FIFA World Cup 2022 Bus Shuroo Honay Hi Wala Hay. Aur Yahi Waqt Hay History Kay Greatest Matches Ko Yaad Karnay Ka. 92 Years Aur 21 Tournaments Ki History Mein Kai Aisay Matches Huay Jo Kabhi Bhulaey Nahi Ja Saktay. Hum Nay Aap Kay Liay Un Main Say Kuchh Matches Select Kiay Hain. Aaen Dekhtay Hain FIFA World Cup Kay Greatest Matches:

FIFA World Cup Kay Greatest Matches

The Blow Of Maracanã - 1950

Ye FIFA World Cup Ki History Ka Pehla Great Match Tha: 1950 Kay World Cup Ka Final. Brazil Tab Bhi Football World Ki Aik Barri Taqat Tha, Balkay Final Mein To Samjhain Super Power Tha. Last Matches Mein Wo Sweden Ko 7-1 Aur Spain Ko 6-1 Say Hara Kar Yahan Tak Aaya Tha.

Phir Brazil Aur Uruguay Ko Political Tensions Nay Bhi Is Match Ko Aik "War" Bana Dia Tha. Un Donon Mulkon Ki Rivalry Ko 'El Clásico Del Río Negro' Kaha Jata Tha. Bus Ye Samjhain Ke South America Ki Pak-India Rivalry.

World Cup Say Pehlay Hi Brazil Ka Confidence Aasman Par Tha. Us Nay Tournament Kay Liay Rio De Janeiro Mein Aik Aisa Stadium Banwaya Tha, Jis Ki Capacity Taqreeban 2 Lakh Thi. Naam Tha Maracanã Stadium.

Final Hua 16 July 1950 Ko Isi Maidan Par, Aur Brazil Nay Half Time Tak 1-0 Ki Lead Bhi Lay Li.  Khushi Kay Taranay Bajnay Lagay, Brazil Pehli Baar World Champion Ban’nay Wala Tha Ke Uruguay Nay 'One Of The Best Comeback Ever' Kia. Last 25 Minutes Mein Uruguay Nay 2 Goals Kiay. Jin Mein Say Alcides Ghiggia Ka 79th Minute Mein Kia Gaya Goal Decider Sabit Hua.

Ab Stadium Mein Maut Ki Khamoshi Thi. Ye Shikast Brazil Kay Liay Kisi Tragedy Say Kam Nahi Thi. Kehtay Hain 2 Tamashaion Nay Stadium Mein Hi Suicide Karli Thi, Aur Maidan Say Bahar To Dozens Nay.

Brazil Mein Aaj Bhi Is Match Ko Maracanaço Kehtay Hain Yani ‘The Blow Of Maracanã (Matlab: Maracanã Ka Sadma).


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Karma Is ***** -  1954

Ab Uruguay World Champion Tha Aur Usay 1954 Mein Apnay Is Title Ko Defend Karna Tha. Laikin Semi-Final Mein Is Ka Muqabla Parr Gaya Hungary Say. Jo FIFA World Cup Kay Greatest Matches Main Say Aik Bana.

Ho Sakta Hay Aaj Aap Ko Hungary Itni Barri Team Na Lagay. 1986 Kay Baad Say Aaj Tak Wo World Cup Finals Kay Liay Qualify Tak Nahi Kar Saka. Laikin 50s Mein Ye Aik Zabardast Power Thi. Unhain Kaha Jata Tha “Magical Magyars”. Hungary 28 Matches Mein Unbeaten Reh Kar World Cup Mein Aaya Tha.

Group Stage Mein South Korea Ko 9-0 Aur West Germany Ko 8-3 Say Haraya. Phir Quarter-Final Mein Brazil Jesi Powerful Team Ko 4-2 Say Shikast Di Aur Semi-Final Mein Puhanch Gaya. Jahan 13th Minute Mein Hi Lead Bhi Lay Li. Aur Second Half Shuroo Hotay Hi Is Lead Ko Double Kar Dia. Yani Hungary 2, Uruguay 0.

