Waisay To Pakistan 75 Saal Se Nazuk Morr Par Hi Hay. Magar Is Baar Economic Crisis Waqai Mein Tashweesh Naak Hay. Mulk Ke Forex Reserves History Ke Lowest Level Par Pahonch Chukay Hain. Import Aur Loans Ki Payment Ke Liye Dollars Nahi Hain. IMF Ne Loan Ki Agli Tranche Dainay Ke Liye Strict Conditions Lagai Hui Hain. Un Mein Se Aik Par Implement Ke Baad Dollar Ki Qeemat Qaboo Se Bahar Ho Chuki Hay. Dollar 260 Se Oopar Jane Ke Baad Mehengai Ka Naya Tufaan Anay Wala Hay. Aisay Mein Har Pakistani Ke Zehen Mein Yeh Sawal Hai Ke Mulk Ki Kashti Doobnay Se Kaisay Bachay Gi? Kahin Pakistan Bhi Sri Lanka Ki Terhan Default Tou Nahi Kar Jaye Ga?

Waisay To Haqeeqat Mein Pakistan Default Kar Chuka Hay. Kyunkay Mulk Ke Khazanay Mein Jo Kuch Bacha Hay Woh Bhi Apna Nahi Hay. China Saudi Arabia Aur UAE Ki Pakistan Mein Reserves Rakhwaye Hain. Is Ke Ilawa External Debt Bhi 130 Arab Dollar Se Oopar Ho Chuka Hay. Pakistan Ko Default Se Bachanay Aur Flood Se Honay Walay Nuqsaan Ke Azalay Ke Liye International Community Aur Dost Mulkon Ne Qarz Ke Waday Bhi Kiye Hain. Yeh Qarzay Milnay Se Mulk Ko Waqti Tor Par Kuch Sahara Tou Mil Jaye Ga Magar Yeh Permanent Solution Nahi Hay. Mulk Ko Economic Crisis Se Nikalnay Ke Liye Long Term Bunyaad Par Iqdamaat Ki Zaroorat Hay Jin Mein Se Sab Se Aham Ye Hain. 

Economic Crisis Se Nikalnay Ka Tareeqa

Fiscal Consolidation:

Pakistan Ke Economic Crisis Ka Aik Aham Hal Maliyati Istehkaam Hay. Is Mein Budget Deficit Kam Karna Shaamil Hay. Pakistan Ka Budget Khasara Haliya Barson Mein Barhta Ja Raha Hay, Jis Se Pakistan Ki Finances Par Dabao Par Raha Hay Aur Hukoomat Ke Liye Infrastructure Aur Social Services Jaisay Key Sectors Mein Invest Karna Mushkil Ho Raha Hay.

Budget Deficit Ko Kam Karne Ke Liye Hukoomat Ko Tax Revenue Barhanay, Government Expenses Ko Control Karne Aur Structural Reforms Implement Karne Ki Zaroorat Ho Gi.

Tax Revenue Barhanay Ka Aik Tareeqa Tax Ki Base Ko Broden Karna Hay. Is Ke Liye Tax Exemptions Aur Loopholes Ko Kam Karna, Aur Is Baat Ko Yaqeeni Banana Ho Ga Ke Tamam Individual Aur Business Apan Pura Tax Ada Karen. Hukoomat Subsidy Ko Kam Karkay, Ghair Zaroori Ya Ghair Moasar Programs Mein Kami Karkay, Aur Public Sector Ko Hamwar Karkay Bhi Expenses Ko Control Kar Sakti Hay.

Structural Reforms:

Raftar Bharne Do

Labor Market Reforms, Pension Reforms Aur Deregulation Bhi Pakistan Ke Finances Ko Behtar Bananay Aur Economic Growth Barhanay Mein Madad Kar Sakti Hain. Yeh Islahat Economy Ko Mazeed Efficient, Flexible Aur Competitive Bananay Mein Madad Kar Sakti Hain. Is Ke Elawa Government Medium-Term Fiscal Frame Work Ko Implement Karnay Par Bhi Ghor Kar Sakti Hay, Jis Se Yeh Yaqeeni Bananay Mein Madad Mil Sakti Hay Ke Budget Plans Sustainable Hon Aur Hukoomat Economic Downturn Ki Soorat Mein Zaroori Adjustment Karne Ke Qabil Ho.

State Owned Enterprises Ki Privatization:

Pakistan Ke Economic Crisis Ka Aik Aur Hal Sarkari Idaron (SOEs) Ki Privatization Hay. Pakistan Ke Kai Sarkari Idaray Loss Main Chal Rahay Hain Aur Wo Mulk Ke Liye Sufaid Hathi Ban  Chukay Hain. Aisay Idaray Sarkari Budget Par Bojh Hain Aur Private Sector Ke Liye Competition Karna Mushkil Bana Detay Hain. Aisay Idaron Ki Privatization Khazanay Par Bojh Kam Karnay, Performance Ko Behtar Bananay Aur Ghair Mulki Sarmaya Kaari Ko Attract Karnay Mein Madad Kar Sakti Hay.

Raftar Bharne Do
Pakistan Ke Economic Crisis Ka Solution 1

Jab SOEs Ki Privatization Ki Jati Hay, Tou Unhen Private Investors Ko Farokht Kya Jata Hay Jin Ke Paas Company Ko Profitable Bananay Ka Incentive Hota Hay. Is Ke Nateejay Mein Sarmaya Kaari Mein Izafah, Productions Mein Behtari, Aur Customers Ke Liye Behtar Service Milti Hay. Is Ke Elawa Sarkari Idaron Ki Privatization Economy Mein Government Ka Role Kam Karnay Aur Usay Market-Oriented Bananay Mein Bhi Madad Kar Sakti Hay.


