Ye Bhi Kya World Cup Hay Yaar, Group Stage Mein Koi Aisi Team Nahi Bachi Jis Nay Apnay Saray Matches Jeetay Hon. Yahan Tak Ke Brazil Bhi Nahi, Jo FIFA World Cup Round Of 16 Say Pehlay Apnay Last Match Kay Last Moments Mein Cameroon Say Goal Kha Kar Haar Gaya.

History Mein Pehli Martaba Aisa Hua Hay Ke Kisi FIFA World Cup Ki Group Stage Mein Koi Team Apnay Teenon Matches Na Jeet Saki Ho. Is Say Ye Bhi Pata Chalta Hay Ke Ye Kitna Competitive Aur Zabardast Tournament Raha Hay.

Undefeated Teams

Laikin Kuchh Teams Group Stage Mein Undefeated Zarur Rahi Hain, Yani Saray Matches To Nahi Jeetay Laikin Haara Bhi Koi Nahi.

Group A Say Netherlands Hay, Jis Nay Apnay 2 Matches Jeetay Aur 1 Draw Khela. Group B Say England Aur America Donon Nay Koi Shikast Nahi Khai. England 3 Mein Say 2 Matches Jeeta Aur America 1 Match, Laikin Baqi Donon Matches Draw Khelnay Mein Kamyab Raha.

In Kay Ilawa Sirf Group F Aisa Hay Jis Mein Koi Undefeated Team Hay, Balklay Aik Nahi 2 Hain. Aik Taraf Surprisingly Morocco Hay, Jis Nay Belgium Aur Canada Donon Ko Haraya Aur Croatia Say Draw Khela. Croatia Bhi Undefeated Raha Jis Nay Canada Ko 4-1 Say Haraya Aur Morocco Kay Baad Belgium Say Bhi Draw Khela.

Baqi Har Team Nay Shikast Ka Maza Chakha Hay. Defending Champion France Say Fan Favourite Argentina Aur World No. 1 Brazil Tak.

Brazil Bechara To Apnay Last Match Mein Us Waqt Haara Jab Match Stoppage Time Mein Chal Raha Tha. Vincent Aboubakar Ka 92nd Minute Mein Header Par Kia Gaya Goal Arsay Tak Yaad Rakha Jaey Ga. Cameroon Qualify To Nahi Kar Saka Laikin Aik Bari Kamyabi Kay Sath World Cup Say Rukhsat Hua.

Asia Ka World Cup

FIFA World Cup 2022 Ka Start 32 Teams Kay Sath Hua Tha Aur Ab Sirf 16 Reh Gai Hain. Aur Isay Asia Ka World Cup Kahain To Ghalat Nahi Hoga. Aik To Asia 2nd Time Host Bana, Phir History Mein Pehli Baar Asian Confederation Ki 3 Teams Knockout Round Mein Bhi Puhanchi Hain.

Aik Taraf Japan Hay Jis Nay Germany Aur Spain Jaisay Giants Ko Maara. Phir South Korea Hay Group Stage Kay Aakhri Din Jis Nay Final Moments Main Goal Karkay Portugal Ko Shikast Di Aur Us Kay Sath Khud Bhi FIFA World Cup Round Of 16 Mein Puhahanch Gaya Hay.

Australia Bhi Asian Football Confederation Say Khelta Hay, Jis Nay Aik Mushkil Group Mein France Say 4-1 Ki Bhari Shikast Khanay Kay Bawujood Himmat Nahi Haari Aur Tunisia Aur Denmark Ko Harata Hua Next Round Mein Aa Gaya Hay.

Notable Exits

World Cup 2022 Mein Pehlay Hi Round Mein Bahar Honay Walay Baray Naamon Mein Pehla Hay Belgium Ka. FIFA Rankings Mein World No. 2 Belgium Ki Is Team Ko ‘Golden Generation’ Kaha Jata Tha, Laikin Ye Bhi Belgium Ka World Cup Jeetnay Ka Khwab Poora Nahi Kar Saki. Is Saal To Belgium Favourites Mein Say Aik Tha, Laikin Qismat Dekhain Kay Group Stage Hi Mein Bahar Ho Gaya. Morocco Say 2-0 Say Haara Aur Phir Croatia Say Draw Khel Kar Wapsi Ka Ticket Pakar Lia.

Aik Aur Surprise Exit Germany Ka Raha Jo Musalsal Doosray World Cup Mein First Round Say Bahar Hua Hay. 2014 Ka Champion Japan Kay Hathon 2-1 Ki Haar Us Kay Liay Decivise Blow Sabit Hui.

Phir Uruguay Jo South Korea Ko Hara Nahi Saka, Match Draw Khela Aur Phir Portugal Say Haara. Last Match Mein ‘Puranay Dushman’ Ghana Say 2-0 Say Jeet Kar Bhi Qualify Nahi Kar Saka.

Phir Mexico Bahar Hua, Denmark Gaya Aur African Powers Cameroon Aur Ghana Bhi.

Round Of 16

Ab Knockout Stage Mein Kaun Kis Say Khelay Ga? Is Ka Faisla Ho Chuka Hay. Sab Say Pehlay Netherlands Aur America Ka Muqabla Hoga Aur Argentina Australia Say Khelay Ga.

Defending Champion France Poland Ka Aur England Senegal Ka Samna Karay Ga.

Japan Croatia Say Aur Brazil South Korea Say Muqabla Karay Ga Yani Us Din Asia Ki Qismat Ka Faisla Hoga.

FIFA World Cup Round Of 16 Kay Aakhri Din Morocco Aur Spain Khelain Gay Aur Sath Hi Portugal Aur Switzerland Ka Taakra Hoga.

In Mein Say Jeetnay Wali Teams Quarterfinal Stage Mein Jaen Gi Aur Haarnay Wali Watan Wapis.

شیئر

جواب لکھیں