Lt. General Syed Asim Munir Ko Naya Army Chief Laga Dia Gaya. Ye News Sun’nay Kay Baad Main Nay Kuch Duston Kay Sath Apna Tajzia Share Kia Aur Ghar Chala Gaya.

Raat Gaye Kisi Dost Kay Sath Islamabad Kay Aik Mehngay Tareen Ilaqay Kay Aik Banglay Main Puhancha, Jahan Mulk Kay Kuch Baray Siasatdaan, Hukmaran, Qanoondan, Anchors, Adakaar, Tajziakaar Aur Security Idaron Kay Log Mojoud Thay Aur Syed Asim Munir Ki Taqarruri Par Baat Cheet Chal Rahi Thi.

Main Shehr-e-Iqtadar Main Naya Tha Is Liye Khamoshi Say Aik Konay Main Baith Gaya Aur Tabsaray Sun’nay Laga.

Aik Sahib Bolay Ke:

“Huzoor! Jab Raat Gaye Quran-E-Pak Ki Tilawat Kartay Hain To Un Kay Chehray Say Aik Khaas Qisam Ki Roshni Namoodar Hoti Hay. Aik Khushboo Saray Mahaul Ko Pakeeza Bana Daiti Hay.”

Main Khush Ho Gaya… Itnay Main Aik Aur Sahib Bolay Ke:

“Shah Sahib Aksar Fajar Ki Namaz Baa-Jamat Parhtay Hain. Kai Baar To Isha Kay Wuzoo Kay Sath Hi Fajar Ki Namaz Parhi. Is Baat Ka Tazkara Un Kay Mulazim Nay Mujh Say Kia.”

Meray Andar Aqeedat Kay Jazbaat Paida Honay Lagay.

Teesray Sahib Nay Apni Maujudgi Ka Ehsas Youn Dilaya:

“Hafiz Sahib Jitna Ma’mla Fehm Main Nay Aaj Tak Nahi Dekha. Khamoshi Say Sab Ki Baat Suntay Hain Aur Akhir Main Jo Faisla Kartay Hain, Wo Har Kisi Ko Mehsoos Hota Hay Ke Jaisay Us Kay Dil Ki Awaz Ko Faisla Bana Dia Gaya Hay.

Dil Say Yak-Dam Nikla, Buhat Zaheen Shakhs Hain.

Aik Senior Tajzia Kaar Nay Apni Kursi Seedhi Ki Aur Bolay:

“Sadar Ayub Kay Daur Say Pakistan Aur Islamabad Main Honey Wali Developments Ka Student Hoon. Magar Jitna Professional In Ko Paya, Mazi Main Kisi Ko Nahi Paya. Har Faisla Merit Par Woh Bhi Barwaqt Aur Mulk Kay Intehai Mufad Main Kartay Hain. Apni Puri Naukri Main Aik Roaz Bhi Office Say Late Nahi Huay. Loag Uk Ko Dekh Kar Apni Ghariyan Theek Kartay Thay.

Aik Maulana Jo Sab Ko Sun Rahay Thay, Apni Darhi Ko Buhat Piyar Say Daikhtay Huay Kehnay Lagay:

“Buhat Naik Hain Wo, Baaz Logon Kay Baray Main Kaha Jata Hay Ke Un Kay Pait Main Darhi Hay. Hafiz Sahib Ka Shumar Bhi Unhi Main Hota Hay. Bas Apnay Kaam Say Kaam Rakhna Kisi Ko Chhota Naa Samjhna. Aap Ki Surat Main Hum Aik Jeeta Jagta Wali Dekh Saktay Hain.”

Aik Senior Siasatdaan Jo Samajh Rahay Thay Ke Woh Thora Sa Late Ho Gaye Hain, Youn Bolay:

“Mujhay Kal Raat Aik Buzurg Khwab Main Aye Aur Kehnay Lagay Ke Pakistan Kay Din Badalnay Walay Hain. Yehi Woh Shakhs Hay Jis Ki Naveed Sunai Gai Thi. Ab Saray Masail Hal Ho Jayen Gay. Har Taraf Khush-hali Ho Gi. Pakistan Udhar Lainay Ki Bajaye Dia Karay Ga.”

Meri Khushi Ki Inteha Naa Rahi. IMF Say Mukhalifat, Dushmani Ka Roop Dharnay Lagi.

Itnay Main Aik Retired Officer Bolay:

“Kisi Bhi Sarbarah Kay Liye Zaruri Hay Kay Us Ko Apni Team Kay Har Member Ka Ehsas Ho. Har Kisi Kay Dukh Ko Apna Dukh Samjhay. Kisi Ki Takleef Par Fori Reaction Day Aur Masla Hal Karay. Ye Sab Khusoosiat Un Main Mojoud Hain Jo Is Say Pehlay Kisi Main Mojoud Nahi Theen.”

Haal Hee Main NAB Say Retired Honay Walay Aik Officer Bolay:

“Corruption Kaa Naam Suntay Hi Un Ka Chehra Ghussay Say Laal Ho Jata Hay. Kai Baar Un Say Mulaqat Mein Main Nay Khud Dekha Hay. Who Looti Hui Daulat Ki Pai Pai Mulk Ko Wapis Dilana Chahtay Hain. Mulk Kay Mojouda Mu’ashi Halaat Par Bhi Buhat Pareshan Rehtay Hain.

Aik Hazir Service Office Nay Chaey Ki Piyali Uthai Aur Kaha Kay:

“Sir Ko Cricket Say Buhat Lagao Hay. Cricket Kay Baray Main Unki Understanding Bhi Kamal Hay. Unhon Nay Mujhay T20 World Cup Kay Final Say Aik Roaz Pehlay Hi Bata Dia Tha Ke Jo Pehlay Bowling Karay Ga, Wohi Jeetay Ga. Main Nay To Un Say Raye Lainay Kay Baad Kai Baar Match Par Satta Bhi Lagaya Aur Jeet Gaya. Un Ko Iska Bilkul Bhi Ilm Nahi Hay.” Sath Hi Un Sahib Nay Zoar Ka Qahqaha Lagaya

In Sab Sahibaan Ki Guftugu Say Mujhay Yaqeen Ho Gaya Ke Ab Pakistan Kay Din Badalnay Walay Hain. Pakistan Mu’ashi Maidan Main Tarraqi Karay Ga To Sana’ti Taraqqi Main Bhi Buhat Agay Jaye Ga. Zara’at Bhi Phalay Phulay Gi, To Taleem Main Bhi Ham Kamal Karain Gay.

Main Yeh Sun Raha Tha Ke Aik Dam Kisi Nay Maira Baazu Hilaya…

Main Harbara Kar Uthaa To Mairi Wife Kehti Hay Kay Aaj Office Nahi Jana? Jaldi Uth Kay Nashta Kar Lain. Aaj Ghar Ki Malai Say Makhan Nikala Hay, Buhat Fresh Aur Tasty Hay. Jaldi Say Nashtay Ki Table Par Aa Jain.

شیئر

جواب لکھیں