Kisi Bhi Mulk Ki Khushali Ka Raaz Uski Exports Hoti Hain. Kyun Ke Exports Hi Se Mulk Ki Industry Chalti Hay. Foreign Exchange Mulk Main Aata Hay. Logon Ki Aamdani Barhti Hay. Foreign Exchange Reserves Main Izafa Hota Hay.
Kiya Pakistan Ki Exports Barh Rahi Hain?
Pakistan Bureau of Statistics Ne Kaha Hay Ke July to Oct 2022 Main Pichlay Saal Ke Muqablay Main Rupee Term Main 35% Izafa Hua Hay. Yani July to Oct 2021 Main Pakistan Ke Exports Rs. 1,570,136 Million Theen Jo Ke July to Oct 2022 Main Rs. 2,131,776 Million Ho Gayeen.
Asal Main Hukumaten Aisey Hi Numbers Se Awam Ki Aankhon Main Dhool Jhonkti Hain. Export Main Ye Izafa Rupee Term Main Hua Hay Dollar Main Nahi. Aik Saal Main Dollar Ke Muqablay Main Rupee Ki Qeemat 40% Gir Chuki Hay Is Liye Ye Izafa Nazar Aa Raha Hay. Jis Ka Economy Ko Koi Faida Nahi Ho Ga. Dollar Main Tou Exports 4 Mahinay Main 9.6 Billion Dollars Hi Hain. Yani Salana Almost 30 Billion Dollars. Dusri Janib Pakistan Ki Salana Imports 80 Billion Dollars Tak Pohnch Chuki Hain.
Pakistan Ke Trade Deficit Ki Tragic History
Pakistan Ki Imports Aur Export Ka Balance Hamesha Se Kharab Raha Hay. Magar Ab Tou Surat-e-Haal Mazeed Abtar Hoti Ja Rahi Hay. PBS Ke Data Ke Mutabiq 1985-86 Main Pakistan Ne Imports 5.6 Billion Dollar Aur Imports 3 Billion Dollars Theen, Yani Trade Deficit Sirf 2.6 Billion Dollar Tha Jo 2003-04 Tak Taqreeban Itna Hi Raha. 2003-04 Main Imports 15.6 Billion Dollar Aur Exports 12.3 Billion Dollars Thee. Yani Kisi Saal 1.5 Billion Dollars Tou Kisi Saal 3 Billion Dollar Trade Deficit Hota Tha Jo Overseas Pakistanion Ki Remittances Se Pura Ho Jata Tha. 2004-05 Main Pehli Baar Trade Deficit 6 Billion Dollars Se Barha. Us Waqt Imports 20 Billion Dollars Ho Gayeen Lekin Imports 14.3 Billion Rahee. Ye General Pervez Musharaf Ka Daur Tha Aur Un Ke Wazir-e-Azam Shaukat Aziz Thay. 2006-07 Main Trade Deficit 13 Billion Dollars Se Zyada Ho Gaya. (Imports 30 Billion Dollars, Exports 16.9 Billion Dollars). 2007-08 Tak Tijarti Khasara 21 Billion Dollars Tak Pohnch Chuka Tha. (Imports 40 Billion Dollars, Exports 20 Billion Dollars)
2008 Main People's Party Ne Hukumat Sanbhali Tou Un Ke 5 Saal Main Exports 19 Billion Dollars Se 25 Billion Dollars Tak Poncheen. Lekin Imports Bhi 45 Billion Dollar Tak Ja Pohncheen Yani Trade Deficit 20 Billion Se Zyada Hi Raha.
Pichlay 10 Saal Main Kiya Hua?
Nawaz Sharif Ke Daur Main Pehlay Saal Yani 2013-14 Main Bhi Imports 45 Billion Dollars Aur Exports 25 Billion Dollars Theen, Yani Trade Deficit 20 Billion Dollar Tha. Lekin PML N Ke Aakhri Saal 2017-18 Mian Ye Figure 37 Billion Dollar Tak Ja Pohnchi. (Imports 60 Billion Dollars, Exports 23 Billion Dollars)
Imran Khan Ki Hukumat Main Pehlay Maali Saal 2018-18 Main Trade Deficit 31 Billion Dollar Raha. (Imports 54.7 Billion Dollar, Exports 23 Billion Dollars). 2019-20 Main Imports Kam Ho Kar 44 Billion Dollars Tak Aayen Aur Exports 21.3 Billion Dollar Theen, Yani Almost 23 Billion Dollars Ka Trade Deficit Raha. 2020-21 Main Trade Deficit Phir 30 Billion Dollar Ho Gaya. (Imports 56.3 Billion Dollar, Exports 25 Billion Dollar). Financial Year 2021-22 Main Tou Imports History Ke Highest Level 80 Billion Dollar Per Pohnch Gayeen Jabkay Exports Sirf 30 Billion Dollars Raheen. Yani 50 Billion Dollars Ka Record Trade Deficit Hua Hay.
PDM Sarkar Kiya Kar Rahi Hay?
Shehbaz Sharif Ne April 2022 Main Iqtidar Sanbhala Tou Imported Ashya Per Pabandi Lagayi Magar Baad Main Wo Bhi Khatam Kar Di. Yani Imports Kam Honay Ka Is Saal Bhi Koi Imkaan Nahi. Jabkay Exports Main Bhi Koi Khaas Izafa Nazar Nahi Aata. Yani Aglay Saal Bhi Taqreeban 45 Se 50 Arab Dollar Ka Trade Deficit Pakistan Ka Muqaddar Banay Ga. Foreign Exchange Reserves Mazeed Kam Hon Gay, Rupay Ki Qadar Mazeed Giray Gi Aur Mehngai Mazeed Barahay Gi.
Economy Experts Ke Mutabiq Pakistan Ki Exports 60-70 Billion Dollar Salana Tak Barhaye Bagher Mulk Ke Economic Crisis Ka Hal Nahi Nikal Sakta.