Agricultural Reforms:

Pakistan Mein Aik Bara Agricultural Sector Hay, Aur Is Sector Mein Productivity Mein Izafa Aur Cost Ko Kam Karne Se Economic Growth Barhanay Mein Madad Mil Sakti Hay. Agricultural Sector Abadi Ke Aik Barray Hissay Ko Mulazmat Deta Hay Aur Mulk Ki GDP Mein Aham Shiraakat Daar Hay. Taham, Yeh Sector Low Productivity, Outdated Technologies, Loans aur Markets Tak Rasai Ki Kami Se Dochar Hay.

In Problems Ko Solve Karnay Ke Liye Government Farmers Ko Jadeed Technology Tak Rasai Faraham Karnay, Irrigation Ke Nizaam Ko Behtar Bananay, Aur Qarzon Aur Mandiyon Tak Rasai Mein Izafay Ke Liye Policies Implement Kar Sakti Hay. Is Ke Elawa Government Farmers Ke Liye Zameen Ki Ownership Aur Istemaal Mein Aasani Peda Karnay Aur Zameen Ki Milkiat Ke Concentration Ko Kam Karne Ke Liye Land Reforms Kar Sakti Hay.


Energy Sectors Reforms:

Raftar Bharne Do
Pakistan Ke Economic Crisis Ka Solution 2

Pakistan Ke Economic Crisis Ki Aik Wajah Ye Bhi Hay Ke Mulk Ka Energy Sector Sangeen Inefficiencies and Shortages Se Dochar Hay, Aur In Problems Ko Solve Karnay Se Mulk Ke Economic Outlook Ko Behtar Bananay Mein Madad Mil Sakti Hay. Sectors Businesses Aur Households Ke Liye Energy Ki Cost Bohat Ahmiat Rakhti Hay Aur Aur Bijli Ki Kami Econmoic Growth Ko Negatively Impact Karti Hay.

Infrastructure Development :

Pakistan Ko Apnay Transport, Electricity, Telecommunication Jesay Sectors Ke Infrastructure Main Numayan Investment Ki Zaroorat Hay. Behtar Infrastructor Economic Growth Ko Barhanay Aur Foreign Investment Ko Attract Karnay Mein Madad Deta Hay. Infrastructure Ki Development Ke Bagahir Productivity Aur Export Barhanay Ka Khwab Pura Nahi Ho Sakta.

Human Capital Mein Investment:

Kisi Bhi Mulk Ka Human Capital Jis Mein Workforce Bhi Shamil Hay, Wo Us Mulk Ki Economic Growth Aur Development Mein Faisla Kun Kirdar Ada Karta Hay. Pakistan Ka Human Capital Under Developed Hay Kyunke Yehan Education, Health Aur Skills Ki Kami Hay.

Is Issue Ko Resolve Karnay Ke Liye Government Ko Education, Health Aur Vocational Training Main Aggressively Investment Karnay Ki Zarurat Hay. Apnay Shehrion Ki Education, Health Aur Skills Barha Kar Hi Mulk Ki Productivity Aur Growth Mein Izafa Ho Sakta Hay.

Export Promotion:

Raftar Bharne Do

Unfortunately Pakistan Ki Export Shuru Hi Se Intehai Kam Rahi Hain Jis Ki Wajah Se Pakistan Hamesha Trade Deficit Ka Shikar Raha Hay. Jis Ki Wajah Se Mulk Main Dollar Ki Shortage Rehti Hay. Export Barhanay Ke Liye Policies Main Liberalization Yani Tarrif Aur Non-Tarrif Barriers Ko Kam Karna Ho Ga. Exports Barhanay Ke Liye Mulk Mein Production Cost Kam Karnay, Product Quality Barhanay Aur Export Marketing Aur Bilateral Agreements Ke Zariye Export Ke Naye Venue Talash Karnay Ki Zarurat Hay.

Institutional Reforms

Mulk Ki Bimariyan Door Karnay Ke Liye Institutional Reforms Bhi Bohat Zaruri Hain. Pakistan Ke Almost Tamam Institutions Main Governance, Regulation Aur Rule Of Law Ke Lehaz Se Significant Reforms Ki Zarurat Hay. Maslan FBR Mein Reforms Kar Ke Mulk Ka Tax Collection Main Khatirkhwa Izafah Ho Sakta Hay. Isi Tarah Judiciary Aur Law Enforcement Agencies Main Reforms Ke Zariye Corruption, Money Laundering Ki Rok Tham Ki Jaskti Hay.

Foreign Investment:

Foreign Investments Bhi Mulk Ke Balance Of Payments Aur Economic Growth Ko Behtar Karnay Ke Liye Intehai Aham Hain. Foreign Investment Ko Attract Karnay Ke Liye Ooper Bataye Gaye Points Per Amal Bhi Zaruri Hay. Is Ke Saath Saath Red Tape Culture Mein Kami, Tax Incentives De Kar Aur Investment Climate Ko Improve Kar Ke Foreign Investment Layi Jaskti Hay.

Yahan Ye Baat Note Karna Bhi Aham Hay Ke Ye Sab Points Aik Dusray Se Juray Huay Hain Aur In Sab Ko Implement Karnay Ke Liye Aik Long Term Planning Aur Political Will Bhi Zaruri Hay. Zarurat Is Baat Ki Hay Ke Tamam Political Parties Is Waqt Aik Charter Of Democracy Per Agree Karen Takat Mulk Main Political Stability Aaye Aur Economy Ki Train Derail Huay Baghair Apni Manzil Ki Taraf Chalti Rahay.

شیئر

جواب لکھیں