Insan Us Waqt Stress Ya Depression Ka Shikar Hota Hay Jab Us Ki Expectations Puri Nahi Hotein. Apni Adaaton Aur Rawayun (Cognitive Behavior) Main Tabdeliyan La Ker Hum Bauhat Kuch Badal Saktay Hain.

Cognitive Behaviour Therapy Main Mental Health Ko Strengthen Kernay Kay Liye Problem Solving Aur Practical Approach Apnai Jaati Hay. Is Approach Kay Zariye Hum Ko Apnay Thoughts, Feelings Aur Behaviours Ko Samajhnay Main Madad Milti Hai, Kion Kay Yeh Sab Inter Linked Hotay Hain.

Cognitive Behaviour Therapy Ko Introduce Kernay Walay Expert Aaron Beck Nay Bataya Hay Kay Aksar Auqaat, Khudh Say He Negative Thoughts Aanay Lagtay Hain Jis Ki Waja Say Koi Bhi Shaks Anxious Ya Depressed Hosakta Hay.

Ab Baat Yeh Hay Kay Kaisay In Automatic Thoughts Say Bacha Jaei. Is Problem Ki Solution Kay Liye Kuch Methods Hain Jo Aap Ko Automatic Negative Thoughts Control Kernay Main Helpful Rahain Gae.

Notice Kerain

Aap Ko Chaheye Kay Apnay Automatic Negative Thoughts Ko Notice Kerain. For Example Jab Ager Kisi Baat Per Anxiety Ka Shikar Hotay Hain, Aisay Moments Per Nazar Rakhain. Jab Ap Ko Pata Hoga Kay Kis Bat Per Ap Ko Anxiety Hoti Hai Tou Ap Phelay He Is Situation Kay Liye Tayar Rahain Gae. Yeh Kernay Ka Maqsad Yeh Hota Hay Kay Kisi Un Usual Situation Kay Liye Khudh Ko Tayar Rakhain.

Waqt Kay Sath Yeh Process Easy Hojai Ga Aur Ap Ko Andaza Hoga Kay Is Situation Ka Ap Per Kuch Khas Ya Bilkul Bhi Asar Nahi Hoga. Khudh Ko Pur Sukon Rakhtay Hoay, Deep Breath Lain Aur Yeh Apni Attention Dobara Us Kam Ki Taraf Lai Jaein Jo Ap Pehlay Ker Rahay Thay.

Aisay Khayalat Ko Janay Dain

Jab Hamaray Zehan Main Aisay Khayalat Atay Hain Tou Hum Kuch Creative Strategies Kay Zariye In Thoughts Kay Baray Main Ziada Nahi Souchtay. Distraction Aik Aisa Tareeqa Hai Jis Kay Zariye Ap Apna Zehan Aisay Thoughts Aur Feelings Say Doar Rakh Saktay Hain.

Aik Research Main Yeh Baat Samnay Aei Hay Kay Kisi Khayal Ko Darguzar (Letting Go) Kernay Kay Mental Health Per Kia Effects Hotay Hain.

Intially Ap Ko Aisa Kernay Main Mushki Hogi Mager Phir Ap Ko Adat Hojaei Gi. Jo Log Visualization Ko Connect Kertay Hain Woh Is Situation Main Kuch Aur Souchnay Lag Jatay Hain Jis Say Negative Thoughts Khudh He Khatam Hojatay Hain.

Zehan Aur Jism Ka Rishta

Negative Thoughts Ka Hamaray Jism Per Bhi Asar Hota Hay. Hamari Mental Aur Physical Health Bhi Is Situation Main Suffer Kerti Hai. Hum Ko Chaheye Kay Is Situation Main Khudh Ko Control Rakhain Aur Apni Condition Per Nazar Rakhain.

Jab Hum Apnay Negative Emotions Ko Avoid Ker Kay Andar He Dabatay Hain Tou Is Say Degaar Kai Physical Ailments Kay Khatrat Barh Jatay Hain.

For Instance, Psychologists Nay 2 Tarhan Kay Loogn Per Study Ki. In May Say Aik Group Ko Jazbat Say Bharpor Movie Dekhai Gae Aur Kaha Gaya Kay Emotions Ka Izhar Nahi Kerna. Dosray Group Ko Emotions Kay Izhar Ki Azadi Di Gaei.

Jis Group Nay Apnay Emotions Suppressed Kiye Thay Un Kay Nervous System Per Shayed Effects Dekhay Gae Jis Say Yeh Zahir Hoa Kay Emotions Ko Zahir Na Kernay Say Hamari Zindagi Per Harmful Stress Ajata Hay.

Experts Ka Kehna Hay Kay Ager Hum Stress Wali Apni Feelings Aur Physical Sensations Ko Ignore Kerain Gae Tou Hamaray Jism Mai Stress Build Up Aur Grow Hota Rahay Ga. Is Ko Khatam Kernay Kay Liye Hum Ko Khudh Say Baat Kernay Ki Adat Apna Na Hogi. Apnay Ap Ko Pehchan Ker Aur Masail Ki Nishadahi Kerkay Apna Moral Lift Rakhna He Eham Hoga.

Yeh Yaad Rakhain Kay Hamaray Zehan Main Her Tarhan Kay Khayalat Atay Hain Jo Hum ko Stressed Aur Depressed Rakhtay Hain Mager Un Per Control Aur React Kerna Bhi Hamaray Hath Mai He Hay. Ager Zarorat Mehsos Ho Tou Hum Support Kay Liye Apnay Friends, Family Ya Kisi Professional Expert Say Bhi Rabta Ker Saktay Hain. Bus Hamaey Apnay Thoughts Kay Liye Observant Hona Hoga Aur Is Baat Ko Remind Kertay Rehna Hoga Kay Khudh Ko Behtar Rakhnay Kay Liye Kia Kindness Show Kersaktay Hain.

شیئر

جواب لکھیں