Pakistan Main Aaj Kal Imran Khan Ka Teesra Long March Musalsal Kahbron Main Hay. Imran Khan Par Qatilana Hamlay Kay Baad Bhi Unhon Nay Long March Jari Rakhnay Ka Ailan Kiya Hay. Dawa Tou Un Ka Yehi Hay Kay Long March Islamabad Pohncnay Say Pehlay Hi Unhen Apni Manzil Mil Jaye Gi. Imran Khan Ka Ye Khwab Pura Hota Hay Ya Nahi Ye Tou Waqt Bataye Ga Lekin Pakistan Main Long March Ki Ail Lambi History Hay.
Mulk Ki Siyasat Main Ehtijaj, Dharnon, Jalson Aur Julooson Ki Riwayat Bohat Purani Hay. Kabhi Kisi Jamat Nay Akelay Ehtijaj Aur March Kiya Tou Kabhi Sari Opposition Nay Mil Kar Hukumat Par Dhawa Bola.
Pakistan Ka Pehla Long March
Pakistan Ka Pehla Long March Tehreek-e-Khatm-Nabuwat Ko Kaha Ja Sakata Hay. Is Tehreek Kay Silsilay Main Mulk Main Pehli Hartal Hui Aur Mukhtalif Shehron Main Muzahiray Honay Lagay. Ehtijaj Kay Dusray Marhalay Main Lahore Say Aik Bara Qafila Chala Jis Nay Us Waqt Kay Wifaqi Dar-ul-Hukumat Karachi Par Yalgahr Ki.
Puranay Akhbarat Kay Mutabiq Muzahireen Say Bachnay Kay Liye Karachi Main Wifaqi Wuzra Kay Gharon Par Topain Lagayi Gayeen. March 1953 Main Hukumat Nay Tehreek Kay Kai Rehnumaon Aur Saikron Karkunon Ko Giraftar Kar Liya. Is Kay Baad Punjab Kay Mukhtalif Shehron Khususan Lahore Main Hugamay Phoot Paray Aur Baray Paimanay Par Jani Aur Mali Nuqsan Hua. Hukumat Ko Pehlay Curfew Lagana Para Aur Baad Main Lahore Main Martial Law Nafiz Kar Diya Gaya. Siyasi Mahireen Kay Mutabiq Ye Martial Law Baad Main Pakistan Main Lagnay Walay Martial Law Ki Pehli Eent Sabit Hua Tha.
Wo March Jis Kay Baad Martial Law Lag Gaya
Pakistan Ka Dusra Long March Khan Abdul Qayyum Khan Ki Qayadat Main Nikala Gaya Tha Jo Rawalpindi Say Shuru Ho Kar Gujrat Main Khatam Hua Tha.
Tajziya Karon Kay Mutabiq Taqreeban 30 Kilometer Taweel Is March Nay Hukumat Ko Larkhara Diya Aur Isi Juloos Ko Jawaz Bana Kar General Ayub Khan Nay Mulk Main Pehla Martial Law Nafiz Kiya.
Aglay 20 Saal Tak Mulk Main Mukhtalif Chotay Baray Ehtijaj, Jalsay Juloos Tou Hotay Rahay Lekin Dar-ul-Hukumat Par Charhai Nahi Ki Gayi.
Zulfiqar Ali Bhutto Kay Khilaf Long March
1977 Main Zulfiqar Ali Bhutto Kay Daur Main Pakistan Qaumi Ittehad Nay Islamabad Tak March Ki Call Di Lekin Us Par Amal Na Ho Saka. Is Kay Ba Wajood Mulk Bhar Main Hungamay Aur Ehtijaj Hotay Rahay. Jin Main 400 Say Zyada Amwat Huin Aur Lakhon Rupay Ki Sarkari Aur Niji Imlak Ko Nuqsan Pohncha. Aakhir-e-Kar Inhin Hungaomon Ko Bunyad Bana Kar General Zia-ul-Haq Nay Mulk Main Martial Law Laga Diya.
Pakistan Main Pehli Baar 'Long March' Ki Term Ka Istemal
Pakistan Ki Siyasat Main Long March Ki Term sab Say Pehlay Benazir Bhutto Nay Mutaarif Karai. November 1992 Main Unhon Nay Nawaz Sharif Ki Hukumat Kay Khilaf Lahore Say Long March Ka Aghaz Kiya.
