Football World Cup Aa Gaya. Pakistan Hamesha Ki Tarah Muqablay Mein To Nahi, Hay Bhi. Kyunke Taqreeban Hamesha Ki Tarah FIFA World Cup 2022 Ball Zaroor Hamari Hai.

World Cup Ke Sub Matches Mein Istemaal Honay Wali Makhsoos Football ‘Al Rihla’ Sialkot Ki Aik Factory Mein Banai Gai Hai. Urdu Mein ‘Al Rihla’ Ka Matlab Hai 'Safar'. Is Ball Ka Design Qatar Ki Munfarid ‘Dhow’ Kashtiyon Ke Badban Aur Mulk Kay Qaumi Parcham Se Mutasir Hokar Banaya Gaya Hai.

FIFA World Cup 2022 Ball 'Al Rihla' Tayyar Karne Wali Company Adidas Ka Daawa Hai Ke Maidan Mein Khel Ke Douran ‘Al Rihla’ Ki Accuracy 100% Hogi. Aur Khilari Apni Har Move Ke Sath ‘Al Rihla’ Par Mukammal Bharosa Kar Saktay Hain. Is Ball Mein Istemaal Honay Walay Material Ka Kuchh Hissa Recycled Hai, Yani Ye Mahol Dost Ball Hogi.

Is Mein 70% Polyurethane, 20% Polyester, 10% Viscose Cover, Rubber Ka Bladder, Aur FIFA World Cup Ka Printed Logo Shamil Hai.

‘Al Rihla’ Features Aur Qeemat

‘Al Rihla’ Design Karne Wali Company Adidas Ka Daawa Hai Ke Ye Football History Ki Sab Se Tez Gaind Hai. Yeh Ball Hawa Mein Rehtay Hue Apna Balance Jis Tarah Barqarar Rakhe Gi, Aisa Kabhi Dekhnay Mein Nahi Aaya Hoga.

Is Gaind Ki Sab Se Ahem Quality Hai Is Ki Speedshell Technology. Speedshell Ka Maqsad Gaind Ki Parwaaz Aur Gardish Ki Raftar Ko Ghair Mamooli Tor Par Barhana Hai. Taakay Hawa Mein Behtareen Aerodynamics Haasil Hosakain Aur Uskay Zariye Khilari Aik Behtareen Shot Laganay Mein Kamyaab Ho.

Raftar Bharne Do
Al Rihla, FIFA World Cup Ki Official Ball (Photo: Qatar Stars League)

‘Al Rihla’ Football 20 Panels Ko Jorr Kar Banai Gayi Hai. Aerodynamics Ko Behtar Bananay Ke Liye In Panels Ko Aapas Mein Achhi Tarah Se Jorr Kar Pressure Molding Ki Gayi Hai. Jis Se Haath Mein Lainay Par Yeh Ball Baghair Kisi Jorr Ke Hamwar Lagi Hai.

‘Al Rihla’ World Cup History Ki Pehli Gaind Hai Jisay Sirf Water Based Ink Istemaal Karte Hue Banaya Gaya Hai. Light Magar Khoobsurat Rangon Se Design Ki Gai Graphics Football Ki Barhti Raftar KO Bayan Karti Hay.

'Al Rihla' Ki Retail Qeemat 120 Pound Yani Pakistan Rupees Mein 30,000 Rupay Ke Qareeb Hai. Har Ball Ki Farokht Ka 1% Hissa Common Goal Charity Ko Dia Ja Raha Hai.

FIFA World Cup, Kab? Kaisay?

FIFA World Cup Ke Matches 21 November Se 18 December Tak Khelay Jarahay Hain. In Dinon Qatar Mein Temperature Taqreeban 25 Degree Centigrade Tak Rehta Hai, Lekin Yeh Bhi Ahem Baat Hai Ke Agar Yeh Muqablay Mamool Ke Mutabiq June-July Mein Hotay To Ye 40 Degree Centigrade Se Ziyada Hota. Balkay Mumkina Tor Par 50 Degree Centigrade Tak Bhi Ja Sakta Tha. Yani Khelna Impossible Hota.

