Medical Science Main Honay Wali Innovations Nay Insani Abadi Mein Last 100 Salon Mein Buhat Tezi Say Izafa Kia Hay. Ab to Dunya Ki Abadi (World Population) 8 Arab (8 Billion) Tak Pauhanchnay Wali Hay, Wo Bhi Aglay Hi Haftay.

United Nations Population Division Kay Mutabiq Dunya Ki Population Main Ye Izafa Hota Rahay Ga. Year 2050 Tak Average Age Bhi Barh Ker 77.2 Years Tak Pauhanch Jaey Gi.

Ahem Baat Yeh Kay Year 1950 Tak Dunya Ki Population 2.5 Billion Thi. 72 Years Main Iss Main 3 Guna Izafa Hoa.

United Nations Ki Taraf Say Yeh Bhi Claim Kia Gaya Kay 2030 Tak Population 8.5 Billion Hojaey Gi. Phir 2050 Tak 9.7 Billion, Aur 2080 Tak 10.4 Billion Hogi.

Report Main Yeh Bhi Kaha Gaya Kay 1960 Kay Shuru Main Population Kay Growth Rate Main Peak Dekha Gaya Taham 2020 Tak Yeh Surprisingly 1 Percent Kam Hogaya.

Year 2050 Tak Growth Rate 0.5 Percent Kam Hojai Ga. Iss Kami Ki Waja Fertility Rate Kam Hona Qarar Diya Gaya Hay.

United Nations Nay Mazeed Bataya Kay 2050 Tak Dunya Kay 8 Mumalik Say Sab Say Ziada Population Ka Hisa Samnay Aei Ga.

In Mumalik Main,Congo,Egypt,Ethopia,India,Nigeria,Pakistan,Phillpines Aur Tanzania Shamil Hain.

Sab Sai Ziada Population Walay Mumalik Main China Ka Pehla Number Hay. Yahan Ki Population 1.3 Billion Hay.

2050 Tak China Ki Population Main Kami Aei Gi Aur Yeh 1.3 Billion Hojai Gi.

UN Report Main Claim Kiya Gaya Hay Kay Current Century Kay Akheer Tak China Ki Population 800 Million Tak Reduce Hosakti Hay.

India Ki Population Year 2023 Main China Say Ziada Hojanay Ka Imkan Hay. 2050 Tak India Ki Population 1.7 Billion Tak Pouhanch Jai Gi.

Year 2050 Main America Dunya Main Sab Say Ziada Population Wala Teesra Bara Mulk Hoga.

World Population Barhnay Kay Asraat

Rockefeller University's Laboratory of Populations Kay Professor Dr. Joel Cohen Nay Bataya Kay Kuch Loogn Kay Liye Yeh Population Ziada Hogi. Taham Meray Liye Aisa Nahi Hay.

Unhonay Kaha Kay Hamari Choices Yeh Hoti Hain Kay Insan Kitnay Biological Resources Istemal Kerta Hay. Inn Main Junglat Aur Zameen Ka Istemal Shamil Hai. Eham Yeh Hay Kay Yeh Bhi Dekha Jai Kai Yeh Resources Dobara Paida Kiye Jarahay Hain Ya Nahi?

Dr. Joel Nay Insanon Ko Zameen Per Bhoj Qarar Nahi Diya. Unhonay Kaha Kay Insanon Ko Behtar Choices Dena Eham Hoga.

Fossile Fuels Ka Ziada Istemal Ziada Carbon Dioxide Kay Ikhraj Ka Sabab Banta Hay. Yeh Global Warming Ka Zimadar Hota Hay.

UN Ki Climate Report Main Bataya Gaya Hay Kay Greenhouse Gases Main Izafay Ki Asal Waja Population Main Izafa Hay.

شیئر

جواب لکھیں