Coffee Kay ٰChahnay Walay Is Kay Bina Reh Nahi Saktay. Phir Coffee Kay Health Benefits Bhi Hain, Is Say Heart Diseases Kay Chances Kam Hojatay Hain, Stroke Say Bachao, Diabetes Aur Alzheimer Kay Liye Bhi Coffee Peena Faida Mand Hota Hay. Laikin... Ziada Coffee Peenay Say Aap Kay Daant Bhi Kharab Hosaktay Hain. Iss Ka Ilaaj Kia Hai? Aayen Dekhtay Hain.

Ye Dagh Achay Nahi Hotay

Coffee Yani Caffeine Kay Istemaal Say Teeth Staining Ho Jati Hay. Yeh Aisa Hi Hay Kay Jaisay Aap Kay Kapron Per Daagh Lag Jatay Hain, Coffee Kay Daagh Bhi Daanton Per Ajatay Hain. Iss Main Tannin Maujood Hota Hay Jis Ki Waja Say Color Compound Aap Kay Teeth Say Stick Hojatay Hain. Tannin Compounds Natural Chemical Compounds Hain Jo Wine Aur Tea Main Paye Jatay Hain. In Main Bhi Stain Daalnay Ki High Power Hoti Hay.

Tannin Kay Ingredients Dental Enamel Say Stick Hojatay Hain Aur Daant Ko Nuqsan Pohchatay Hain.

Teeth Safety Ki Tips

Coffee Kay Shoqeen Afraad  Ko Chahiye Kay Ager Coffee Peena Hi Hay Tou Number Of Cups Kam Kerdain. Daily 2 Cup Coffee Peenay Say Daant Kharab Nahi Hotay.

Yeh Bhi Kaha Gaya Hay Kay Coffee Peenay Kay Timings Bhi Buhat Matter Kertay Hain. Poora Dinn Waqfay Waqfay Say Coffee Peenay Say Bhi Daant Kharab Hotay Hain. Is Liye Aik Waqt Main Hi Coffee Peeni Chahiye, Iss Say Daant Kharab Honay Ka Risk Kam Hojata Hay.

Coffee Peenay Kay Liye Iss Ko Drink Kernay Ka Andaz Bhi Dekhna Zaroori Hay. Mug Ya Cup Main Coffee Peenay Say Daant Kharab Honay Kay Imkanaat Barh Jatay Hain.

Iss Liye, Coffee Penay Kay Liye Straw Ka Istemal Bhi Kia Jasakta Hay. Chahay Coffee, Thandi Ho Ya Garam, Straw Ki Waja Say Aab Kay Daant Mehfooz Rahain Gae.

Dental Experts Ka Kehna Hay Kay Coffee Ko Straw Say Peena Teeth Staining Say Mehfooz Rehnay Ka Best Way Hay.

Black Coffee Main Ziada Power

Black Coffee Main Teeth Staining Ki Ziada Power Hoti Hay. Iss Ka Natural Dark Color Kisi Bhi Surface Per Apna Colour Chor Daita Hay. Coffee Main Milk Ya Cream Add Kerkay Iss Ka Color Light Kia Jasakta Hay.

Coffee Peenay Kay Foran Baad Daant Brush Kernay Say Ziada Bethar Yeh Hay Kay Aap 30 Minutes Wait Kerlain. Coffee Acidic Hoti Hay Aur Foran Brush Kernay Say Teeth Enamel Effect Hota Hay.

Coffee Penay Kay Baad, Pani Peena Bhi Bethar Rehta Hay. Aisa Kernay Say Daant Per Coffee Kay Daagh Washout Hojatay Hain. Iss Say Fori Toar Per Aap Kay Daanton Per Say Coffee Kay Stains Nahi Aatay.

Aap Ki Acchi Oral Hygiene Ki Waja Say Aap Kay Daant Saaf Rehtay Hain Aur Un Per Daagh Samait Cavities Bhi Nahi Hoteen. Apnay Dentist Kay Frequent Visits Kernay Say Bhi Aap Ko Apnay Oral Health Kay Baray Main Agahi Rehti Hay.

شیئر

جواب لکھیں