Author: فواذ ضیاء
Taleem Buhat Zaruri Hai, Par Sahi Education Us Se Bhi Ziada Zaruri Hai. Hamara Educational System Hamesha Se Ek Hi Pattern Par Chalta Aa Raha Hai, Na Students Ko Parwa Hay Aur Na Teachers Ko. Is Liay Education System Say Students Ka Potential Bahar Nahi Aa Raha. Students Kehtay Hain: “School Time Waste Kar Raha Hai." "Mein Algebra Kyun Parhoon Jab Mujhe Samajh Hi Nahi Aata?" "In Subjects Ki Real Life Implementation Kahan Hogi?" Aakhir Hamare Education Systems Ka Masla Kya Hay? Aayen Dekhtay Hain: Teachers Certified, Not Qualified Students Ki Attention Haasil Karna Kisi Bhi Teacher Ke Liye…
New Technology Ho, Koi Dusri Language Ho Ya Koi Advanced Skill, Aaj Ke Competitive Environment Mein Survive Karna Hai To New Cheezein Tou Seekhni Hi Parain Gi. Magar Jahan Competition Hai Wahan Time Bhi Tezi Se Aagey Nikal Raha Hai. To Esa Kia Karein Jis Say Hum Apne Sikhne Ki Salahiyat Ko Barha Sakhein? Wo Hay Quick Learner Ban'na. Ek Quick Learner Hona Aap Ko Competition Se Ek Step Aagey Rehna Ka Edge Deta Hai. Ye Hein Kuch 6 Scientifically Proven Steps Jo Aap Kay Kuch New Learn Karne Mein Tezi Laa Sakte Hein. Aayen Seekhtay Hein 6 Best Ways…
PSX 2022 Recap
Pakistan Stock Exchange Market Ke Liye 2022 Ek Bahut Bura Saal Raha. PSX Pe Listed Companies Ki Market Value (Market Capitalization) 17% Tak Gir Kar Rs. 6.4 Trillion Tak Pohanch Gayi. Agar USD Mein Dekha Jaye Tou Ye Decline Bahut Khatarnak Dikhai Dega Kyun Ke Market Capitalization 35% Se Gir Kar $25 Billion Tak Pohanch Chuki Hai. Laikin Is Downfall Ke Douraan Kuch Sectors Aisay Bhi Hain Jo Grow Kar Gaye, Real Estate, Textiles Aur Sugar Top-Performing Sectors Rahe Aur Unki Market Capitalization 12%, 6% Aur 5 % Respectively Barhi. Top-Performing Stocks, Gains (Based On Adjusted Prices) Lotte Chemical (LOTCHEM)…
Twitter Kay CEO Elon Musk Ne Decide Kiya Hai Ke Twitter Pe Ab Free Promotion Nahi Hogi. Yaani Kisi Ko Apne Social Media Links Post Karne Ki Ijazat Nahi. In Mein Facebook, Instagram, Mastodon, Truth Social, Tribel, Nostr Aur Post Shamil Hai. Yahi Nahi, Koi Apni Twitter Profile Bio Mein Bhi Apne Dosre Social Media Handles Ke Links Post Nahi Kar Sakta. Profile Ke Ilawa Bhi Kisi Ko Tweet Mein Instagram Ya Facebook Ki Kisi Bhi Post Ka Link Bhi Share Nahi Kiya Ja Sakta. Twitter Bans Links Ki Ye Policy Kafi Strict Hay, Aur Jo Is Policy Ke Khilaaf…
Creativity Jagao!