Laikin Uruguay Bhi World Champion Tha, Himmat Kaisa Harta? Maza Tab Aaya Jab Last 15 Minutes Mein Us Nay 2 Goals Maar Diay, Aur Match 86th Minute Mein Barabar Ho Gaya.

Ab 'Angry' Hungary Tha Aur Extra Time Tha. Jahan Hungarian Striker Sándor Kocsis Nay Kamaal Kar Dia. Unhon Nay 111th Aur 116th Minute Mein 2 Goals Kar Kay Uruguay Ki Campaign Ka Hi Khatma Kardia.

Afsos Is Baat Ka Hay Ke Final Mein First 10 Minutes Mein 2 Goals Ki Lead Lay Kar Bhi Hungary World Champion Nahi Ban Saka. Jis West Germany Ko Us Nay Group Stage Mein 8-3 Say Maara Tha, Wo Final Jeet Gaya. Isi Liay Us Match Ko ‘Miracle Of Bern’ Ya 'Battle Of Bern' Kehtay Hain. 


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Wingless Wonders - 1966

Cricket Ki Tarah Football Bhi England Ki Invention Hay. Laikin Jis Tarah Cricket Mein Wo Aaj Tak Sirf Aik World Cup Jeet Saka Hay, Football Mein Bhi Aisa Hi Hay. 1966 Wo Saal Tha Jis Mein England Nay FIFA World Cup Ki Mezbani Ki Thi, Aur Pehli Aur Akhri Martaba World Champion Bhi Bana Tha. FIFA World Cup Kay Greatest Matches Mein Say Aik Main.

Yahan Final Hua Tha England Aur West Germany Main. Full Time Mein Match 2-2 Say Barabar Tha. Laikin Extra Time Main England Nay 2 Goals Kar Diay Aur World Champion Ban Gaya.

Ye Match Geoff Hurst Ki Hattrick Ki Waja Say Bhi Yaad Rakha Jata Hay Jo Aaj Tak Kisi World Cup Final Mein Ki Gai Only Hattrick Hay. Geoff Nay Apnay 2 Goals Extra Time Mein Kiay Thay. Jis Say Un Ki Significance Ka Andaza Lagaya Ja Sakta Hay. England Ki Is Team Ko “Wingless Wonders” Kaha Gaya. 

Waisay Wembley Mein Is Say Barra Jashan Shayad Hi Kabhi Manaya Gaya Ho.


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Game Of The Century, 1970

Next World Cup 1970 Mein Mexico Mein Khela Gaya Tha. Capital Mexico City Ki Sakht Garmi Main Italy Aur Germany Ka Semi-Final Mein Aik Garma Garam Muqabla Hua. Wo Match Jisay ‘Game Of The Century’ Kehtay Hain. Aisah Attacking Play Shayad Hi Kabhi History Mein Dekha Gaya Ho.

Italy Nay 8th Minute Mein Lead Li Aur Us Kay Baad Last Minute Tak Koi Doosra Goal Nahi Hua. 90th Minute Mein Kay Karl-Heinz Schnellinger Kay Equalizer Nay Match Ko Zinda Kar Dia. Phir Extra Time Mein Wo Dekhnay Ko Mila, Jo Shayad Kabhi Na Milay. Yahan Donon Teams Nay 5 Goals Kiay, Jo Aik World Record Hay.

Italy 111wain Minute Mein Gianni Rivera Kay Goal Ki Madad Say 4-3 Say Jeet Gaya. Aik Aisa Muqabla Jisay Aaj Bhi FIFA World Cup Kay Greatest Matches Mein Say Aik Samjha Jata Hay.


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Hand Of God – 1986

1982 Mein Argentina Aur United Kingdom Mein Falkland Islands Par Aik Jang Hui Thi. Argentina Aik Superpower Kay Samnya Tikk Nahi Saka Aur Ye Jang Buri Tarah Haar Gaya. Aisi Shikast Jo Aaj Bhi Mulk Ki Psyche Aur Economy Par Asar Rakhti Hay. Laikin 1986 Mein To Is Haar Ka Zakhm Bilkul Taza Tha, Aur 22th June 1986 Ko Estadio Azteca, Mexico City Mein Donon Teams Ka Aamna Samna Hua. FIFA World Cup Kay Greatest Matches Mein Say Aik Mein. Jahan First Half 0-0 Say Barabar Raha.

