Jahan Internationally Gold Prices Mein Kami Dekhi Jarahi Hai, Wohin Pakistan Mein Gold Prices Buhat Izafa Hogaya Hai.

Aaj 8th November 2022 Ko Gold Price Per Tola PKR 152,000 Par Puhanch Gai Hay. Last Time Highest Price Issi Saal Dekhi Gai Thi, Jab 28th July Ko Per Tola PKR 162,500 Tha. Laikin Aglay Mahino Mein Prices Neeche Agaeen. 24 August Ko PKR 142,307 Tola Hua, Lekin Foran Bad Price Mein Tez Raftari Se Izafa Hua.

Gold Prices Mein Fluctuations Ka Reason:

Gold Prices Mein In Fluctuations/High Price Key 2 Reasons Dekhe Jarahe Hein, Pehla Reason Dollar Exchange Rate Aur Doosra Hai Inflation.

4 January 2022 Se Lekar Ab Tak PKR Dollar Ke Samne 25% Tak Gir Chukka Hai, To Jahan Local Currency Weak Hui, Wohin Pakistan Mein Gold Prices Barhgain.

Inflation Ki Waja Se Bhi Log Ab Gold Ko Kam Khareed Rahe Hein Jabke Gold Ki Supply Mein Koi Kami Nahi.

Gold Ki Prices Mein Aanay Walay Dinon Mein Mazeed Izafa Dekha Ja Sakta Hai, Agar PKR Dollar Ke Muqablay Par Tagra Nahi Hua.

شیئر

جواب لکھیں