FIFA World Cup 2022 Mein England Kay Hathon Iran Ki 6-2 Say Shikast Nay Pakistani Football Fans Ko Bara Mayoos Kia. Phir Match Politicize Bhi Ho Gaya, Jis Say Dil Aur Kharab Hua. Laikin Aaj Saudi Arabia Nay To Hamaray Saray Gham Door Kardiay. Argentina Jaisi Hot-Favourite Team Kay Khilaf 2-1 Say Jeet Kar FIFA World Cup Biggest Upsets Mein Say Aik Kardia Hay.

Mazay Ki Baat Ye Hay Ke Argentina Nay Match Kay First 10 Minutes Mein Hi Lead Lay Li Thi. Laikin Second Half Mein Saudi Arabia Nay Sab Ko Hairan Kardia. 48th Minute Mein Saleh Alshehri Aur Sirf 5 Minute Baad Salem Aldawsari Kay Kamaal Goal Nay Faisla Kardia. Phir Argentina Apni Sar-Torr Koshish Kay Bawujood Aakhir Tak Saudi Goal Line Paar Nahi Kar Saka.

FIFA World Cup Biggest Upsets
(Photo: Reuters)

Is Main Jahan Saudi Goalkeeper Mohammed Al-Owais Ka Shandar Khel Tha, Waheen Defenders Bhi Kisi Na Kisi Tarah Lionel Messi And Co. Kay Hamlay Bachatay Rahay. Yahan Tak Ke Time Poora Ho Gaya.

Argentina Is World Cup Mein Aaanay Say Pehlay 36 Matches Say Nahi Haara Tha, Ab Finally Aik Upset Shikast Kha Betha Hay. Doosri Taraf Saudi Arabia, Jo Ranking Mein Argentina Say 49 Places Peechay Hay, Last 10 Matches Mein Sirf 2 Victories Hasil Ki Theen, Ab Ye Tareekhi Kamyabi Hasil Kar Gaya Hay.

To Ye Waqt Hay FIFA World Cup Biggest Upsets Ko Yaad Karnay Ka. Aaen Zara Tareekh Dekhtay Hain:

FIFA World Cup Biggest Upsets

1966: North Korea 1-0 Italy

Raftar Bharne Do

Pak Doo Ik Ka Naam North Korea Ki Football History Mein Sab Say Zyada Famous Hay. Kyun? Kyunkay Inhi Ka Goal Tha Jis Nay North Korea Ko Apni History Ki Sab Say Barri Kamyabi Dilai Thi. 1966 Kay FIFA World Cup Mein North Korea Nay 2 Martaba Kay World Champion Italy Ko 1-0 Say Haraya Tha. Is Jeet Kay Zariay North Korea Knockout Stage Tak Puhanch Gaya Tha, Jabkay Italy Bahar Ho Gaya Tha.


1990: Cameroon 1-0 Argentina

Raftar Bharne Do

Argentina Defending Champion Tha, Wo Bhi Us Zamanay Mein Jab Diego Maradona Apnay Urooj Par Thay. Lagta Tha Wo Teesra World Cup Bhi Jeet Lay Ga. Jab Us Ka Pehla Muqabla Cameroon Say Parr Gaya. Jis Nay Milan Mein Kamal Kar Dia. 1-0 Say Argentina Ko Hara Dia. Cameroon Quarter Final Tak Puhancha Laikin England Say Haar Gaya. Laikin Africa Kay Liay Nai History Zarur Bana Gaya.


1994: Bulgaria 2-1 Germany

Raftar Bharne Do

1994 Mein Germany Defending Champion Tha. Berlin Wall Girnay Kay Baad Unified Germany Ka Pehla World Cup. Quarter Final Mein Germany Ka Muqabla Bulgaria Say Parr Gaya. Second Half Kay Start Mein Hi Lead Bhi Lay Li, Laikin Bulgaria Nay 75th Aur 78th Minute 2 Aisay Hamlay Kiay Jin Ka Germany Kay Paas Koi Jawab Nahi Tha. ‘Mighty’ Germany 2-1 Say Haar Kar World Cup Say Hi Bahar Ho Gaya.


2002: South Korea 2-1 Italy

Raftar Bharne Do

South Korea 2002 Mein Mezban Tha, Is Liay Us Say Khatra To Sabhi Ko Tha, Laikin Aafat Ai Italy Par. Wo Bhi Round Of 16 Mein. South Korea Nay Group Stage Mein Poland Aur Portugal Ko Haraya Aur Bhi Extra Time Mein Ahn Jung-Hwan Kay Golden Goal Nay Italy Ka Kaam Tamam Kardia.


2002: Senegal 1-0 France

Raftar Bharne Do

Aik Aur Defending Champion Ko Mili Aik Aur Upset Shikast. Is Baar Senegal Nay France Kay Khilaf Aik History Kamyabi Haasil Ki. Apnay Pehlay Match Mein Is Shikast Kay Baad France Uruguay Say Jeet Nahi Saka Aur Denmark Say Haar Kar Tournament Say Bahar Ho Gaya. Senegal Baad Mein Quarter Final Tak Bhi Puhancha.

FIFA World Cup Ka Aaghaz To Jaandar Hua Hay. Tournament Main Kai Aisi Teams Hain Jo Upset Karnay Ki Salahiyat Rakhti Hain. Kya Koi Doosri Team Bhi Aisa Kar Paey Gi? Aur Us Say Bhi Bara Sawal, Kya Lionel Messi Dil Mein World Cup Jeetnay Ka Armaan Liay Hi Football Say Retire Ho Jaen Gay? Kyunke Is Shikast Nay Argentina Ko Barra Dhachka Puhanchaya Hay, Jis Say Nikalnka Na-Mumkin Nahi To Mushkil Zaroor Hoga.

شیئر

جواب لکھیں