Nawaz Hukumat Nay Is Long March Say Nimatnay Kay Liye Sakht Intezamat Kiye, Islamabad Ko Fauj Kay Hawalay Kar Diya Gaya. Islamabad Main Benazir Kay Ghar Ka Gherao Kiya Gaya Taham Wo Kisi Na Kisi Tarah Rawalpindi Pohanch Gayeen, Hukumati Iqdamat Ki Wajah Say Ye Long March Nakam Ho Gaya.
Benazir Bhutto Ka Kamyab Long March?
Benazir Bhutto Nay Aglay Long March Ka Ailan 1993 Main Kiya. Ye March Honay Ki Naubat Hi Nahi Aayi Aur Us Say Pehlay Hi Nawaz Hukumat Ka Khatma Ho Gaya.
Qissa Kuch Yun Hay Kay Nawaz Hukumat Ko Sadar Ghulam Ishaq Khan Nay Corruption Aur Na Ehli Kay Ilzamat Par Article 58 2B Kay Tehat Bar Taraf Kar Diya Tha.
May 1993 Main Supreme Court Nay Nawaz Sharif Ki Hukumat Bahal Kardi Taham Sadar Aur Wazir-e-Azam Main Tension Barhti Gayi.
Is Kay Baad Jab July 1993 Main Benazir Bhutto Nay Long March Ka Ailan Kiya Tou Mulk Main Adm Istehkam Ka Khatra Barh Gaya. Aisay Main Army Chief General Abdul Waheed Kakar Nay Kirdar Ada Kartay Huye Nawaz Sharif Aur Ghulam Ishaq Khan Dono Ko Istefa Denay Par Aamada Kar Liya.
Qazi Hussain Ahmed Ka Islamabad Dharna
Nawaz Hukumat Kay Khatmay Kay Baad Benazir Bhutto Dobara Iqtedar Main Aayeen. Is Daur Main Bhi Un Ki Hukumat Par Corruption Aur Ikhtiarat Say Tajawuz Kay Ilzamat Lagnay Shuru Ho Gaye, Khas Tor Par Asif Ali Zardari Usi Dor Main Mr. 10% Kay Naam Say Mashhoor Huye. Qazi Hussian Ahmed Nay Pehlay June 1996 Main Islamabad Main Ehtijaj Kiya. Is Moqay Par Police Nay Muzahreen Par Andha Dhund Aansu Gas Kay Shell Barsaye. Qazi Hussain Ahmed Aur Saikron Karkunon Ko Girfar Kia Gaya Lekin Kuch Ghanton Baad Riha Kar Diya Gaya. Aik Taraf Mulk Main Bad Amni Aur Afra Tafri Ka Mahol Tha Kay Isi Dauran September 1996 Main Mir Murtaza Bhutto Ko Karachi Main Qatal Kar Diya Gaya. Mir Murtaza Kay Qatal Kay Baad PPP Kay Naraz Arkan Bhi Qazi Hussain Ahmed Kay Humnawa Ho Gaye.
18 October 1996 Ko Qazi Hussain Ahmed Nay Isalmabad Tak Million March Aur 27 Say 29 October Tak Parliament Kay Samnay Dharnay Ka Ailan Kiya. Qazi Hussain Ahmed Aur Un Kay Hazaron Karkun Islamabad Pohanchay Tou Police Say Shadeed Jharpen Hueen. Hukumat Nay Is Dharnay Ko Nakam Qarar Diya Lekin Ye Dharna Benazir Ki Kamzor Hukumat Kay Taboot Main Aakhri Keel Sabit Hua Aur Sirf 10 Din Baad Sadar Farooq Laghari Nay Benazir Bhutto Ki Hukumat Ko Bartaraf Kar Diya.
Benazir Bhutto Kay Baad Nawaz Sharif Aur Phir Pervez Musharaf Iqtidar Main Aaye Magar Aglay 11 Saal Tak Koi Bara Long March Nahi Hua.
