India Ki State Gujarat Ka Aik Gaun Hay Modhera, Jo Famous Hay Apnay Sun Temple Kay Liay. 1,000 Saal Puranay Is Temple Kay Baad Is Ilaqay Ko Shohrat Di Hay Solar Power Nay. Modhera Mulk Ka Pehla Solar-Powered Village Bun Gaya Hay.

9.7 Million USD Say Ban’nay Walay Solar Project Kay Liay Paisa Indian Government Aur Gujarat State Nay Mil Kar Diyae. Jis Kay Baad Ye India Ka Pehla Village Hay Jo Totally Solar Power Par Chal Raha Hay. Yoon Local Abadi Ko Bijli Kay Bills Main 100 Percent Tak Bachat Mil Rahi Hay. Yani Yeh Hi Nahi, Balkay Woh Izafi Bijli Baich Kar Kama Bhi Saktay Hain.

Modhera Kay Rehnay Walay Buhat Khush Hain. Kehtay Hain Kay Solar Say Pehlay Woh Bijli Kay Bhari Bills Pay Kartay Thay. Kabhi Kabhi 2,000 Rupees Per Month Bhi. Laikin Solar Project Lagnay Kay Baad Un Ka Bill Zero Ho Gaya Hay. Ab Refrigerator Say Lay Kar Washing Machine Tak, Har Ghar Main Sub Kuchh Solar Par Chal Raha Hay.

Modhera Ka Approx. 30 Acres Area Par Is Waqt Solar System Laga Hua Hay. Is Kay Ilawa Har Ghar Main Rooftop Solar Panels Bhi Hain. Ye Mil Kar Itni Bijli Paida Kar Rahay Hain, Jitni Is Gaun Ki Zarurat Bhi Nahi. Yahi Waja Hay Ke Bijli Kay Bill Zero Karnay Kay Sath Sath Ye Project Income Source Bhi Ban Raha Hay. Is Ki Izafi Bijli Electric Grid Ko Bechi Ja Rahi Hay.

Is Project Kay 3 Parts Hain. Aik Ground Par Mojood 6-Megawatt Ka Project. Dosra 15-Megawatt Ki Battery Storage Aur Teesra 1-Kilowatt Kay Rooftop Panels, Jo 1,300 Gharon Par Lagaey Gaey Hain.

Modhera Sun Temple Ki Apni Bijli Bhi Solar Panels Say Aati Hay.

شیئر

جواب لکھیں