Author: افضال فاروقی

Sugar Yani Cheeni Ko Hamari Zindagi Main Aik Khas Haisiyat Aur Ehmiyat Hasil Hay. Hamari Khoraak Ka Bara Hissa Cheeni Say Bani Cheezon Per Mushtamil Hay. Laikin Meethi Zindagi Kay Liay Cheeni Hi Zaruri Nahi, Jaggery Yani Gurr Aap Ko Is Say Bhi Acha Zaiqa Day Sakta Hay. Dunya Ka 60% Gurr India Main Produce Hota Hay, Aur Wohi Sab Say Bara Consumer Bhi Hay. Southwest Asia Main Gurr Say Bani Dishes Buhat Popular Hain. Ye Sugar Cane Yani Gannay Say Bani Unrefined Sugar Hoti Hay. Iss Ko Sweet Dishes Aur Doosray Meethon Main Istemaal Kiya Jata Hay. Gurr Main…

مزید پڑھیں

Acchi Job Hasil Her Kisi Ka Khwab Hota Hay. Ager Pasand Ki Job Mil Jaey To Kuch Aisay Steps Lena Partay Hain Jin Say Aap Ko Future Main Koi Pareshani Nahi Hogi. Researchers Ka Kehna Hay Kay Senior Management Appointments Main 46% Decisions, Yani Appointments, Aisay Hotay Hain Jin Ko 2 Saal Baad Failures Ya Disappointments Samjha Jata Hay. To New Job Par Aisa Kia Karain Kay Aap Ko Failure Na Samjha Jaey? Business Leaders Kuch Tips Daitay Hain Jinhain Objectives Clear Rakhain Kisi Achi Jaga Job Milnay Kay Baad Jald-Az-Jald Us Kay Scope Per Clarity Hasil Kerlain. Jab Aap…

مزید پڑھیں

Kaun Keray Ga 2030 FIFA World Cup Ki Mezbani? Iss Kay Liay South American Nations Nay To Joint Bid Kerdi Hay. Argentina, Chile, Paraguay Aur Uruguay Ki Khwahish Hay Kay 2030 FIFA World Cup Ki Mezbani Jointly Unhain Milay. Kia FIFA World Cup 100 Saal Baad Dobara Uruguay Main Khela Jaei Ga? Iss Ka Faisla Next Year Tak Hojaey Ga. Yaad Rahay Kay Pehla FIFA World Cup 1930 Main Uruguay Main Khela Gaya Tha. Is Liay President Of The South American Football Confederation Alejandro Dominguez Keh Rahay Hain Kay 2030 World Cup Sirf Aik Tournament Nahi Balkay First World Cup…

مزید پڑھیں

چیٹ جی پی ٹی کی مقبولیت نے مصنوعی ذہانت کی دنیا میں ہلچل مچا رکھی ہے۔ جو کمی رہ گئی تھی وہ مائیکروسافٹ پوری کر رہا ہے، جس نئے اپنے براؤزر 'ایج' اور سرچ انجن ' بنگ' کا چیٹ جی پی ٹی کی طاقت رکھنے والا ورژن ریلیز کرنے کا اعلان کر دیا ہے۔ مائیکروسافٹ کے سی آئی او ستیا نڈیلا نے کنفرم کیا ہے کہ یہ نیا سرچ اور ویب براؤزنگ تجربہ خاص طور پر عام سوالات کے لیے ڈیزائن کیا گیا ہے۔ اِس براؤزر میں اہم پہلوؤں کی جگہ مصنوعی ذہانت کے ٹولز ڈالے جائیں گے۔ https://twitter.com/satyanadella/status/1623031898544152578?s=20&t=MgRosIlkogYqygNQQpSBRQ گوگل…

مزید پڑھیں

Barhta Hoa Weight Aap Ki Health Kay Liye Kisi Bhi Surat Theek Nahi Hota. Wazan Kam Kernay Kay Liya Jahan "Kuch" Koshish Kerna Parti Hai Waheen Aisi Balanced Diet Bhi Hoti Hain Jo Aap Ka Weight Kam Kernay Main Faida Mand Rehti Hain. Well Defined Diet Charts Buhat Eham Hotay Hain. Aap Ko Yeh Pata Hona Chahiye Kay Kaunsi Diets Aap Kay Liye Suitable Hongi Aur Uss Kay Aap Ki Health Ko Kia Faiday Hongae. Diet Main Kia Ho? Her Insaan Aik Alag Personality Hay. Her Diet Sab Kay Liye Behtar Bhi Nahi Hoti. Ager Kisi Diet Plan Say Aap…

