Hum Main Say Ziada Tar Log Focused Aur Productive Day Spend Kerna Chahtay Hain. Hum Chahtay Hain Kay Hain Hamara Daily Routine Productive Ho Aur Hum Exhaust Aur Fatigued Bhi Na Hon. At Times Aisa Hota Hay Kay Kaam Humain Burnout Kar Deta Hay. Is Say Hamara Energy Level Effected Hota Hay Aur Iss Say Kisi Bhi Profession Kay Log Mehfooz Nahi. Laikin Burnout Hota Kya Hay?
World Health Organization Burnout Aisa Syndrome Hay Jo Chronic Workplace Stress Ki Waja Say Hota Hay. Iss Ki Waja Stress Ko Successfully Manage Na Kar Pana Bhi Hoti Hay. Khair, Kuch Steps Aisay Hain Jis Say Aap Tough Routine Main Bhi Burnout Honay Say Bach Saktay Hain.
Screen Say Door
USA Main Honay Walay Aik Survey Kay Mutabiq 87 Percent Professionals Apna Poora Dinn Screen Dekhtay Hoay Guzartay Hain. Yeh Duration Average 7 Hours Per Week Hoti Hay. Yeh Covid Say Pehlay Ka Survey Hay, Ab To Iss Main Kaheen Zyada Izafa Hoa Hay.
Hamaray Laptops Aur Devices Hamari Productivity Kay Liye Buhat Important Hotay Hain. Laikin Experts Ka Kehna Hay Kay Screen Aur Devices Say Regular Break Lena Zaruri Hota Hay. Is Study Main Yeh Bhi Samanay Aya Kay Jo Employees 90 Minutes Kaam Kay Baad Break Laitay Rehtay Hain Woh Apnay Kaam Par Ziada Focus Rakhtay Hain Aur Productive Rehtay Hain. Aisa Kernay Say Brain Ko Next Task Kay Liye Recharge Kia Ja Sakta Hay.
Focused Intervals Mein Kaam Karna
Experts Nay Human Performance Ki Science Per Bhi Study Ki Aur Bataya Kay Top Performance Kay Liye Rest Kerna Buhat Eham Hota Hay.
Kaam Kai Sath Rest Aur Recovery Ko Balance Karna Productivity Ki Key Hay. Phir 7 Say 8 Hours Ki Pur-Sukoon Neend Aur Workday Main Smart Breaks Bhi Zaroori Hain.
Iss Liye Her 60 To 70 Minutes Kay Kaam Kay Baad, 5 Say 10 Minutes Ka Break Aap Ko Hard Work Kai Liye Motivated Rakhti Hay. Aap Stressful Situation Main Bhi Alert Aur Attentive Rehtay Hain. Iss Routine Ko Adopt Kernay Say Workplace Per Ziada Productivity Aati Hay.
Kaam Kay Sath Rest Aur Mental Peace Buhat Zaroori Hay. Kabhi Kabhi Routines Ko Change Kernay Say Bhi Productivity Aa Jati Hay.
Iss Liay Aap Kaam Kay Sath Aaram Ka Bhi Khayal Kerain Aur Phir Dekhain Kaisay Aap Khud Ko Attentive Aur Productive Bana Laitay Hain.