Mark Zuckerberg Elon Musk Ke Naqsh-e-Qadam Per

Kehte Hain Khrbozay Ko Dekh Kar Kharboza Rang Pakarta Hai. Aisa Hi Aaj Kal Duniya Ke Ameer Tareen Afraad Mein Bhi Ho Raha Hai. Elon Musk Nay Twitter Ka Malik Bantay Hi Sab Se Pehlay Apne Mulazmeen Par Talwar Chalayi Aur Hazaron Logon Ko Naukari Se Nikaal Diya. Ab Khabar Aayi Hai Ke Meta Ke Malik Mark Zuckerberg Ne Bhi Hazaron Logon Ko Be Rozgaar Karne Ka Faisla Kar Liya Hai.

Wall Street Journal Ki Report Ke Mutabiq Meta Is Haftay Baray Paimanay Par Mulazmeen Ko Farigh Kar Sakti Hai. Facebook, Whatsapp Aur Instagram Ki Parent Company Main Chaanti Ka Amal 9 November Se Shuru Honay Ka Imkaan Hai.

Report Ke Mutabiq Duniya Bhar Mein 87 Hazaar Se Ziyada Afraad Meta Ke Liye Kaam Kar Rahay Hain. Company Ki Tareekh Mein Pehli Baar Itnay Ziyada Mulazmeen Ko Nikala Jaye Ga.

Meta Ke Tarjuman Ka Muaqif Denay Se Inkar

Udhar Meta Ke Tarjuman Ne WSJ Ki Report Par Baat Karne Se Inkaar Kar Diya. Unhon Nay Company Ke CEO Mark Zuckerberg Ke Pichlay Mahinay Ke Aik Bayan Ka Hawala Diya. Mark Zuckerberg Ne Kaha Tha Ke Aglay Saal Ziyada Taraqqi Karne Walay Chand Shobo Mein Sarmaya Kaari Ki Jaye Gi. Kuch Teamon Ko Barhaya Jaye Ga Jab Ke Ziyada Tar Teamon Ka Size Kam Kya Jaye Ga.

American Media Ke Mutabiq Meta Ki Market Value Aik Hazaar Arab Dollar Se Kam Hokar 270 Arab Dollar Tak Reh Gayi Hai. Meta Ko Guzishta Kayi Mahinay Se Maali Masail Ka Saamna Hai. Company Ikhrajaat Mein Kami Ki Koshish Kar Rahi Hai. Company ‘Metaverse’ Technology Par Arbon Dollar Kharch Kar Chuki Hai. Lekin Abhi Tak Is Par Munafa Haasil Karne Ka Aaghaz Nahi Hua Hai. Dusri Taraf America Samait Duniya Bhar Main Econmic Slow Down Aur Mehngai Ki Wajah Se Bhi Company Ke Revenue Mein Kami Hui Hai.

شیئر

جواب لکھیں