FIFA World Cup 2022 Apni Poori Shan Kay Sath Jari Hay. Tuesday 22nd November Ko Honay Walay Aik Match Mein Mexico Aur Poland Bhi Khelain Gay. Ye Important Match Jis Maidan Par Khela Ja Raha Hay, Us Ka Naam Hay Stadium 974. Ye Bhala Kya Naam Hua? Is Kay Peechay Aik Zabardast Kahani Hay.
Stadium 974 FIFA World Cup Kay Liay Tayyar Kiay Gaey Maidanon Main Say Aik Hay. Is Ka Iftatah Pichlay Saal November Mein Hua Tha. Shuroo Mein Isay Ras Abu Aboud Stadium Kaha Gaya, Laikin Phir Ye Naam Badal Kar ‘Stadium 974’ Rakh Dia Gaya.
Ye 974 Kya Hay?
Laikin Ye 974 Hay Kya? Asal Mein Ye Stadium 974 Shipping Containers Say Mil Kar Bana Hay. Ye Containers Is Kay Interior Aur Exterior Mein Har Jaga Nazar Aatay Hain. Phir Ye 974 Ka Number Bhi Koi Ittefaq Nahi Hay, Balkay Mulk Ka International Dialing Code Bhi Yahi Hay.
Dunya Ka Pehla Temporary Stadium
Stadium 974 Dunya Ka Pehla Temporary Stadium Hay. Yani Isay World Cup Kay Baad Dismantle Kardia Jaey Ga. Ye Stadium Doha Kay District Ras Abu Aboud Mein Hay. Jo Aik Industrial Area Hay.
Stadium 974 Mein 40,000 Ki Capacity Hay. Ye Last Year Say Ab Tak 6 International Matches Ki Mezbani Kar Chuka Hay. 30th November 2021 Ko Yahan United Arab Emirates Aur Syria Kay Darmian Pehla Match Khela Gaya Tha. 10 Din Baad Is Stadium Ka Naam Badal Dia Gaya.
Last Year Yahan FIFA Arab Cup Ka Semi Final Aur Third Position Ka Match Bhi Hua Tha. Jis Mein 36,000 Say Zyada Fans Stadium Mein Mojoud Thay.
Yahan Khelay Ga Kaun?
Mexico Aur Poland Kay Kay Ilawa Yahan Tournament Ki Kai Barri Teams Bhi Khelain Gi. Portugal, France, Brazil Aur Argentina Bhi Yahan Apnay Matches Khelain Gay.