Jub Say Elon Musk Aaey Hain, Twitter Employees Ki To Neendain Haram Ho Chuki Hain. Unhain Khatra Hay Kay Company Ki Overhauling Main Un Ki Nokri Na Chali Jaey.

‘Naey Malik’ Nay Deadlines Day Di Hain, Jinhain Poora Karnay Kay Liay Staff Say Din Main 12 Ghantay Aur Haftay Main 7 Din Kaam Expect Kiye Ja Raha Hay. Ye Aik Week Main 84 Hours Bantay Hain.

Musk Nay Twitter 44 Billion USD Main Kharida Hay. Ab Sub Ko Khatra Hay Ke Company Say Buhat Say Log Niklain Gay. Waisay Kuchh Barray Nikaal Bhi Diay Gaey Hain.

Ab Company Employees Ko New Tasks Milay Hain. Employees Samajh Rahay Hain Ke Yeh Asal Main Un Ka Test Hay. Jo Paas Karay Ga, Wo Rahay Ga, Baqi Sub Ghar Jaen Gay.

Kuch Engineers Ko Coding Projects Diay Gaey Hain. Sath Hi Twitter Verification System Main Changes Lanay Ka Target Bhi Mila Hay.

Is Project Par Kaam Karnay Walay Tou Kehtay Hain Hum Say Umeed Ki Ja Rahi Hay Ke Hum 24/7 Kaam Karain. Kisi Ko Ye Bhi Nahi Pata Kay Overtime Bhi Mila Ga Ya Nahi, Ya Assignment Complete Karnay Par Koi Job Security Bhi Hogi? Task Poora Na Karnay Par Twitter Main Career Khatam Honay Ka Khatra To Hay Hi.

Phir Managers Ko Performance Review Ka Kaha Gaya Hay. Woh Musk Ko List Dain Gay Kay Kin Employees Ko Nikalna Hay Aur Kis Ko Rakhna Hay.

Ye Kaam Karnay Walay Managers Par Khud Bhi Barra Pressure Hay. New York Times Kay Mutabiq Kai Managers To Weekend Par Ghar Bhi Nahi Gaey. Balke Soey Bhi Office Main Hi Thay.

Washington Post Kehta Hay Musk Ki Team Ka Mansooba Hay First Step Main Twitter Ka One-Fourth Staff Farigh Kardia Jaey.

Laikin Twitter Officially Tou Ab Tak Khamosh Hay. Kia Hoga? Kab Hoga? Kuchh Nahi Pata.

شیئر

جواب لکھیں