Chai Ho Ya Coffee; Log Apnay Din Ka Start Caffeine Consumption Say Karna Chahtay Hain. Ye Aap Kay Dimagh Ko Alert Rakhti Hay Aur Concentration Ko Bhi Boost Karti Hay. Laikin Sawal Ye Paida Hota Hay Ke Kya Ye Hamari Neend Ko Bhi Muta’sir Karti Hay?

Aik Research Kay Mutabiq Caffeine Ka Moderate Use Bhi Neend Dair Say Aanay Ka Sabab Banta Hay Aur Sleep Quality Par Bhi Negative Impact Dalta Hay. Laikin Aisa Kyun Hota Hay? Aayen Dekhain Caffeine Kis Tarah Dimagh Par Asar Dalti Hay Aur Neend Ko Kharab Karti Hay.

Doctors Ka Kehna Hay Ke Caffeine Dunya Mein Sab Say Zyada Use Honay Wala Stimulant Hay, Jo Alertness And Attentional Performance Ko Barhata Hay. Ya Hamari Chai Aur Coffee Mein Bhi Buhat Zyada Pai Jati Hay, Isi Liay Inhain Peetay Hi Dimagh Ka Mood Badal Jata Hay, Hum Alert Ho Jatay Hain, Laikin Neend Par Bhi Asar Parta Hay.

Caffeine Karti Kya Hay?

Caffeine Dimagh Aur Body Kay Darmiyan Messages Ko Tez Karti Hay, Isi Liay Log Isay Subah Istemal Karna Chahtay Hain, Takay Wo Apnay Din Ka Aghaz Alert Reh Kar Karain. Laikin Caffeine Ka Lambay Arsay Tak Istemal Jisam Ko Is Ka Aadi Bana Deta Hay.

Neend Ki Dushman

Caffeine Ka Mustaqil Istemal Hamaray Dimagh Kay Aik Chemical Adenosine Ko Mutasir Karta Hay. Wo Adenosine Receptors Block Karti Hay Aur Dimagh Ko Dopamine Kay Liay Zyada Responsive Banati Hay, Jo Aisa Hormone Hay Jo Hamain Satisfied Aur Motivated Banata Hay. Yahi Nahi, Caffeine Say Dimagh Mein Adrenaline Bhi Paida Hota Hay Jo Hamain Khushi Ka Ehsaas Deta Hay.

Natural Cycle Tabah

Caffeine

Waisay To Har Aadmi Ka Sleep Pattern Mukhtalif Hota Hay, Body Type, Health Aur Umar, Ye Sab Is Par Affect Kartay Hain, Laikin Sab Insanon Ka Aik Circadian Rhythm Hota Hay Jis Ka Matlab Hay Ke Sooraj Nikalnay Aur Doobnay Kay Lihaz Say Hum Hard-Wired Hain. Caffeine Sleep Kay Isi Natural Cycle Ko Muta’sir Karti Hay.

Research Kehti Hay Ke Raat Kay Waqt Dimagh Mein Adenosine Cycle Zyada Hota Hay, Yani Hum Sleepy Feel Kartay Hain. Tab Caffeine Ka Usage Logon Ko Itna Alert Kar Deta Hay Ke Wo So Nahi Saktay.

Caffeine Ka Asar Kab Tak?

Caffeine Hamary Sleep Hormones Ko Muta’sir To Karti Hi Hay, Balke Is Ka Asar Chai Ya Coffee Ki Aakhri Chuski Kay Baad Bhi Kafi Dair Tak Rehta Hay. Andaza Hay Ke Caffeine Ka Asar Khatam Honay Mein 6 Ghantay Tak Lag Jatay Hain. Yani Aap Nay Neend Say 6 Ghantay Pehlay Bhi Coffee Li Ho To Aap Ka Sleep Pattern Kharab Hoga.

Aik Vicious Cycle

Caffeine Sleep Duration Hi Nahi, Sleep Quality Par Bhi Asar Dalti Hay. Aap Jab Pur-Sukoon Aur Deep Sleep Nahi Lay Patay To Subah Fresh Ho Kar Nahi Uth Patay Aur Alert Nahi Hotay. Tab Alertness Haasil Karnay Kay Liay Aap Phir Chai Ya Coffee Ka Istemal Kartay Hain Aur Ye Cycle Chalta Rehta Hay. Aik Vicious Cycle!

شیئر

جواب لکھیں