Agar Koi Kahe Ke Khushi Ko Draw Kar Ke Dikhayen, To Aap Thori Dair Ke Liye Soch Mein Par Jayen Gay Ke Bhai! Khusi Ko Koi Draw Kaisay Kar Sakta Hai? Ye To Ek Feeling Hai Jo Insaan Express To Kar Sakta Hai, Par Ek Paper Par Design Nahi Ho Sakti. Laikin Ye Baat Hay Creativity Ki. Ek Creative Insaan Kai Tareeqon Se Draw Karday Ga Jis Mein Khushi Saaf Nazar Aaey Gi. Maslan Ek Bacha Dikhaey Ga Jo Apnay Birthday Gifts Khol Raha Ho Ya Ek Individual Apne Maan Baap Ke Samne Kamyaab Insaan Ban Raha Ho. Aisi Drawings…
Dunya Bari Tezi Se Advance Ho Rahi Hay. Sirf Tech Skills Hi Nahi Hai Balke Human Skills Ko Bhi Utni Hi Tezi Say Increase Karna Parega. Is Ki Foundation Behavioral Skills Main Hai. Nayi Skills Hasil Karke Aur Talents Main Master Banke Apni Zindagi Ko Behtar Aur Career Behtareen Bana Sakte Hain. Khud Ko Behtar Karne Ka Behtareen Tareeqa Ye Hai Ke Aap Wo Kaam Dundhain Jismein Aap Ka Interest Ho, Aur Aap Jante Hein Ye Kaam Karne Se Aap Bore Nahi Honge Balke Issey Apki Apni Energy Mein Aur Bhi Izafa Hoga. 2023 Main Aisi Kaun Si Organizing And…
Ap Ki Pocket Mein Aik Aisi Cheez Hay Jo Aap Ki Health Ko Hijack Kar Sakti Hay Aur Focus Ko Destroy Kar Sakti Hay. Phir Mood, Motivation, Productivity Aur Sleep Quality Sab Kharab Kar Deti Hay. Ye Hay Aap Ka Smartphone Jis Ki Addiction Buhat Bara Masla Ban Chuki Hay. Laikin Ghabraane Ki Baat Nahi Kyunke Phone Addiction Ka Bhi Solution Hay Hamare Pass. Bus Kuch Casual Steps Follow Karne Hein Aur 14 Din Mein Aap Ki Ye Addiction Khatam Ho Jayegi. Ad Blocker Use Karein App Store Se Koi Bhi Ad Blocker Install Kar Lain Jo Aap Ki Social…
MG Motors Pakistan Ko Government Ki Taraf Se Manufacturing Certificate Mil Gaya Hai Jiske Baad Wo Apni Local Vehicle Assembly Shuru Kar Raha Hay. Company Ne Monday Se Hi 1.5L Turbo Engine MG HS Essence Ke Orders Lena Shuru Kardiye Thay, Jo Purely Pakistan Assembled Hai. Iss Local SUV Ki Price Imported CBU Ki Rs. 98 Lakh Se Kam Ho Kar Rs. 69 Lakh Ho Gi. https://twitter.com/JAfridi10/status/1601888457290399745?s=20&t=5KPf9yf1_vR2x2iuaA7avA Differences Between Locally Assembled And CBU MG HS Is Waqt Sabse Bara Sawal Yahi He Ke Ye Locally Assembled MG HS Essence Aur CBU MG HS Mein Farq Kia Ho Ga? Dekha Jae…
Kese Ek 30 Saal Ka Individual Apni Life Ki Outstanding Success Hasil Kar Ke Billionaire Ban Jaata Hai Aur Ek Hi Din Mein Aasmaan Ki Unchi Uraan Bharte Huwe Apne Paron Ko Khud Kat Kar Zameen Pe Dey Marta Hai. Baat Kar Rahay Hain Sam Bankman-Fried Ki Jo FTX Ke CEO Thay, Laikin Fraud Ke Case Mein 1 Hi Din Mein Sab Kuch Kho Bethay. FTX 2019 Mein Bahamas Mein Launch Hone Wali Crypto Exchange Thi, Jo Ab Bankruptcy Ke Liye Filed Hai. Ye Sab Tab Hua Jab Logon Ko SBF Ki Under-The-Table Scheme Ka Pata Chala Ke Kese Wo…
Legal Business Karna Complicated Aur Mushkil Hai Aur Illegal Karobaar Seedha Aur Asaan. Agar Koi Sab Taxes Pay Kar Ke Import Ka Business Shuru Karta Hai Tou Uska Business Fail Ho Jata Hai Kyunke Koi Doosra Admi Tax Aur Duty Diay Bagher Same Goods Ko Lower Price Mein Pehle Hi Sell Kar Raha Hai. Wohi Products Jo Humain Rozana Jaga Jaga Nazar Aati Hain, Chocolates Se Lekar High-Tech Devices Tak. Pakistan Mein Legal Channel Se Simple Si Cheez Ko Bhi Import Karna Sasta Nahi Parta, Kyunke Import Duties Ziada Tar Items Par Kaafi High Hain, Taqreeban 50% Tak. Mazey Ki…