Shuru Shuru Mein Yeh Plan Tha Ke Shadeed Garmi Se Nimatnay Ke Liye Tamam Ke Tamam Venue Stadiums Ko Air Conditioned Kardiya Jaye. Lekin Baad Yeh Idea Tabdeel Kardiya Gaya.

Waisay Yeh Pehli Martaba Hai Ke Koi Arab Mulk Is Tournament Ki Mezbani Kar Raha Hai. Halanke Qatar Par Yeh Ilzaam Bhi Laga Ke Is Ne Tournament Ka Host Bannay Kay Liay FIFA Officials Ki Himayat 'Kharidi' Thi. Laikin Is Ilzaam Ki Tehqeeqat Main Qatar Clear Ho Gaya.

Phir Qatar Ne Event Ke Liye Bharpoor Tayyariyan Shuru Kar Dein. Yahan Tak Ke Aik Naya Shehar Aur Nai Metro Service Bhi Bana Dali. Mahireen Ke Mutabiq Is Event Se Seen Se Qatar Ki Economy Main 17 Billion Dollars Ka Izafa Honay Ki Umeed Hai.

Champion Kon Hoga?

Raftar Bharne Do
18 December Ko Ye Trophy Kaun Uthaey Ga? (Photo: FIFA.com)

Pakistan Mein Aam Tor Par Brazil Ki Team Ko Sab Se Zyada Pasand Kya Jata Hai. Lekin Muslim Mulkon Qatar, Saudi Arabia, Tunisia, Iran Aur Morocco Ki Bhi Himayat Hogi.

Is Baar Sab Se Ahem Baat Yeh Hai Ke Sabiq World, Aur Mojooda European, Champion Italy Qualifying Round Mein Hi Nakaam Raha. Yani Is Baar Italy Ke Fans Shayad Kisi Aur Team Ko Support Karte Nazar Aen.

Finals Ke Liye 32 Teams Ko 4,4 Ke 8 Groups Mein Taqseem Kya. Aik Hi Continent Ki Teams Ko Alag Alag Groups Mein Rakha Gaya Hai, Taham Aik Group Mein Zyada Se Zyada 2 European Teams Ho Sakti Hain.

Raftar Bharne Do
(Photo: FIFA.com)

Mahireen Ke Mutabiq Teams Aur Khilarion Ki Infiradi Karkardagi Ka Jaiza Len To Brazil, England Aur France Tournament Jeetnay Ke Liye Favourite Hain. Lekin Cristiano Ronaldo Ki Team Portugal Aur Argentina Bhi Upset Karne Ki Mukammal Ahliat Aur Salahiyat Rakhti Hain.

Har Group Mein Shamil 4 Teams Aapas Mein 1,1 Match Khelain Gi. 9 December Ko Quarter-Final Stage Ka Aaghaz Hoga. Jabkay 13 Aur 14 December Ko Dono Semi-Finals Khelay Jayen Ge. World Cup Ka Final 18 December Ko Lusail Stadium Mein Khela Jaye Ga.

Qatar Jarahay Hain? In Baton Ka Khayaal Rakhen!

Qatar Aik Conservative Muslim Mulk Hai. Is Liay Fans Se Kaha Gaya Hai Ke Woh Islami Riwayaat Ko Samnay Rakhtay Hue Mohtaat Rawayya Ikhtiyar Karen. Mulk Bhar Mein Khulay Aam Aur Awaami Maqamat Par Sharab-Noshi Ki Pabandi To Hai Laikin Sirf Luxury Hotels Aur Soccer City Mein Ke "Peenay" Ki Azadi Hogi.

Cigrette-Noshi Ki Qatar Mein Ijazat Hai. Magar Public Places Par Nahi. In Mein Museums, Sports Clubs, Shopping Malls Aur Restaurants Shamil Hain. Khilaaf Warzi Par Jurmana Kia Ja Sakta Hai.

Qatar Mein Electronic Cigarettes Par 2014 Se Pabandi Laga Di Gai Thi. E-Cigrette Ki Import, Kharidari Aur Istemaal Sab Mamnoo Hain. Is Ki Khilaaf Warzi Karne Walay Ko 3 Maheenay Qaid Aur Taqreeban 2,750 US Dollars Jurmana Ho Sakta Hai.

