Aik Zamana Tha Jab Jawani Deewani Hoti Thi, Is Umar Mein Jawanon Ko Kisi Ki Parwa Nahi Hoti Thi. Mauj Masti Aur Tafreeh Wali Zindagi Guzartay Thay, Laikin Ye New Generation Bilkul Mukhtalif Hay Aur Is Ka Sab Say Bara Problem Hay STRESS. Chahay Is Ki Waja Barhti Hui Expectations Hon Ya Hadd Say Zyada Kaam, Stress Agar Negative Phase Mein Dakhil Ho Jaey To Zindagi Barbaad Kar Deta Hay.

Waisay Kabhi Kabhi Stressful Ho Jana To Chalain Zindagi Ka Hissa Hay. Aisa Stress Aap Ko Depression Aur Anti-Social Behavior Say Bachata Hay. Kisi Stressful Soorat-E-Haal Ka Samna Aap Ko Resilient Bhi Bana Sakta Hay. Laikin Mustaqil Stress Ho, Bar Bar Hota Ho Aur Aap Ki Life Par Negative Impact Daal Raha Ho, To Ye Aap Ki Mental Aur Physical Health Ko Buhat Nuqsaan Puhanchata Hay. Neend Urr Jati Hay, Roz Kay Kaamon Aur Learning Par Bhi Asar Parta Hay.

To Stress Kaisay Khatam Karain? Pareshan Na Hon, Hum Hain Na! Hum Aap Ko Kuch Aisi Techniques Bataen Gay, Jo Aap Ko Stress Say Nikal Kar Aap Kay Brain Aur Body Ko Wapis Track Par Laa Sakti Hain.

Deep Breathing

Raftar Bharne Do

Ahista Ahista Aur Gehray Saans Lain, Aap Hairan Reh Jaen Gay Ke Aap Ki Body Kitni Jaldi Relax Ho Jati Hay. Jab Aap Stressful Hotay Hain To Note Keejiay Gay Ke Aap Khul Kar Aur Bhar Kar Saans Nahi Lay Patay. Is Liay Gehray Saans Lainay Say Body Ka Stress Response Kam Hota Hay.

Is Ka Tareeqa Ye Hay Ke Sab Say Pehlay Mounh Say Saans Bahar Nikalain. Phir 4 Seconds Tak Naak Say Andar Saans Lain, 7 Seconds Tak Is Saans Ko Rokay Rakhain Aur Phir Usay 8 Seconds Mein Mounh Say Bahar Nikalain. Aisa Kam-Az-Kam 4 Martaba Karain. Ye Technique Aap Ki Body Ka Parasympathetic Nervous System Active Kar Day Gi.

Muscle Relaxation

Kuch Aisi Muscle Relaxation Strategies Bhi Hain Jo Aap Ko Destress Karnay Main Madad Daiti Hain. Sab Say Aam Hay Guided Imagery Technique. Jis Mein Aap Calming Images Dekhtay Hain, Maslan Kisi Samandar Kay Sahil Waghera Ki.

Phir Aik Technique Progressive Muscle Relaxation Hay, Jis Mein Aap Aik Waqt Mein Aik Muscle Group Ko Tense Aur Relax Kartay Hain. Ye Strategies Na Sirf Stress Ko Kam Karnay Ki Taqat Rakhti Hain, Balkay In Say Headache, Anxiety Aur Neend Kharab Honay Say Bhi Nijaat Milti Hay.

Tareeqa Ye Hay Ke Aik Waqt Mein Kisi Aik Body Part Ko 5 Seconds Kay Liay Tense Karain, Phir Relax Kardain, Aisa Aik Say Zyada Martaba Karain. Neechay Pairon Say Shuru Karain, Phir Raan, Hips, Stomach, Chest, Unglion, Bazu, Kandhon, Neck, Chehray Aur Peshani Kay Saath Aisa Karain. Phir Faraq Dekhain.

Meditation

Raftar Bharne Do

Meditation, Yani Ghor-o-Fikar Stress Ko Khatam Karnay Kay Liay Aik Proven Tareeqa Hay. Studies Main Paya Gaya Hay Ke Mindfulness-Based Stress Reduction Anxiety Aur Stress Mein Positive Change Lati Hay.

Meditation Aap Kay Zehn Ko Slow Kar Deti Hay Aur Aap Ko Apnay Khayalat, Feelings Aur Reactions Par Control Deti Hay. Phir Ye Aap Ko Apni Soch Ko Observe Karnay Kay Mauqa Bhi Deti Hay. Imagine Karain Ke Aik Paani Ka Chashma Hay, Aur Us Par Kisi Darakht Ka Toota Hua Patta Tair Raha Hay. Aap Ki Har Soch Zehn Mein Visualize Hoti Hay Aur Phir Aap Ki Soch Bhi Is Chashmay Kay Paani Kay Sath Behnay Lagti Hay. Is Say Aap Ko Stressful Soch Ko Kam Karnay Mein Madad Milay Gi.

Exercise

Stress Ko Fori Khatam Karnay Ka Aik Best Tareeqa Hay Exercise. Chahay Running Karain, Weight Uthaen Ya Boxing Karain, Har Physical Activity Effective Hay. Exercise To Waisay Bhi Health Kay Liay Achi Cheez Hay, Especially Heart Kay Liay, Laikin Is Say Stress Level Bhi Low Hota Hay.

Exercise Aap Kay Mind Ko Clear Karti Hay, Neend Ko Behtar Banati Hay, Aur Ye Donon Cheezain To Waisay Hi Stress Level Ko Kam Karnay Mein Madad Daiti Hain. Waisay Waqt Na Ho To Thori Si Walk Bhi Kaam Karay Gi.

Jazbaat Likh Daalain

Raftar Bharne Do

Jab Dimagh Mein Ultay Seedhay Khayalat Aa Rahay Hon To Aik Kaam Karain, Apnay Khayalaat Ko Likhna Shuru Kardain, Aap Ko Relief Milay Ga. Research Batati Hay Ke Writing, Ya Journaling, Anxiety Ko Kam Karnay Mein Madad Deti Hay.

Jab Hum Stressed Hotay Hain To Hamara Dimagh Khud Say Kahaniyan Banata Hay. Is Liay Aik Kaghaz Aur Pen Uthaen Aur Is Situation Aur Apni Thoughts Ko Likhna Shuru Kardain. Apni Feelings Ko Writing Mein Lana Aik Effective Taraeeqa Hay.

To Ye Tareeqay Hain, Jinhain Aap Nay Aik Baar Nahi Bar Bar Karna Hay Aur Mustaqil Karna Hay. In Say Aap Ko Stress Relief Aur Stress Management Mein Buhat Madad Milay Gi.. Regular Deep Breathing, Rozana Exercise, Bharpoor Neend Aur Khul Kar Hansna, Ye Aap Ki Zindagi Mein Stress Ko Healthy Level Par Latay Hain.

Is Liay Breaking Point Tak Puhanchnay Ka Intezar Na Karain, Breathing Exercise Aur Journaling Ko Apni Aadat Banaen. Ye Aap Ko Serious Aur Khatarnaak Stress Say Bachanay Mein Madad Dain Gay.

شیئر

جواب لکھیں