Wukla Ki Tehreek Aur Long March
March 2007 Main Jab Sadar General Pervez Musharraf Nay Chief Justice Iftikhar Muhammad Chaudhry Ko Ohday Say Hataya Tou Wukla Nay Mulk Bahr Main Ehtijaji Tehreek Chalai. Mazool Chief Justice Iftikhar Muhammad Chaudhry Aur Wukla Rehnumaon Ki Qayadat Main June 2008 Main Long March Kiya Gaya. March Kay Shurka Islamabad Tou Pohnch Gaye Magar Koi Kamyabi Nahi Mili. Nawaz Sharif Nay Dharna Na Denay Ki Darkhwast Ki. Un Ki Darkhwast Par Wukla Muntashir Ho Gaye Lekin Tehreek Jari Rahi. August 2008 Main Pervez Musharaf Nay Sadarat Ka Ohda Bhi Chhor Diya Aur Asif Zardari Sadar Ban Gaye. Us Kay Baad March 2009 Main Nawaz Sharif Ki Qayadat Main Dubara Long March Kiya Gaya. Islamabad Main Muzahireen Ka Dakhla Roknay Kay Liye Puray Shehr Main Container Lagaye Gaye. 16 March 2009 Ko Ye March Abhi Gunjranwala Hi Pohncha Tha Kay Wazir-e-Azam Yousuf Raza Gilani Nay Mazool Chief Justice Iftikhar Muhammad Chaudhry Samait Tamam Judge Sahiban Ko Bahal Karnay Ka Hukm Jari Kar Diya. Is Tarah Ye March Apna Maqsad Hasil Karnay Main Kamyab Ho Gaya.
Tahir ul Qadri Ka Islamabad Dharna
2013 Main Pakistan Awami Tehreek Kay Chairman Tahir ul Qadri Nay PPP Kay Daur Main Lahore Say Islamabad Tal Long March Kiya Aur Dharna Diya Tha. 4 Roz Tak Ehtijaj Kay Baad Hukumat Say Muzakrat Kay Baad 17 January Ko Dharna Khatam Kar Diya Gaya Tha.
June 2014 Mian Model Town Sanihay Kay Baad Tahir ul Qadri Nay August 2014 Mian Imran Khan Kay Saath Mil Kar Phir Islamabad Ki Taraf Long March Kiya.
PTI Ka Long March Aur 126 Din Ka Dharna
Imran Khan Nay 2013 Kay Intikhabat Main Dhandli Ka Ilzam Lagaya. 4 Halqon Main Dobara Ginti Ka Mutalba Kiya. Nawaz Hukumat Nay Mutalaba Nahi Mana Tou Imran Khan Nay 14 August 2014 Ko Lahore Say Long March Ka Aaghaz Kiya. 16 August Ko Long March Islamabad Pohncha.
4 Din Aabpara Main Ehtijaj Kiya Gaya. 20 August Ko Hazaron Muzahireen Rukaaten Tor Kar Red Zone Main Pohnch Gaye. Muzahreen PTV Ki Imarat main Dakhil Ho Gaye. Security Forces Aur Muzahireen Main Jharpain Hueen. D Chowk Maidan Jang Ban Gaya. Hazaron Shell Fire Kiye Gaye, Aansu Gas Ki Barsat Hui.
Parliament House Kay Bahir Dharna De Diya Gaya. 70 Din Baad Tahir ul Qadri Dharna Khatam Kar Kay Rawana Ho Gaye. 16 December Ko Saniha APS Kay Baad 18 December 2014 Ko Imran Khan Nay 126 Din Baad Dharna Khatam Karnay Ka Ailan Kiya.
TLP Ka Faizabad Dharna
Election Form Khatm-e-Nabuwat Ka Khana Khatam Karnay Kay Khilaf November 2017 Main Tehreek-e-Labbaik Pakistan Nay Islamabad Ki Taraf March Kiya Aur Faiz Abad Par Dharna De Diya.
22 Roz Tak Dharna Jari Raha. Is Dauran Police Aur Muzahireen Main Clash Bhi Huye. Wifaqi Hukumat Nay Dharnay Ki TV Coverage Par Pabandi Lagayi Magar Social Media Kay Zariye Khabren Logon Ko Milti Raheen. Muzakrat Kay Natijay Main Wifaqi Wazir-e-Qanoon Zahid Hamid Ko Istefa Dena Para. TLP Aur Hukumat Kay Muahiday Par DG ISI General Faiz Hameed Nay Zaamin Kay Taur Par Dastkhat Kiye Thay.
Fazal ur Rehman Ka Azadi March
2018 Mian Imran Khan Wazir-e-Azam Banay Tou Opposition Nay Dhandli Ka Ilzam Lagaya. Sawa Saal Zabani Aur jalson Main Ehtijaj Kay Baad Jamiat Ulema-e-Islam Kay Sarbarah Maulana Fazlur Rehman Nay Long March Ka Ailan Kiya. Azadi March Ka Qafila 27October 2019 Ko Sohrab Goth Karachi Say Rawana Hua Aur 31 October Ko Islamabad Pohanch Gaya. Azadi March Ko PML N Aur PPP Ki Support Bhi Hasil Thi.