Laikin Second Half Kay Start Mein Hi History Ka Sab Say Controversial Goal Ho Gaya. Ye 51st Minute Tha Jis Mein Argentinean Captain Diego Maradona Nay Aik Goal Kia, Apnay Haath Say. English Players Kay Protest Ka Koi Faida Nahi Hua Kyunke Referee Faisla Kar Chukay Thay.

Argentina Lead Lay Gaya Aur England Panic Ho Gaya. Phir Sirf 4 Minute Baad Maradona Nay Wo Goal Kia, Jisay Aaj ‘Goal Of The Century’ Kehtay Hain. The Greatest Individual Goal Of Football History. Maradona Nay Ball Apnay Half Say Li Aur Phir 10 Second Mein 60 Yard Ka Faasla Tay Kartay Huay, 4 English Players Ko Beat Kar Kay Wo Shahkaar Goal Kia, Jo Aaj Bhi Yaad Rakha Jata Hay.


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Falklands War II - 1998

Is Match Kay Baad World Cup Mein Argentina Aur England Ka Pehla Muqabla 1998 Mein Hua. Isay Bhi FIFA World Cup Kay Greatest Matches Mein Say Aik Kaha Jata Hay.

Match Ka Start Hi Khatarnaak Tha. First 10 Minutes Mein Hi Donon Teams Penalty Par Score Kar Chuki Theen. 16th Minute Mein England Ko Michael Owen Kay Goal Say Lead Mili, Jisay First Half Kay Last Moments Mein Argentina Nay Barabar Kar Dia. 2-2 Kay Sath 2nd Half Shuroo Hua Jis Mein Buhuat Aggressive Khel Khela Gaya. Sab Say Pehlay To David Beckham Red Card Dikha Kar Bahar Kiay Gaey, Laikin England Nay Himmat Nahi Haari. Match Extra Time Mein Gaya Aur Wahan Bhi Koi Decisive Goal Nahi Kar Saka.

Aakhir Penalty Shootout Mein Kamaal Ho Gaya, Argentinian Goalkeeper Carlos Roa Nay 2 Goals Rok Kar Argentina Ko Jitwa Dia.


FIFA World Cup Kay Greatest Matches

Hand Of God II? – 2010

Ab Aatay Hain 2010 FIFA World Cup Mein Uruguay Vs Ghana Quarter-Final Ki Taraf, Jo FIFA World Cup Kay Greatest Matches Main Say Aik To Tha Hi, Laikin Sab Say Controversial Match Bhi Kaha Jaey To Ghalat Nahi Hoga.

Johannesburg, South Africa Mein Honay Wala Ye Match Fulltime Mein 1-1 Say Barabar Raha. Laikin Extra Time Mein Ghana Say Aik Yaqeeni Goal Chheen Lia Gaya. Uruguayan Player Luis Suarez Nay Jab Dekha Kay Ab To Goal Hua Hi Hua, To Usay Apnay Hathon Say Rok Lia.

Is Khuli Cheating Par Suarez Ko Red Card To Mila Hi, Laikin Ghana Kay Sath Insaf Nahi Kia Gaya. Usay Penalty Di Gai, Jis Par Asamoah Gyan Goal Nahi Kar Saka. Match 1-1 Say Barabar Ho Gaya Aur Penalty Shootouts Par Chala Gaya, Jahan Uruguay 4-2 Say Jeet Gaya.

Yun Ghana Kisi FIFA World Cup Kay Semi-Final Tak Puhanchnay Wala Pehla African Mulk Nahi Ban Saka. Ye Pehla World Cup Tha Jo Africa Mein Hua Tha, Aur Ghana Last African Team Thi Jo Tournament Say Bahar Hui. Bohoot Na-Insafi Hay Bhayya!

شیئر

جواب لکھیں