Deadlock Khatam Ho Gaya. Malaysia Ko Naya Prime Minister Mil Gaya. Jee Han, Anwar Ibrahim Ki Sun Li Gayi Aur Un Ki 24 Years Ki Political Struggle Rung Lai Aayi. 24th November Ko King Sultan Abdullah Sultan Ahmad Shah Nay Anwar Ibrahim Say Malaysia Kay 10th Prime Minister Ka Oath Liya. Un Ka Jail Say Parliament Ka Safar Aur Iqtidar Milnay Ka Taweel Intezar Tarekh Ka Hissa Hay. King Sultan Abdullah Nay Keh Diya Hay Kay Malaysian Political Leaders Mulk Kay Benefit Kay Liye Mil Ker Kaam Kerain.
Anwar Ibrahim Ka Siyasi Safar Bator Student Leader Shuru Hoa. Woh 1968 Say 1971 Tak National Union of Malaysian Muslim Students Kay President Rahay. Us Doran Woh University of Malaya Malay Language Society Kay President Bhi Thay.
1974 Main Unhonay Pehli Baar Jail Ka Samna Kerna Para. As A Student Leader, Unhonay Mulk Main Hunger Aur Poverty Kay Against Protest Kiya Tha. 1975 Say 1982 Tak Woh World Assembly Of Muslim Youth Main Asia Pacific Kay Representative Rahay.
Anwar Ki Country Politics Main Entry
1982 Main Country Wide Level Per Anwar Ibrahim Kay Political Career Ka Aghaz Hoa. Woh Islamic Youth Organisation, Angkatan Belia Islam Malaysia Kay Founding Leader Aur Dosray President Bhi Thay. Is Party Nay United Malays National Organisation Ko Join Kerlia. Is Organistion Ko Mahathir Mohamad Lead Ker Rahay Thay.
1983 Main Woh Minister Of Culture, Youth Aur Sports Ban Gaey. 1984 Main Unhonay Agriculture Ministry Sambhali Aur 1986 Main Woh Minister Of Education Ban Gaei.
As An Education Minister, Indonesia Ki National Language Bahasa Malaysia Say Bahasa Melayu Kernay Ka Faisla Unhonay Hi Kiya Tha.
1991 Main Woh, Malaysia Kay Finance Minister Bana Diye Gaei. Us Doar Main Malaysia Ki Economy Nay Bauhat Taraqi Ki. Unko Euromoney (Magazine) Nay Us Waqt Dunya Kay 4 Baray Foreign Minister’s Main Shumar Kiya Tha.
Anwar Ibrahim Nay 1993 Main United Malays National Organisation Ka Deputy President Ka Election Jeeta Aur Malaysia Kay Deputy Prime Minister Ban Gaey.
1997 Kay Asian Financial Crisis Kay Doran, Anwar Ibrahim Nay as Deputy Prime Minister Aur Finance Minister Mulk Ko Economically Stable Kia. Unhonay Free Market Kay Principles Ko Support Kia Jis Ko Bauhat Maqboliyat Mili.
Anwar Ibrahim Tezi Say Malaysia Ki Politics Main Maqbol Horahay Thay. Public Circles Main Woh Apnay Aur Mahathir Mohamad Kay Ko Relations Ko Baap Baitay Kay Bond Say Link Kertay. May 1997 Main Un Ko Mahathir Mohamad Nay Acting Prime Minister Bana Dia. Mahathir 2 Months Kay Liye Holidays Per Chalay Gaey.
Anwar Ki Politics Main Twist
Acting Prime Minister Ban’na He Anwar Kay Political Career Mai Twist Lai Aya. Un Kay Decisions Aur Way Of Governance Nay Mahathir Aur Unki Souch Main Farq Zahir Kerdia. Dono Leaders Kay Relations Yahan Sai Kharab Hona Shuru Hogaye.
United Malays National Organisation Main Bhi Un Kay Conflicts Barhnay Lagae. Mahathir Ka Ghusa Barhnay Lagana Aur Anwar Un Ki Ankhon Main Kanta Ban Ker Chubnay Lagae. United Malays National Organisation Ki General Assembly Main Anwar Kay Decisions Per Tanqeed Ki Gaei.
September 1998 Main, Anwar Ibrahim Ko Cabinet Say Hatadia Gaya. Unkay Against Sodomy (Badfali) Kay Ilazm Ki Bhi Investigation Shuru Kerdi Gaei. United Malays National Organisation Say Bhi Un Ko Nikal Diya Gaya. Anwar Ibrahim Kay Against Corruption Charges Bhi Lagae Gaey Aur Kai Hafton Tak Case Court Mai Chalta Raha.
April 1999 Main, Anwar Ibrahim Ko Corruption Charges Sabit Honay Per High Court Nay 6 Years Kay Liye Jail Bhej Diya. August 2000 Main Sodomy Kay Ilzam Main Un Ko 9 Saal Jail Ki Saza Suna Di Gaei.
Anwar Per Ilzam Tha Kay Unkay Kuch Mardon Kay Sath Sexual Relations Hain. In Afraad Main, Anwar Kay Former Speech Writer Aur Un Kay Adoptive Bhai Bhi Shamil Thay.
Sodomy Conviction
1999 Main Muhathir Mohamad Nay Anwar Ibrahim Per Ilzam Lagaya Tha Woh Immoral Acts Main Mulawish Rahay Hain Aur Homosexual Hain. In Ilzamat Per Anwar Nay Muhathir Per Case Kerdia Tha. 2004 Main Anwar Ibrahim Ko Sodomy Case Main Relief Mila Aur Jail Sai Rehai Mil Gaei. Anwar Per Ilzamat Laganay Walay Author Khalid Jafri Ko Bhi Anwar Nay Adalat Main Ghaseta. Anwar Ko Is Case Main Compensation Main Lakhon Ringgit Milay.
Politics Main Wapsi
November 2006 Main, Anwar Ibrahim Nay Announce Kia Kay Woh 2008 Main Presidential Elections Mai Hissa Lena Chahtay Hain. Taham Anwar Ki Disqualification Ki Date Say Pehlae Hi Elections Kerwadiye Gaey. Anwar Nay Himmat Nahi Hari Aur Woh By- Poll Jeet Ker Parliament Agae. Woh Malaysian Parliament Main Opposition Leader Thay. Woh 2008 Say 2015 Tak Opposition Leader Rahay.
2022 Kay Elections
November 2022 Main Malaysia Main General Elections Hoay. Anwar Ki Party Pakatan Harapan Alliance Nay 222 Seats Main Say 82 Seats Hasil Kein. Parliament Main Majority Kay Liye 112 Seats Darkaar Thein. Pakatan Harapan Alliance Nay Degar Parties Say Colation Kerkai Federal Government Banay Ka Faisla Kia. Yang di-Pertuan Agong, King Of Malaysia Nay Anwar Ibrahim Samait Tamam Elected Parliamentarians Say Mulaqat Ki.
In Meetings Kay Bad, Malaysia Kay Royals Nay Yeh Faisla Kia Kay Anwar Ibrahim Malaysia Kay 10th Prime Minister Hongae.
King Sultan Abdullah Nay Yeh Bhi Clear Kerdia Kay In Elections Main Na Koi Hara Aur Na Koi Jeeta Mager Tamaam Politicians Mil Ker Mulk Ki Taraqi Kai Liye Kaam Kerain.
Anwar Ibrahim Ko Country Politics Main Enter Honay Kay 40 Saal Bad Iqtidar Tou Mil Gaya Mager Yeh Sabit Hogaya Kay Takht Per Baithnay Ka Safar Pholon Ki Sej Nahi Tha.