuruaat Main Pareshaniyon Kay Baray Main Baat Nahi Kerni Chahiye.

Har Koi Us Waqt Khul Ker Baat Kerta Hay Jab Us Ko Yeh Andaza Hojata Hay Kay Surat e Hal Unkay Haq Main Behtar Hay. Un Ki Baat Sun'nay Wala Baat Kernay Main Interested Hay.

Dr. Niobe Way Ka Kehna Tha Kay Achi Dosti Kay Liye Riwayati Jumlay Bazi Aur Haal Chal Pochnay Say Agae Barhna Hota Hay. Ap Ko Apnay Dost Say Aisay Sawal Poochna Hotay Hain Jin Kay Koi Meaning Hon. Is Ka Yeh Matlab Hota Hay Kay Aap Apnay Dost Say Yeh Poochain Kay Un Ko Job Main Kia Baat Pasand Hay. Yeh Koi Buri Baat Nahi Hoti Aur Aisay Sawal Poochnay Say Ta'luq Strong Hota Hai.

Dr. Frank Sileo Nay Clear Kerdia Kay Strong Friendship Kay Liye Time Dena, Koshish Karna Aur Is Dosti Ki Intention Zahir Karna Zarori Hota Hay. Achi Dosti Kay Liye Waqt Sath Guzaarna Aur Mushkil Main Sath Kharay Rehna Eham Hai.

Yeh Bhi Zarori Hay Kay Friendship Main Quality Matter Kerti Hay. Ager Ap Kay Pass Koi Acha Dost Hai Tou Woh Un Doston Say Ziada Hi Hain Jo Sirf Time Pass Kartay Hain.

Aristotle Yani Arsato Ka Kehna Tha Kay Her Aik Nayi Cheez Achi Maloom Hoti Hay Laiken Dosti Jitni Purani Hogi Utni Umda Aur Mazbout Hoti Hay.

Pakistani Singer Afshan Ahmed Ka Song Hay Kay "Dosti Aisa Nata Jo Sonay Say Bhi Mehnga". Kuch Logon Ko Dost Main Bhai Ka Aks Nazar Ata Hay Tou Koi Dost Ko Apni Har Baat Share Karnay Aur Mashwara Karnay Kay Liye Behtar Samajta Hay. Aap Kay Khayal Mein Dosti Kya Hay?

شیئر

1 تبصرہ

جواب لکھیں