Agar Koi Kahe Ke Khushi Ko Draw Kar Ke Dikhayen, To Aap Thori Dair Ke Liye Soch Mein Par Jayen Gay Ke Bhai! Khusi Ko Koi Draw Kaisay Kar Sakta Hai? Ye To Ek Feeling Hai Jo Insaan Express To Kar Sakta Hai, Par Ek Paper Par Design Nahi Ho Sakti.

Laikin Ye Baat Hay Creativity Ki. Ek Creative Insaan Kai Tareeqon Se Draw Karday Ga Jis Mein Khushi Saaf Nazar Aaey Gi. Maslan Ek Bacha Dikhaey Ga Jo Apnay Birthday Gifts Khol Raha Ho Ya Ek Individual Apne Maan Baap Ke Samne Kamyaab Insaan Ban Raha Ho. Aisi Drawings Happiness Ke Deep Emotions Ko Dikhati Hain.

Baat Samjhe? Agar Aap Soch Rahe Hain Ke Yaar Ye Sab To Mein Bhi Soch Kar Bana Sakta Hoon, Laikin Banaya Kyun Nahi? Kiya Main Uncreative Hoon? Agar Aisa Hai To Fikar Na Karein, Aur In Sochon Ko Yahin Rok Dain.

Baat Ye Nahi Ke Aap Ek Nakaam Ya Nihayat Uncreative Insaan Hein, Nahi! Balke Aap Creativity Killers Ke Victim Hein Aur Aap Ko Zarurat Hai Ke Kuch Adatein Khatam Karain Aur Apni Creativity Barhayen.

Ye Hein Kuch Factors Jo Aapko Creative Hone Se Roktay Hain. Aur Hum Batayein Gay Inse Kese Nikla Ja Sakta Hai.

Ready... Set... Go...!

Logic

Creativity Killers

“Logic Will Take You From A To B. Imagination Will Take You Everywhere.” Albert Einstein

“What's The Logic In This?” Ye Ek Commonly Asked Question Hai. Logic Mein Rehna Aapko Ek Jaga Tak Limit Kar Deta Hai. Creative Banne Ke Liye Aapko Out Of The Box Soch Kar Kuch Naya Lana Hota Hai. Patterns Aur Standards Ka Barrier Tour Kar Niklain Bahir.

Aap Cheezon Ko Thoray Alag Tareeqay Se Karain, Dimagh Ko Khaali Karain Aur Imagine Karain. Dunya Ko Thori Doosre Perspective Se Dakhein. Logic Ki Fikar Na Karein Kyunke Jab Aap New Ideas Develop Kareinge Phir Aap Isko Khud Hi Define Kar Sakein Ge .

Perfectionism

Creativity Killers

“As Machines Become More And More Efficient And Perfect, So It Will Become Clear That Imperfection Is The Greatness Of Man.” - Ernst Fischer

Perfectionism Buri Nahi Par Bar Bar Isey Consider Karna Bhi Sahi Nahi. Aap Jab Perfect Hone Ka Sochain Ge Tou Risk Lene Se Darain Gay Aur Sochte Hi Raheinge, Aur Ek Goal Bhi Attain Nahi Kar Payeinge. Khud Ko Challenge Karein Ya New Ideas Ko Adapt Karein. Jab Aap Ek Perfectionist Ho Jaate Hein Tou Ek Awaz Apke Dimagh Mein Hamesha Rahe Gi Jo Aap Ne Likha Ho, Banaya Ho Wo Itna Acha Nahi, Ya Bilkul Sahi Nahi.

Apni Creativity Ko Unlock Karne Ke Liye Sab Se Pehle Aapko “Perfect” Word Ko Sahi Se Samajhna Hoga. Apni Thinking Ko Aur Mazeed Broad Karke Sochna Ho Ga. Yaad Rakhein, Koi Cheez Hamesha Flawless Nahi Hoti. Apne Aap Ko Dusron Se Compare Karna Chorein Aur Bhool Jayein Ke Log Kiya Kaheinge. Be Real, Wohi Karein Jo Aapko Sahi Aur Acha Lage Aur Phir Dekhein Ke Perfection Kese Khud Samne Nazar Ajayegi.

Technology

Creativity Killers

“The Real Danger Is Not That Computers Will Begin To Think Like Men, But That Men Will Begin To Think Like Computers.” Sydney J. Harris

Technology Ne Hamari Zindagi Ko Asaan Kardiya Hai. Bare Bare Kaam Minutes Mein Ho Jaate Hein. Ye Advancement Tou Hai Hi, Par Sath Mein Ek Addiction Bhi Hay. Ham Sab 1 Din Bhi TV Ya Facebook Ko Check Kare, Games Khelege Bagher Ya  Kuch Aur Online Activitiy Kare Bagher Reh Nahi Sakte. Ye Ek Bahut Bara Factor Hai Creativity Ko Maarne Ka.

Research Ke Mutabiq Technology Creativity Ko Is Liye Take Over Karti Hai Kyunke Ye Hamein Un Kamo Se Dur Kar Deti Hai Jisse Hamara Dimagh Creative Hota Hai Jesa Ke Reading, Playing Music Instruments Ya Phir Painting.

Solution Ye Hai Ke  Aap Kuch Time Offline Hojaein, Bahir Niklein, Physical Activities Karein, Wo Kaam Karein Jismein Aap Ko Kisi Tech Ki Help Ki Zarurat Na Parre.

