Aajkal Dry Shampoos Ka Trend Buhat Chal Raha Hay. Agar Aap Bhi Koi Dry Shampoo Istamal Kar Rahay Hain To Zara Rukan! Aik Martaba Phir Soch Lain, Dekh Lain, Samajh Lain!.

Kyunke Consumer Goods Bananay Wali Dunya Ki Barri Companies Main Say Aik Unilever Apnay Dry Shampoos Market Say Utha Chuki Hay.

Laikin Kyun? Kyunke Un Main Benzene Kuch Zyada Hi Hay. Aik Carcinogen Chemical Hay Yani Is Say Aap Ko Cancer Ho Sakta Hay. Ye Hum Nahi US Food And Drug Administration (FDA) Kehta Hay.

Benzene, Aik Carcinogen

Benzene Aisa Chemical Hay Jo Insanon Main Cancer Ki Waja Ban Sakta Hay. Center For Disease Control And Prevention Kay Mutabiq Lambay Arsay Tak Benzene Ka Exposure Leukemia Yani Blood Cancer Aur Blood Banany Walay Organs Kay Cancer Ki Waja Ban Sakta Hay.

Ye Chemical Aerosols Kay Ilawa Detergents, Paints, Furniture Wax Aur Glues Main Bhi Hota Hay. Aur Ye Skin, Monh Ya Saans Kay Zariay Jism Main Dakhil Ho Sakta Hay.

Personal Care Products Dekhain Tou Benzene Sirf Dry Shampoos Main Nahi Hota. Sun Screens, Aerosol Deodorants Aur Bachon Kay Liay Banaey Gaey Hand Sanitizers Main Bhi Iss Ki Miqdaar Zyada Ho Sakti Hay.

Aik Independent Testing Laboratory Valisure Ka Kehna Hay Kay Iss Waqt Mukhtalif Companies Kay 70 Percent Dry Shampoos Main Carcinogens Hain. Kuch Shampoos Main To FDA Ki Limit Say 170 Times Zyada Benzene Mila Hay.

Dove, Tresemmé, Sub Wapis

Unilever Nay Jo Products Market Say Wapis Li Hain Un Main Dove, Nexxus, Suave, TIGI aur Tresemmé Jaisay Famous Brand Shamil Hain.

Ye Products America Main To Aam Hain Laikin Pakistan Main Bhi Import Hoti Hain Aur Barray Super Stores Par Available Hain. Company Nay Retailers Say Kaha Hay Kay Woh Ye Products Apnay Shelves Say Utha Lain.

شیئر

جواب لکھیں