Falastini Nizhad American Super Model Gigi Hadid Ne Twitter Per Apna Account Deactivate Kar Diya.

Gigi Hadid Ne Ye Qadam Elom Musk Ki Janib Se Twitter Ki Human Rights Team Ko Bartarf Kiye Janay Ke Baad Uthaya Hay.

Raftar Bharne Do

Gigi Hadid Ka Insta Per Paigham

Unhon Ne Apni Instagram Story Main Human Rights Team Ki Aik Rukn Ka Tweet Share Kiya. Gigi Hadid Ne Story Main Likha Ke Main Ne Aaj Apna Twitter Account Deactivate Kar Diya Hay.

Bohat Arsay Se, Khas Taur Per Nayi Qayadat Ke Aanay Ke Baad Ye Platform Bohat Zyada Nafrat Aur Taasub Ki Aamajgah Bun Chuka Hay. Main Aisi Jaga Ka Hissa Nahi Rehna Chahti.

Raftar Bharne Do

Gigi Ne Likha Ke Wo Is Faislay Per Sirf Apne Madahon Se Maazrat Karti Hain. Jin Ke Saath Twitter Per Aik Dahai Se Zyada Rabtay Main Rehna Unhen Acha Lagta Tha.

Ab Main Ye Nahi Keh Sakti Ke Twitter Sab Ke Liye Mehfooz Jaga Hay Ya Aisa Platform Hay Jo Nuqsan Se Zyada Faida Pohnchata Ho.

Gigi Hadid Ke Instagram Per 76.2 Million Follower Hain. Wo Twitter Per Bhi Maqbool Tareen Shaksiyat Main Shamil Theen.

Elon Musk Ke Twitter Ka Control Sanbhalnay Ke Baad Se  Adakara Amber Heard, Adakara Shonda Rhimes, Glukara Toni Braxton, Glukara Sara Bareilles Aur Adakara Jameela Jamil Bhi Twitter Ko Kherbad Keh Chuki Hain.

شیئر

جواب لکھیں