Think Different

Creativity Killers

“Millions Saw The Apple Fall, But Newton Asked Why.” Bernard Baruch

Kabhi Socha Hai Ke Bache Itna Ziada Creative Kyun Hota Hein? Wo Isliye Ke Unhe Har Waqt Har Cheez Ke Bare Mein Jaan'ne Ki Chahat Hoti Hai. Tou Wo Har Cheez Ke Par Sawal Karte Hein. Experts Ka Kehna Hai Ke Jitni Aap Mein Curiosity Hogi, Utna Hi Aap Creative Ban Sakte Hein.

Agar Aap Sawal Nahi Kareinge, Seekhne Ki Salahiyat Nahi Rakhein Ge To Apka Mind Kabhi Evolve Nahi Hoga. Log Darte Hein Ke Sawal Karne Se Shayad Koi Mazaq Urraey Ga Ke Ke Isay Kuch Nahi Aata. Iss Darr ko Khatum Karein, Aagey Barhein Aur Think Different.

Nayi Cheezon, Skills, Activities Ko Janein Aur Khud Ko Inspire Karein.

Time

Creativity Killers

“Make Time For Your Creativity, No Matter How Busy You Are. Stolen Minutes Can Add Up To Surprisingly Wonderful Creations.” - Scott Stabile

Zindagi Buhat Mushkil Hai, Sara Waqt Kaam Mein Hi Nikal Jaata Hai. Aap Har Waqt Busy Hotay Hein, Ya Tou Kaam Mein Ya Tou Ghar Aur Biwi Bachon Mein. Magar Apne Liye Time Nikalna Bhi Bahut Zaruri Hai.

Creative Hone Ke Liye Aapko Time Nikalna Hi Parrega. Aap Agar Har Waqt Rona Rote Raheinge Ke Time  Nahi Hai Tou Kuch Hasil Nahi Hoga Boss! Apni Cheezon Ko Proper Scheduling Dein, Aur Ek Specific Time Nikalein Apne Liye Jis Mein Aap Kuch Na Kar Rahe Hon. Aram Se Bethain, Dimagh Khali Karein, Daily Routine Ke Bare Mein Na Sochein. Khushi Ki Baatein Sochein Aur Phir Dakhein Aapka Dimagh Kese Fresh Hokar New Ideas Deta Hai.

Comparison

Creativity Killers

“Our Life Is Short, So Don’t Waste It Living Someone Else’s Life” - Steve Jobs

Insan Apne Aap Ko Sab Si Ziada Misled Tab Karta Hai Jab Wo Doosron Se Apne Aap Ko Compare Karna Shuru Kardeta Hai. Wo Apni Value Kho Deta Hai Aur Phir Creativity Bhi Mar Jaati Hai.

Compare Karna Nihayat Ghalat Hai Kyunke Har Insan Apni Unique Ability Ke Sath Is Dunya Mein Maujood Hai. Aur Iss Unique Ability Ko Jagaey Rakhne Ke Liye Dusron Ko Dekhna Band Karein Aur Apne Oopar Work Karein. Apne Kal Ko Apne Aaj Se Behtar Banaein Kyunke Yahi Sab Se Bari Creativity Hai.

Doing What You Hate

Creativity Killers
Creativity Jagao! 1

“Choose A Job You Love And You Will Never Have To Work A Day In Your Life.” Confucius

Inspiration, Passion, Project Hours, Research Aur Experimentations, In Sab Se Creativity Banti Hai. Aur Agar Aap Kisi Aisi Job Mein Hoon Jo Aapko Na-Pasand Ho Tou Aapko Pura Din Bhi Lag Jae Tou Wo Creativeness Kabhi Nahi Ayegi. Aapke Minutes Ghanton Mein Badal Jayeinge Aur Phir Aap Bore Hi Hotey Raheinge.

Behtar Hai Ke Aap Pehle Hi Job Ya Kisi Bhi Kaam Ko Dekhlein Ke Aapka Ismein Proper Interest Hai Bhi Ya Nahi Kyunke Interest Buhat Bara Role Play Karta Hai Insan Ki Creativity Ko  Build Karne Mein. 

Fear Of Failure

Creativity Killers
Creativity Jagao! 2

“A Person Who Never Made A Mistake Never Tried Anything New.”  -Albert Einstein

Ek Creative Insan Fail Hone Se Nahi Darta, Balke Sochta Hai Ke Ye Ek Lesson Hai Jisse Wo Aur Behtar Ho Jaega. Stephen King Ko Hi Dekhlein Jiska Pehla Novel Carrie 30 Bar Rejected Hone Ke Baad Phir Publish Hua. Kia Stephen King Ne Haar Mani? Nahi Na! Wo Likhta Gaya Kyunke Uski Chahat Thi Aur Behtar Hone Ki.

Nakaami Ka Darr Hi Sab Se Barra Khauf Hota Hai, Jo Insaan Ko Creative Hone Se Rokta Hai Ke Kahin Wo Kuch Esa Na Karjae Jo Aagey Approve Hi Na Ho. Approval Ke Liye Pehle Se Apne Pass Prove Karna Parta Hay Aur Ye Hota Hai Consistency Se Aur Haar Na Man'ne Se.

شیئر

جواب لکھیں