Maulana Fazlur Rehman Nay Imran Khan Say Istefay Aur Naye Election Ka Mutalba Kiya. Roz Ultimatum Aur Dhamkiyan Bhi Detay Rahay. Magar PML Q Say Muzakrat Kay Baad 13 November Ko Dharna Khatam Kar Kay Rawana Ho Gaye. Bazahir Azadi March Hukumat Giranay Kay Maqsad Main Nakam Raha. Magar Kehnay Walay Kehtay Hain Kay Nov 2019 Main Nawaz Sharif Ki London Rawangi Is March Ki Badolat Mumkin Hui.
Bilawal Bhutto Ka Awami March
Azadi March Ki Nakami Ke Baad Fazlur Rehman Nay Puri Opposition Ko PDM Kay Platform Par Jama Kiya. 23 March 2022 Ko Mil Kar Long March Ka Mansuba Banaya. Is Dauran Parliament Say Istefon Kay Muamlay Par PDM Main Ikhtilafat Paida Ho Gaye Aur Bilawal Bhutto Nay 27 February Ko Apna Long March Shuru Kar Diya. Wo Karachi Say Qafila Lay Kar 8 March Ko Islamabad Pohnchay. Bilawal Ka Kehna Tha Kay Un Kay Long March Ki Wajah Say Hukumat Ki ‘Kanpen Taang Rahi Hain’.
Bilawal Nay D Chowk Par Jalsay Kay Baad Long March Khatam Karnay Ka Ailan Kar Diya. PPP Kay March Kay Baad PDM Ki Baqi Jamaton Nay 23 March Ka Long March Mansukh Kar Diya Aur Us Kay Bajaye Tehreek-e-Adm Aitimad Paish Ki Gayi. No Confidence Motion Kamyab Rahi Aur Imran Khan Ki Hukumat Ka Khatima Ho Gay.
Imran Khan Ka Haqeeqi Azadi March
Imran Khan Nay Hukumat Kay Khatmay Kay Baad Say Hi Shehr Shehr Jalson Ka Silsila Shuru Kar Diya. Apni Hukumat Kay Khatmay Ko Ghair Mulki Sazish Qarar Diya Aur Fori Naye Election Ka Mutalba Kiya. Shehbaz Hukumat Nay Mutalba Na Mana Tou Imran Khan Nay Long March Ka Ailan Kar Diya. Chairman PTI Khud Peshawar Say Qafila Lay Kar Niklay Jab Kay Sindh Aur Punjab Kay Karkunon Ko Barah-e-Rast Islamabad Pohanchnay Ki Hidayat Ki. Un Dinon Punjab Main Hamza Shehbaz Ki Hukumat Thi. PTI Ka Ilzam Hay Kay Long March Nakam Bananay Kay Liye Wifaqi Aur Punjab Hukumat Nay Shadeed Crackdown Kiya. Hukumat Nay March Kay Red Zone Main Janay Par Pabandi Laga di. Supreme Court Nay Hukumat Ko Jalsay Kay Liye Munasib Jaga Denay Aur PTI Ko Red Zone Main Na Janay Ki Hidayat Di. Is Kay Ba Wajud PTI Karkunon Nay D Chowk Pohncnay Ki Koshish Ki Jis Kay Baad Police Nay Muzahireen Par Shaded Shelling Ki. Karkuno Nay Bhi Hungama Arai Aur Tor Phor Ki.
Imran Khan Red Zone Kay Bahar Mukhtasar Khitab Kar Kay Rawana Ho Gaye. Yani Un Ka Ye Long March Bhi Apna Maqsad Hasil Nahi Kar Saka.
Haqeeqi Azadi March Rebooted
Imran Khan Nay Fori, Fair And Free Election Ka Mutalba Liye Apnay Dusray March Ka Aghaz 28 October Ko Kiya. Unhen 4 November Ko Islamabad Pohnchna Tha Lekin Baad Main Tareekh Barha Kar 10 November Kar Di Gayi. 03 November Ko Wazir Abad Kay Qareeb Imran Khan Par Qatilana Hamla Hua. Un Ki Taang Main 4 Goliyan Lageen. Imran Khan Nay Us Kay Bawajood Long March Jari Rakhnay Ka Ailan Kiya Hay. Qafila Mukhtlif Shehron Se Hota Hua Islamabad Pohnchay Ga Jab Kay Imran Khan Islamabad Main Long March Ko Join Karen Gay.