Aik Taraf Pakistan Hay Ke Jahan Kal Aik Buhat Barra Power Breakdown Hua, Aur Doosri Taraf Europe Ka Pakistan Yani Greece Hay Jis Nay Pehli Baar Apni Sari Power Requirements Renewable Energy Say Puri Ki Hain.

Independent Power Transmission Operator (IPTO) Kay Mutabiq Last Friday Ko Mulk Main Bijli Ki Taman Demand Environment Friendly Sources Say Puri Hui. Aur Ye Us Waqt Hua Jab Greece Main Bijli Ki Demand Peak 3,106 Megawatt Hours (MWh) Thi.

Greece Main Electrical Transmission System Chalanay Wala Idara Kehta Hay Ke Is Kamyabi Nay Aglay Salon Main Green Energy Kay Liay Naey Darwazay Khol Diay Hain.

Greece Apni Bijli Paida Karnay Kay Liay Different Sources Par Depend Karta Hay. August Main Natural Gas Aur Wind Power Aur Solar Jaisay Renewable Sources Nay Sub Say Ziada Bijli Paida Ki Thi. Last Decade Main Mulk Nay Fossil Fuels Par Apni Dependence Ahista Ahista Kam Ki Hay Aur Large Hydropower Plants Kay Sath Sath Doosray Renewable Sources Main Izafa Kia Hay.

Kaash Pakistan Main Bhi Is Par Ghour Kia Jaey Aur Oil And Gas Jaisay Mehngay Sources Par Dependence Aur Climate Change Kay Effects Main Bhi Kami Aaey.

شیئر

جواب لکھیں