Stress Aik Aisa Masla Hai Jo Her Age Kay Afraad Main Aam Ho Raha Hay. Is Halat Main Jab Aap Neend Laitay Hain To Bajaey Pur-Sukoon Rehnay Kay, Aap Ko Distressed Dreams Hi Aatay Hain Jin Say Aap Ka Dimagh Mazeed Thak Jata Hay. Yeh Khwab Aap Ko Mazeed Pareshan Ker Daitay Hain Aur Aap Fatigued Feel Kertay Hain.
Research Main Yeh Samnay Aya Hay Kay Jo Insaan Jitna Stressed Out Hota Hay, Us Ki Neend Utni Ziada Kharab Hoti Hay. Yani Jitna Stress, Utni Neend Disturbed. Aap Baar Baar Neend Say Uthain Gay, Pareshan-Kun Khwab Ayein Gae Aur Zehn Bojhal Rahay Ga. Aur Sleep Problems Ki Waja Say Stress Barhta Hi Rahay Ga.
Iss Maslay Ko Solve Kernay Kay Liye Kuch Effective Measures Lenay Say Aap Ka Stress Level Kafi Hadd Tak Reduce Ho Sakta Hay.
Stress Dreams Kaisay Hotay Hain?
Jab Aap Pareshani Kay Alam Mai So Jatay Hain To Aap Ko Khwab Bhi Pareshan-Kun Aatay Hain. Phir Jab Aap So Ker Uth'tay Hain To Aap Unsettled Aur Mentally Disturbed Hotay Hain. Upsetting Dreams Ki Waja Say Aap Mazeed Stress Ka Shikar Bhi Hojatay Hain.
In Dreams Main Ziada Tar Aap Ko Woh Pareshan-Kun Moments Hi Nazar Atay Hain Jin Ka Aap Shikar Rahay Hon, Ya Jo Aap Experience Ker Rahay Hotay Hain. Ager Ap Pooray Din Kaam Kay Baad Bhi Koi Important Project Khatam Nahi Ker Sakay To Khwab Main Bhi Aap Is Say Muta'liq Hi Daikhtay Rahain Gay.
Yeh Khwab Normally Alag Hotay Hain Aur Yeh Nightmare (Drownay Khwab) Jaisay Nahi Hotay. Stress Dreams Ki Waja Anxiety Bhi Hoti Hay. Is Kay Ilawa Frustration, Kisi Maslay Ki Waja Say Mental Pressure Bhi Stress Ka Reason Hota Hay. Yeh Feelings So Ker Uthnay Kay Baad Mazeed Kharab Hojati Hain Aur Ager In Ko Solve Na Kia Jaey To Yeh Mazeed Mushkil Ka Sabab Banti Hain.
Stress Dream Ka Ilaj Kya?
Ager Aap Musalsal Stress Ki Waja Say Pareshan Rehtay Hain Aur Pur-Sukoon Neend Nahi Lay Pa Rahay To Aap Ko Chahiye Kay Apnay Doctor Say Baat Kerain. Doctor Aap Kay Symptoms Ka Jaiza Lay Ker Medical Ya Mental Health Condition Kay Hawalay Say Aap Ko Suggestions Day Ga.
Excessive Stress Kay Ilaj Kay Liye Psychotherapy Aur Medications Zaroori Hoti Hain. Kabhi Kabhi Dono Aik Sath Hona Bhi Zaroori Hota Hay.
Psychotherapy Bhi 2 Types Ki Hoti Hain. Cognitive Behavioral Therapy (CBT) Main Logon Ko Negative Thoughts Aur Cognitive Distortions Ko Samajhnay Main Help Ki Jaati Hay. Yeh Thoughts Stress Feelings Ka Bai's Bantay Hain. Inn Ko Treat Kernay Kay Liye Effective Coping Strategies Suggest Ki Jati Hain.
Mindfulness-Based Stress Reduction (MBSR) Therapy Ki Aik Aisi Form Hay Jis Main Meditation, Yoga Aur Mindfulness Ko Sath Mila Ker Treatment Ki Jati Hay. Yeh Stress Say Cope Kernay Ka Aik Tareqa Hota Hay.
Medication
Kuch Situations Main Medicines Ka Istemaal Kia Jata Hay. Doctor Ki Taraf Say Kuch Medicines Prescribe Ki Jati Hain Jo Stress Kay Symptoms Ko Relieve Ker Daiti Hain. Anti-Anxiety Medications Main Ziada Tar Ativan (Lorazepam), Xanax (Alprazolam) Aur Valium (Diazepam) Di Jaati Hain. Antidepressant Medications, Including Prozac (Fluoxetine), Zoloft (Sertraline) Aur Paxil (Paroxetine) Bhi Akser Doctors Prescribe Kertay Hain.
Yeh Possible Nahi Kay Ap Ka Sab Stress Khatam Hojaey. Laikin Kuch Steps Ko Follow Kertay Hoay Stress Ko Reduce Zaroor Kia Jasakta Hay. In Main Aik Cheez Sleep Environment Ko Comfortable Banana Bhi Shamil Hay. Restful Aur Peaceful Jaga Sonay Say Bhi Aap Ki Neend Behtar Hogi Aur Stress Main Waazeh Kami Aaey Gi. Sonay Aur Uthnay Ka Waqt Set Hona Bhi Peaceful Neend Ka Ba'is Ho Sakta Hay. Sonay Say Aik Hour Pehlay Screen Time Band Kernay Say Bhi Neend Acchi Aati Hay.
Apnay Aap Ko Relax Rakhnay Kay Liye Exercise Ki Aadat Apnaein. Social Support Bhi Aap Kay Liye Faida Band Hosakti Hay. Caffeine Intake Ko Limit Kernay Kay Sath Deep Breathe Lenay Ka Amal Bhi Aap Ki Health Aur Eventually Stress Reduce Kernay Per Behtar Results Dalta Hay.
Different Techniques Ka Usage Aap Ko Stress Say Door Rakhta Hay. Waqt Kay Sath Aap Ka Stress Kam Hoga Aur Aap Stress Free Peaceful Neend Lai Ker Apna Din Aur Zindagi Khush-Gawar Bana Sakain Gay.