Fans Kay Liay Facilities

Qatar Mein Jummey Ko Chhutti Hoti Hai Aur Itwaar Ko Kaam Ka Din Hota Hai. Jummay Ki Subah Tamam Dukanain Band Rehti Hain, Taham Un Mein Se Aksar Restuarant Aur Dukanen Jummey Ki Namaz Ke Baad Khul Jati Hain.

Koi Bhi Shakhs Jo World Cup Dekhnay Qatar Aa Raha Hai. Aur 1st November Ke Baad Aana Chahta Hai, To Usay Event Ke Liye Khusoosi Tor Par Jari Kiye Gaye Ijazat Naame Yani 'Hayya Card' Ke Liye Apply Kara Parre Ga.

Yeh Card Har Us Shakhs Ke Liye He Jo World Cup Dekhnay Aa Raha Hai. Yeh Transferable Nahi Ho Ga. Is Card Ke Rakhnay Walay Har Fard Ko Transport Ki Muft Sahoolat Ke Ilawa Metro Bus Mein Bhi Muft Safar Milay Ga.

Hoteling Ka Mumkina Kharcha

Qatar Mein Honay Walay 2022 Ke Football World Cup Kay Lakhoon Ticket ‏Minton Mein Farokht Ho Chuke Hain. Qatar Ko Umeed Hai Ke Qareeban 12 Laakh Fans World Cup Dekhnay Ke Liye Doosray Mulkon Se Ayen Ge. Yeh Tadaad Mulk Ki Kul Abadi Ka Taqreeban Adhi Hai.

Doha Shehar Mein Mehangay Aur 5 Star Hotels Ke Kamray Aik Raat Ke Liye 80 Se 100 Dollar Tak Mein Dastyab Hain. Qatar Ne Hotels Ke Ilawa Mukhtalif Apps Se Sharing Spaces Bhi Paish Ki Hain. Villas Aur Apartments Mein Fans Kay Liay 65,000 Kamray Bhi Hain. Aur Qatar Pounchanay Walay Maheman Apni Marzi Ke Mutabiq Jahan Chahain Inhain Book Kar Saktay Hain. Waisay Doha Port Par 2 Cruise Ships Bhi Hain, Jin Mein Approx. 4,000 Kamray Bhi Hon Gay.

Is Ke Ilawa Sehraa Mein Aik Tent City Bhi Banaya Gaya Hai, Jis Main 1,000 Se Zyada Khaimay Lagaye Jarahay Hain. Qatari Capital Doha Ko Muscat, Riyadh, Jeddah Aur Kuwait City Samait Ilaqay Ke Mukhtalif Shehron Se Jorrnay Ke Liye Air Shuttle Service Bhi Shuru Ki Gayi Hai.

Stadiums

Raftar Bharne Do
(Photo: Qatar News Agency)

Tournament Ke Liye Kul 8 Stadiums Tayyar Kiye Gaye Hain. Is Tournament Ke 8 Mein Se 7 Stadiums Pehlay Say Tayyar They Jabkay Aik Ko From Scratch Banata Gaya Hai.

Yeh Tamam Stadium Aik Doosray Se Taqreeban Aik Ghantay Ki Doori Aur 43 Miles Ke Faaslay Par Hain.

  • Lusail Stadium (Capacity: 80,000)
  • Al-Bayt Stadium (Capacity: 60,000)
  • Stadium 974 (Capacity: 40,000)
  • Khalifa International Stadium (Capacity: 45,416)
  • Education City Stadium (Capacity: 40,000)
  • Al THumama Stadium (Capacity: 40,000)
  • Al Janoub Stadium (Capacity: 40,000)
  • Ahmed Bin Ali Stadium (Capacity: 40,000)

FIFA World Cup 2022 Ka Final 18 December Ko Lusail Stadium Mein Khela Jaye Ga.

Raftar Bharne Do
Lusail Stadium, Jahan World Cup Ka Final Bhi Hoga (Photo: Getty Images)
شیئر

جواب لکھیں