Elon Musk Nay Twitter Ka Charge Sambhaltay Hi Sakht Faisalay Kernay Shuru Kerdiye Hain. Kabhi Twitter Verification Fee Tou Kabhi Employees Ko Nikalnay Per Unhain Critisize Kiya Jaraha Hay. Musk Ki Strict Policies Nay Social Media Per Freedom Of Speech Per Question Mark Laga Diya Hay.

Elon Musk Nay Pitchlay Month Twitter Ki Kamaan Sambhali. Imkaan Tou Yeh Tha Kay Social Media Ka Yeh Platform Mazeed Inqilabi Tabdeliyan Dekhay Ga Mager Kuch Aisay Faisalay Samnay Aei Jinhonay Users Aur Employees Ko Hairaan Kerdiya.

Twitter Say Employees Ki Tadaad Kam Ki Gae Aur Verification Account Ki Fees Bhi Laga Di Gae.

Elon Musk Nay Claim Kiya Kay Unkay Yeh Decision Iss Platform Ko Information Ka Accurate Source Bananay Kay Liye Hain.

Verification Process Say Mutaliq Unka Kehna Tha Kay Iss Say Journalism Ko Democratize Kiya Jasakay Ga Aur Awam Ki Awaz Ko Strong Banaya Jaei Ga.

Unhonay Ye Bhi Kaha Kay Jis Bhi Twitter Account Say Kisi Ka Mazaq Uraya Jaei, Aur Uss Kai Bio (Profile Information) Main “Parody” Account Likha Hoa Na Ho, Aisay Accounts Ko Band Kerdia Jaei Ga.

Aisay Step Say Pehlay Twitter Koi Warning Bhi Issue Nahe Kerai Ga,Albata Pehlay User Ko Warn Kiya Jata Tha.

Halaat Nay Palta Khaya Aur Mamla Naya Rukh Ikhtiyar Ker Gaya. Twitter Nay Elon Musk Ka Mazak Uranay Aur Un Per Tanqeed Kernay Walay Accounts Band Kerna Shuru Kerdiye.

Inn Accounts Kay Followers Ki Taadaad Lakhon Main Hay Aur Inn Per Clearly “Parody Account” Bhi Likha Hoa Hay.

Aisay Accounts Say Tweet Kay Zariye Elon Musk Per Tanz Kiya Gaya Aur Phir Woh Hi Tweet Hazaroon Baar Re-Tweet Bhi Kiya Gaya.

Twitter Per Satire Aur Kisi Dosray Ka Mazak Kay Liye Impersonating Pehlay Bhi Hota Raha Hay. Users Per Iss Hawalay Say Koi Pabandi Nahi Hoti Thei.

Iss Baar Surat e Haal Badal Gaei Hay Aur Aisa Kernay Walon Ko Twitter Say Permanent Ban Kiya Jaraha Hay.

شیئر

جواب لکھیں