مزید پڑھیں

Covid-19 Kay Baad Dunya Badal Gai Hay. Jahan Work From Home Jaisay Concepts Samany Aaey Waheen Memory Per Load Ziada Para Hay. Memory Ko Strong Kernay Kay Liye Buhat Say Aisay Methods Aur Techniques Maujood Hain Jo Proved And Tested Hain. In Main Say Kuch Ko Harvard University Nay Bhi Officially Approve Kia Hay Aur Aik Particular Technique Aisi Hay Jo Centuries Say Memory Improve Kernay Kay Liye Istemaal Horahi Hay. Ap Apni Memory Ko Sharp Kerna Chahtay Hain Tou Mnemonics Technique Ko Follow Kerain. Greek Philosophers Tak Iss Technique Ko Follow Kertay Hoay Khudh Ko Manwa Chukay Hain. Mnemonics…

مزید پڑھیں

Quetta Kay Bugti Stadium Main Pakistan Super League Say Pehlay Exhibition Match Ka Mela Saja To Samjhain History Create Hogai. Jahan Cricket Kay Fans Ko Behtareen Match Dekhnay Ko Mila Waheen Quetta Gladiators Kay Iftikhar Ahmed Nay Peshawar Zalmi Kay Fast Bowler Wahab Riaz Ko 6 Balls Per 6 Lagaatar Sixes Laga Ker Kamal Kar Dikhaya. #IftiMania 5th February Ko Quetta Main Cricket Fans Ki Nazrain Bugti Stadium Per Theen. Quetta Gladiators Aur Peshawar Zalmi Ki Team Apni Full Strength Kay Sath Ground Main Maujod Theen Aur Donon Teams Main Super Stars Nay Cricket Kay Liye Ideal Environment Bana Dia…

مزید پڑھیں

Coffee Kay ٰChahnay Walay Is Kay Bina Reh Nahi Saktay. Phir Coffee Kay Health Benefits Bhi Hain, Is Say Heart Diseases Kay Chances Kam Hojatay Hain, Stroke Say Bachao, Diabetes Aur Alzheimer Kay Liye Bhi Coffee Peena Faida Mand Hota Hay. Laikin... Ziada Coffee Peenay Say Aap Kay Daant Bhi Kharab Hosaktay Hain. Iss Ka Ilaaj Kia Hai? Aayen Dekhtay Hain. Ye Dagh Achay Nahi Hotay Coffee Yani Caffeine Kay Istemaal Say Teeth Staining Ho Jati Hay. Yeh Aisa Hi Hay Kay Jaisay Aap Kay Kapron Per Daagh Lag Jatay Hain, Coffee Kay Daagh Bhi Daanton Per Ajatay Hain. Iss…

مزید پڑھیں

Shahid Khan Afridi Officially Shaheen Shah Afridi Kay Father-In-Law Ban Gaey Hain. Fast Bowler Ka Nikkah Karachi Main Friday Ko Hoa Jis Main Dono Taraf Say Close Relatives Nay Shirkat Ki. Shaheen Ko Pakistan Cricket Ka Future Super Star Kaha Jata Hay Aur “Lala” Ka Damaad Ban'nay Kay Baad Un Ki Star Value Mazeed Ooper Jaey Gi. Shaheen Afridi Ki Dulhan Ansha Afridi Ko Lala Kai Fans Bachpan Say Jantay Hain. Apnay Baba Kay Sath Ansha Stadium Main Aya Kerti Theen. Crunch Matches Main Lala Aur Pakistan Team Kay Liye Duayein Mangtay Hoay Aqsa Aur Ansha Ko Kai Baar Dekha…

مزید پڑھیں

Alvida Jumbo Jet! Aviation History Ka Aik Chapter Band Hogaya, Ab Koi Naya Boeing 747 Plane Nahi Banay Ga. Aakhri B747 Aik American Cargo Airline Kay Liay Banaya Gaya Tha, Jo Us Kay Hawalay Kerdia Gaya Hay. Boeing 747 Nay Air Travel Ko Revolutionized Kia, Usay Urooj Par Puhanchaya. Yahi Waja Hay Ke Last B747 Ki Production Complete Honay Kay Baad Pehli Flight Ko Dekhnay Kay Liye Hazaroon Log Maujood Thay. Ye Jahaz Atlas Air Kay Liay Banaya Gaya Hay, Jis Nay 2 Saal Pehle 4 Boeing 747-8 Freighters Ka Order Diya Tha. Unko 3 Planes Pehlay Mil Gaey Thay…

مزید پڑھیں