Judicial Commission Banain, Prime Minister Ka Chief Justice Ko Khat
Arshad Sharif Qatal Case Main Aham Paish Rafat Hui Hay. Wazir-e-Azam Nay Chief Justice of Pakistan Umar Ata Bandial Ka Judicial Commission Banany Kay Liye Khat Likha Hay.
Shehbaz Sharif Nay Darkhwast Ki Hay Kay Supreme Court Kay Tamam Dastiyab Judges Par Mushtamil Judicial Commission Banaya Jaye.
Arshad Sharif Qatal Par PM Kay Sawalat
Khat Main Commission Ko Khas Tor Par 5 Sawalat Kay Jawab Dhundnay Ka kaha Gaya Hay.
Q1- Arshad Shairf Nay Aug 2022 Main Bairon-e-Mulk Janay Kay Liye Kia Tareeqa Apnaya?
Arshad Shairf Kay Bairon Mulk Janay Main Kis Nay sahulat Kari Ki?
Q2-Koi Wifaqi, Subai Idara Ya Agency Arshad Sharif Ko Milnay Wali Kisi Dhamki Say Aagah Tha?
Agar Arshad Sharif Ki Jaan Ko Khatray Ki Itlaa Thi Tou Kia Iqdamat Kiye Gaye?
Q3-Arshad Shairf UAE Say Kenya Kin Wajohat Ya Halaat Ki Waja Say Gaye?
Q4- Firing Ki Asal Haqeeqat Kia Hay, Jis Par Arshad Sharif Ki Mout hui?
Q5-Arshad Sharif Ka Qatal Ghalat Shanakhat Ka Muamla Hay Ya Kisi Mujrimana Khail Ka Nateeja Hay?
Wazir-e-Azam Nay Khat Main Likha Hay Kay Mulk Main Qanoon KI Hukmrani Kay Liye Commission Ki Tashkeel Zaruri Hay.
Wifaqi Hukumat Commission Ko Bharpoor Taawun Faraham Karay Gi.
Shehbaz Sharif Nay Likha Kay Arshad Sharif Kay Qatal Par Wafaqi Hakomat Aur Riyasti Idaron Par Shukook Paida Kiye Gaye, Awam Kay Aitmad Ki Bahali Kay Liye Commission Banna Lazmi Hay.
Ghair Janibdar Body Nay Tahqeeqat Na Keen Tou Long Term Nuqsaan Honay Ka Khadsha Hay.